Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi... Bhakti shraddha me hoti hai...shabdon me nahi.. Tu bhi jaan le mere dost... Dosti dil me hoti hai.. dikhaweme nahi...
Vo dil kya jo milne ki dua na kare,tujhe bhul kar jiyun khuda na kare,rahegi teri dosti meri zindagi bankar,ye baat aur hai agar zindagi hi vafa na kare....!!
Phool khilte rahein zindgi ki raah mein hassi chamakti rahe aapki nigaah mein kadam kadam par mile khushi ki bhaar aapko dil deta hai yehi dua baar-baar aapko
Dua hai ke teri duniya me koi gam na ho, dua hai ke teri muskan kabhi kam na ho. Agar kabhi tere palko me aasu aye, to dua hai ke uski wajah kabhi hum na ho
Shayari mein dimaag nahi dil zaroori hai Kuch jigar ka khoon ho shamil zaroori hai Sirf lafjo ki tukbandi shayari nahi Sher ho dil pe lagne ke qabil zaroori hai
Dosti ki hai, Nibhani to padegi, Aapki taklif hume baatni to padegi, Aapki taklif na jaan sake to dosti kis kaam ki, Aapke liye mar na sake to zindagi kis kam ki.
Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate, Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate. Udne do parindo ko abhi shokh hawa main, Fir laut kar college ke zamane nahi aate.
Mere aane ki aahat pe shama jalai hogi... kabhi judai ke gum se aakh bhar aai hogi... fikar na kar mere yaar... us rabne milne ki koi to sham banai hogi
Dhundo tum jitna hum jaisa dost paoge nahi, bichadne k baad bhi bhula paoge nahi,mana hum me kuch KAMIYA sahi,par khuda ne PERFECT koi banaya bhi to nahi.
Ishq ek shokh nigaah hai dost, Unpe mit jaane ki ek chaah hai dost, Ishq manzil nahin, koi iraadaa bhi nahin, Jhoot ke jangal se alag, Sach ki ek raah hai dost.
Hum hawa ke jhonke hain, gujar jaayenge, khamoshi se tumhare dil mein utar jaayenge. Paake tumhari dosti yeh ehsaas hua humein, dost aapse bichhad kar hum mar jaayenge…