Aisa jagaya aapne ke ab tak na so sake,
Yun rulaya aapne ke mehfil mein hum ro na sake,
Na jaane kya baat hai aap mein,
Sanam maana hai jabse tumhe,
Apne kisike hum ho na sake.
Yaadon mein hamari aap bhi khoye honge,
Khuli aankhon se kabhi aap bhi roye honge,
Mana hasna hai ada gam chupane ki,
Par hanste hanste kabhi aap bhi roye honge.
Paas aakar sabhi door chale jaate hain,
Akele the hum, akele hi reh jaate hain,
Is dil ka dard dikhayen kise,
Marham lagaane wale hi zakham de jaate hain.
Pathar ki duniya jazbaat nahi samjhati,
Dil mein kya hai wo baat nahi samjhati,
Tanha to chaand bhi hai sitaron ke beech,
Par chaand ka dard wo raat nahi samjhati.
Tum bhi chahat ke samander mein utar jaayoge,
Khushnuma se kisi manjar pe thehar jaayoge,
Meine yaadon mein tumhe is tarah piroya hai,
Mein jo tooti to sanam tum bhi bikhar jayoge.
Aansoo aa jaate hain rone se pehle,
Khawab toot jaate hain sone se pehle,
Log kehte hain mohabbat gunaah hai,
Kaash koi rok leta ye gunaah hone se pehle.
Tumhari yaadon se koi naata nahi tha
Par tumhe bhool jana hume aata nahi tha
Yun to umar guzari hai tumse pehle bhi tanha meri
Magar tab akelapan hume yun satata nahi tha.
Kabhi hum pe wo jaan diya karte the,
Jo hum kehte the wo maan liya karte the,
Aaj paas se anjaan banke gujar gaye,
Jo door se hame pehchaan liya karte the..!!
Guzar jayege aapke pas se hawa bankar,
Beh jayege ankho se aansu bankar,
Aaaj to aapke pas fursat nahi,
Yaad karoge jab reh jayege dil ki yaad bankar...
We live in illusion and the appearance of things.
There is a reality,
We are that reality,
When you understand this,
You see that you are nothing,
And being nothing,
You are everything,
That is all...
Happy Buddha Purnima