Hindi Ghazals Wishes and Status Messages
Hindi Ghazals Wishes
Updated 7 years ago
Toota Sitara Dekh Kr…
“Use Hum yaad ayenge”
Kisi Se Sath Jb Choota
“Use Hum yaad ayenge”
Abi Toh Udd Raha Hai Wo Nye Chahat Ke Par Le Kr,
“Use Hum yaad ayenge”
Use Jis Per yaqeen Hai Aaj toh emaan Ki Had Tak,
Wohi Nikla Jo Kal Jhoota…
“Use Hum yaad ayenge”
Kiya hai jo pyar toh chupate kyo ho?
Mehfil mein mera naam dohrate kyo ho?
Jal rahe ho mere pyar ki bhatti me
Phir dil ka dard chupate kyo ho?
Khuwabon me bhi agar iqrar nahi
To khuwaboon me phir aate kyo ho?
Nazre mila ke sharma jate ho jo
Nazre hum se milaate hi kyo ho?
Maan lo! ke dil humhe de baithe ho
Aag ko ab baraf batate kyo ho?
Chalo keh do tumse pyar nahi
yeh kehne se phir ghabratay kyo ho?
Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..
Wo sunta to me kehta, mujhe kuch or kehna tha
Wo pal bhar ko jo theher jata mujhe kuch or kehna tha
Kaha us ne suni meri, suni bhe unsuni kar di
Usey maloom tha itna, mujhe kuch or kehna tha
Ghalat fehmi ne baton ko barha dala youn hi warna
Kaha kuch tha, wo kuch samjha, mujhe kuch or kehna tha.
Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye
Tumarey Dil mai thori si jaga chahye
Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey
Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye
Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain
Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye
Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA
Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe
Doston Aap Logon ke Piyaar Ne Mujhe
Bahut Himmat Afzai Ki Hai Jis Ke Liye Mai
Aap Ki Bahut Shukar Guzar Hoon.Aap Ki Bazm Me
Mai Aaj Sajid Sahab Ki Ghazal Lai Hon ummed Ke Pasand Aaye gi…
Thaharo satao na itna sanam humko.
Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko.
Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao.
Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho.
Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko.
Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge.
Tarase the jo naina ab,nis din barasenge.
Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko.
Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi
Rahe na apni Khabar to samjho Ghazal hoi
Mila ke Nazron ko walehana Haya se phir
Jhuka ley koi Nazar to samjho Ghazal hoi
Idhar machal ker unhein pukare Junoon Mera
Dharak uthe Dil Udhar to samjho Ghazal hoi
Udaas Bistar ki Silwatein jab Tumhein Chubhein
Na Soo sako Raat bhar to samjho Ghazal hoi
Wo Bad-Guman ho to Shair soojhe na Shayari
Wo Meherbaan ho Zafar to samjho Ghazal hoi.
Hawa ban kar bikharney se
Usey kya farq parta hai
Mere jeeney ya marney se
Usey kya farq parta hai
Usey to apni khushiyon se
Zara bhi fursat nahi milti
Mere gham ke ubharney se
Usey kya farq parta hai
us shaks ki yaadon mein
Me chahe rotey raho lekin
Tumhare aisa karney se
Usey kya farq parta hai…
Hai Haqiqat me wohi pyaar ko pane wale
Apne mahboob ko palkon pe bitahne wale
Dil ki wirani ko qushion se sajane wale
Ishq ka rog jo qud ko hai lagane wale
Zikr tera bhi wafa walon me hoga aye dost
yaad me bewafa ke deep jalane wale
tere qudmon me ye sara jahan huga ek din
maa ke hunton pe tabassum ko sajane wale
pyaar-o-ulfat wafa humdardi muhabbat ye sab
kon hai duniya me ab in ko nibhane wale
Nazar bhar k dekha na kuch baat ki..
To kyo aarzu ki mulakat…
Ye rasman bhi koi nahi puchta…
Kahan din guzara??
Kahan raat ki………
Pata ye chala vo to ha SANGDIL
Use kadr kya mere JAZBAAT KI………..
Tumhe pa k bhi hum akele rahe…………………..
Ajab DURIYAN hain ye halaat ki……..,,
Kasam hai na bulegi ”
MALIKA” Kabhi
Jo ghadiyan guzari tere sath ki………………….!!!!
Apna ghar, apna gaon, apne log
inki keemat, toh, wo pardeshi jaante hain,
Choot gayi rozi roti ki talaash me,
Sarzami jinki darbadar ho,
Banatey hai ghonsla kisi or saakh pe.
Par kya itnaa aasaan hota hai,
pardesh me ghar basaanaa.
Takleef toh wo hi jaanta hai
Choota hai jiska ghar gaon.
khuda tujhe mai nahi maanta.
Par fir bhi ek iltiza tujhse
Sab ko de roti apne hi gaon me .
Zindgi per kitab likhunga...
Us mai sarey hisab likhunga....
Pyar ko waqt guzari lik kar.....
Chahton ko azaab likhunga..,
Hui barbad m0habbat kaisey....
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga.....
Apni khwahish ka tazkra kar k....
Naam tera jawab likhunga....
Teri ankhain sharab ki manind.....
Tera chehra gulaab likhunga....
Mai tuj se judai ka sabab....
Apni kismat kharab likhunga...
Koi apna aisa hua kare,
Jo shikayatein na gila kare,
Jo mere liye hi saja kare,
Jo mere liye hi bana kare,
Mein jo rooth jaon manaye woh,
Mein udas hoon to hansaye woh,
Sada chupke chupke dabe qadam,
Mere saath hi bas chala kare,
Kabhie us se mein jo door hoon,
Meri wapsi ki dua kare,
Koi apna aisa hua kare,
KOi apna aisa hua kare....!
Jo bhi Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai
Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai
Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai
Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai
Aadmi soch toh le, uska Iraada kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
“Zindagi”
Na Koi Dard Hai
Na Koi Ranj Hai
Rahaton Ki Yahan Kuch Kami to Nahi
Waqt Ke Sath Kat to Rahi Hai Magar
Bin Tere Zindgi
Zindgi to nahi,…
Tu Khafa Hai Tua Khafa Sahi,
Magar Kuch Baat Tua Kar..
Mujhe Tujhse Mohbbat Hai,
Tujhe Nahi Tua Na Sahi,
Magar Mula-Qaat Tua Kar..
Teri Khamoshiya Meri Jaan Le Legi,
Bus Ek Baar Zaahir Apne Khyalaat Tua Kar..
Yu Khamoshiyo Se Mashley Hal Nhi Hua Karte,
Jo Dil Me Hai Tere Wo Sawalaat Tua Kar..
Mai Khud Ko Bdal Bhi Sakti Hun, Tere Liye,
Bas Ek Baar Byaa’n Apne Zazbaat Tua Kar..
Tu Khafa Hai tua Khafa Sahi,
Magar Kuch Baat Tua