Yakin pe yakin dilate hain dost Raah chalte ko bewakuf banate hai dost Sharbat bol kar daru pilate hai dost Par kuch bhi kaho saale bahut yaad ate hai dost.
Ajab sa ehsaas hai Dosti, Do insano ka saath hai Dosti. Khuda ki khudai hai Dosti, Zindagi ki sachayi hai Dosti. Naseeb wale hain hum jo payi hai Aapki Dosti
Dost to ruksat ho jaate hain, par kuch yaadon ke daayre ban jaate hain. Bhool jaana to insaan ki fitrat hai, par kuch acche Dost yaadon mein bas jaate hain...
Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....
Dilo ko kharidne wale hazar mil jayenge, tumko daga dene wale bar bar mil jayenge, milega na tumko hum jaisa koi... milne ko to dost beshumar mil jayenge..
Dua hai rab se kabhi aapko dard ka ehsaas na de. Pal koi aisa na guzre, jab mushkilo me hum saath na de. Kisi saans me hum aapko bhule, rab hume aisi saans na de.
mazloom ki anho ke nisane nahi baithe, jalim ke abhi hosh theekane nahi baithe, our jo waqat ne aise bhi maoke hame bakhshe hai, hum fir bhi buzurgo ke shirhane nahi baithe,
Kaun marta hai kisi ke liyae hum to zinda hai sirf aap jaise dumbo ke liye!! faslae mita kar aapas mein pyar rakhnaa dosti ka yeh ristha humesha yun hi barkaraar rakhna, Bichad jaye kabhi aap se hum anakho mein humesha humara intezaar rakhna
Kal na phir ye samaa hoga, hum mein se kaun najaane kahaan hoga..? Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein, par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga....
Tere saath guzra lamha jab bhi yaad aega, is janam ke baad tera hi khayaal aega. Agar bakshi Khuda ne ye zindagi baar baar, to har janam,tujhsa hi Dost paane ko dil chahega