Kyun Banaya Mujhko Ae BananeWale, Bahut Gam Dete Hain Ye ZamaneWale, Maine Aag Ke Ujale Me Kuchh Chehro Ko Dekha, Mere Apne Hi The Mere Ghar Ko JalaneWale.
Khushi mili ya gam humne kabhi chhupaye nahi Unke gam me zindagi bhar hum kabhi muskuraye nahi kaash wo sun paate gam bhari daastaan meri Hum rok na sake aur wo laut kar kabhi aaye nahi
Rulana hi tha hame to kyo hasaya tha hame bigadna tha hame to kyo banaya tha hame bhool gaya tha dil todne ki aadat hai tumhe ho gayi mujhse galti kyo hamdard banaya tha tumhe
APNO NE ZEHER KA JAAM DE DIYA GHAIRO NAY BEWAFA KA NAAM DE DIYA WOH JO KEHTE THE KI BHOOL NA JANA HUMEIN AAJ UNHONE HI BHARI MEHFIL MEIN ANJAAN KEH DIYA
Tamanna nahi ab kisi se dil lagane ki Himmat nahi ab kisi ko dil ka haal sunane ki Kya kahu unhe jo dil lagate hai Milti hai kya saja is jahan me dil lagane ki
Humse ye kya khata ho gayi k wo humse ruth gaye, Aisa bhi kya hua sitam jo sab such jhut ban gaye, Bas itnahi yakin tha apne pyar pe, Jo bina bataye humse muh mod gaye....
Na jane uss par itna yakin kyon hai, Uska khayal bhi itna hasin kyon hai, Suna hai pyar ka dard mitha hota hai to Ankhon se nikla aansu itna namkin kyo hai?
Tanhaiyo ne jab jab unhe sataya hoga, Tab tab unhe mera khyal aaya hoga, Gum ye nahi k wo bhul gye mujhe, Gum ye hai k unhone ro ro k mujhe bhulaya hoga.
Aansoo ke thamne ke ab nahi hai koi aasar Dhadkan ke rukne ka ab toh hai bas intezar Ab toh rab se milne ko hum hai taiiyar Jab se dil ne khoya hai aap pe aitbar
Kis Tarah Teri Yaadon Se Kinara Kar Loon, Teri Judai Ke Sitam Kaise Gawara Kar Loon, Main Tujhse Bichhoodkar Jiyoon Toh Kaise Jiyoon, Sochta Hoon Ab Maut Ko Hi Apna Sahara Kar Loon
Tanhaayi ka lamba safar katt-ta hi nahi Aapke bina koi accha lagta hi nahi. Koi nahi jo pooch ley iss dard-e-dil ka haal Aapke binn ye DIL kahi lagta hi nhi.
Mujko Rula Kar Dil Uska Bi Roya To Hoga, Uski Ankho Par Bi Aansu Aaya To Hoga, Agar Na Kiya Kuch Haasil Hamne Pyar me, Kuch na Kuch Usne Bi Khoya To Hoga
Tere liye chhod ke sab kuch tere ho gaye muh phiraya aisa ki ham hi akele ho gaye Har rat jag kar rote rahe, khud hi chup ho gaye aap ne puchcha bhi na, aur kisi apne ki baho me kho gaye
Kuch main bhi thak gaya hoon use dhoondte dhoondte, Kuch zindagi ke pass bhi mohlath nahin rahi. Uski ek ek ada-se jhalakne laga hai pyar… Jub mujhe aitbar ki aadath nahin rahi