Hindi Poetry Wishes and Status Messages
Hindi Poetry Wishes
Updated 7 years ago
Zindagi naam hai khawab ka
Hum to ise hakikat samajh baithe
Wo karte rahe humse dillagi
Or hum ise mohabbat samajh baithe.
Ae Dost Itna To Yaad Kiya Hota,
Ek Pyaar Bhara Paigaam Bhej Diya Hota,
Kaise Jeete Hein Teri Yaad Mein,
Ek Baar Haal To Pooch Liya Hota.
Ek Baar Haal To Pooch Liya Hota…
Jab Kisi ke sapne kisi ke armaan ban jaaye,
Jab kisi ki hansi kisi ki muskan ban jaaye,
Pyaar kehte hain use,
Jab Kisi ki saansein kisi ki jaan ban jaaye…
Hichkion ka aana ye batata hay,
Koi humain yaad kar k khud ko rulata hay,
Dil nahi samajhta magar ye to such hay,
Shiddat se yaad hamain bhi koi aata hai..
Phoolo se kya dosti karte ho,
Phool to murjha jaate hai.
Agar dosti karni hai to kaanto se karo,
Kyuki wo chubh kar bhi yaad aate hai…
Sham hote hi ye dil udas hota hai
Tute khwabon ke siwa kuch na pas hota hai
teri yad aise me boht aati hai
chand jb apne sitaron ke pas hota hai.!
Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,
Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,
Khwabon ki tarhan hai,na khayalon ki tarhan hai
woh shak riazi k sawalon ki tarahn hai,
uljha hua aisa k sulajh na saka,
suljha hua aisa k samjh an saka
Kisi ko mohabbat ke sachayi maar gayi
Kisi ko mohabbat ke gahrayi maar gayi
Kar ke mohabbat koi nahi bach sakta
Jo bach gaya use Tanhayi maar gayi.
Sazaa dene waale razaa puchte hai
Jine ki humse vajah puchte hai
Dete hai khud hi zehar humko aksar
Phir kitna hua hai asar puchte hai ali
Zindagi mein itni burai si kun lagti hai
kabhi apne se parai si kun lagti hai
na tu be-rukh hai na mera dil be-gana
dil ki khafgi mein gehrai si kun lagti hai
Haath mein usko kalam ka aana achchha lagta hai,
usko bhi school ko jaana achchha lagta hai.
bada kar diya ghardish ne waqt se pehle warna,
sar pe kisko bojh uthana achchha lagta hai…
Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar
Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa
Koii aavaaz aatii rahii raat bhar
Mai na ek sapna dheka ha
Kissi ko apna dheka ha
Yadon mai uss ki khoya hon
Bda ghafil ho k soya hon
Her pal bas mujhse kehta hai
Is dil mai koi rehta hai
Jis roz usko kho’unga
Uss roz kasam se ro’unga
Yaad to tab bhi aegi
Aankhon ko nam kar jae gi
Pr rone sa kiya hota hai
Kuch kehne se kia hota hai
Jo likha hai apni qismat men
Hr surat wohi to hota hai
Jab usko meri yaad ayaa karegi
Tab vo meri gajal gungunaya karegi
Uthkar dekhegi kabhi tasveer meri
Phir use sine se lagaya karegi
Jab bhi najar aayegi meri nisaniya
Unko daman main chhupaya karegi
Beete dino ki beeti kahani
Chhup chhup ke geron ko btaya karegi
Rakha hai jo usne andhre main “Prakash”
Bhul par apni pchhtaya karegi…
Honton Pe Hansi Dekh Li Dil ke Ander Nahi Dekha,
Aap Ne Mere Gahmon ka Samunder Nahi Dekha,
Kitni khoob Surat Hai ye Duniya ye Dekha hai Aap Ne,
Jee Jee ke Marney Waloh ka Manzer Nahi Dekha,
Sheeshay ka Makaan Tu Ne Bana to Liya Hai Dost,
Lekin waqt ke Hath ka Pather Nahi Dekha,
Rishton ke Tootney ka Dard Tum Kya Jano,
Wo Lamha Tum Ne Kabhi Jee Kar Nahi Dekha,
Bhatkey Roshni ki Talash Mein Na jane Kahan Kahan,
Afsos ke Apni Rooh ke Ander Nahi Dekha…
Teri yadon kay sher main, main kho sa gaya hoon
Main jab sochta hon tumhain sochta hon
Meri manzil hai bas tu, tu hi meri manzil
Main jab mangta hon tumhain mangta hon
Dakhnay ko bohat kuch maray har taraf hai
Main jab dekhta hon tumhain dekhta hon
Mujhay kushian milain yah milain sirf gham
Main yah zindagee teray sang chahta hon.
Tumhari khushbu ka narm jhonka
bohat dhere se chu k mujhko tare pahlu ma le gaya tha
our waqt ka dhara thahar gaya tha ...teri zulfo k ghanay saay
mare seenay k raigzaro pe cha gai thi
k jaise barso se tapte howe sehra pe ghata toot k barsi ho
our tari khushbu ka narm jhonka mari sanso ma dhall gaya tha.
Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,
Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,
Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,
Koi Hi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar,
Ab Ke Logon Mein Wafa Hai Kam Zara Aahista Chal….
Merhaley zabt ke dushwar howey jate hein
ashk palkon ke liye baar howey jate hein
kitney begana-e-iklaas hein duniya waley
hum wafa ker k bhi gunahgar howey jate hein
ban gaya jabr-e-mashiyat meri qismat khadim
phool chunta hoon magar khaar howey jate hein
Jane kya khata he meri aye khuda…
ke har mood par ajama leta he tu…
chahat rakhta hu jis chiz ki use kisi
or ka bana deta he tu…
Jan ke anjan ban'na acha lagta hai
Us ko apny liye pareshan karna acha lagta hai
Wo karte rhe pyar ka iqrar bar bar
Mujh ko Nadan ban kar sun'na acha lagta hy!!
Hum ny tum sy tumheen ko manga
or tum muskura diye
tum yeh bhe to keh sukty thy k
meri jaan bhalla apni cheezen bhe mangijati hain.