Hindi Romantic Poetry Wishes and Status Messages
Hindi Romantic Poetry Wishes
Updated 7 years ago
Kisi ki khatir mohabbat ki inteha kardo,
par itna bhi nahi ki us ko khuda kardo,
mat chaho kisi ko tut kar itna bhi,
ki apni hi wafaon se us ko bewafa kardo.
Jhuki huyi najro se izhaar karr gaya koi
Hume khud se begana karr gaya koi
Youn to honto se kahaan nehi kuchbhi
Padh aankhon se lafz bayan karr gaya koi.
Tere naam se mera dil maheky
tere deed se meri nazar maheky
khushboo se teri meri saans maheky
tasavvur se tere meri raat maheky
raat ke baad phir seher maheky
bhar lee aaghoosh mein to rooh maheky
teri talab teri chahat se mera wajood maheky
har ek lafz se teri wafaa maheky
tere sath se mera har din maheky
tere dum se hi MAHEK meri dunniya maheky
Dil Hi Dil Mein Hum Tumhain Pyar Bahot Krtey Hain
Lekin Saach Hai K Bataney Se Bahot Dartey Hain
Khud Pe To Hai Yaqin Saanson Pe Magar Nahi.
Moat Se Nahi Aey 'Khushi' Zindagi Se Hum Dartey Hain
Har baar dil se yeh paigham aaye,
Zubaan kholon to tera he naam aaye,
Tum he kion bhaye dil ko kya maloom,
Jab nazroo k saamne haseen tamam aaye.
Mai Shayar Nahi Jo Shayari Likhu
Dil Me Dard Nahi Jo Sabdo Me Likhu
Nahi Pata Kaha Se Aate Hai Dard
Nahi Pata Doosro Ke Dilo Ka Marj
Woo Shayar Hi Nahi Jo Khusi Na De Sake
Woo Shayari Hi Kya Jisme Khusi Na Mil Sake
Gamo Ke Badal Tu Har Jagah Milege Dost
Pyar Ki Barish Me Bheeg Kar Dekho
Muskan Chere Pe Na Sahi Khusiyu Ko Tu Lete Dekho
Khusiya Jindagi Me Na Sahi Khilkhila Ke Hasna Tu Sikho
Mai Shayar Nahi Jo Shayari Likhu
Dil Me Dard Nahi Jo Sabdo Me Likhu
Mein apne daman mein chupa loon tujhko.
Dil karta hai apna bana loon tujhko.
Marr k bhi na toote ye rishta hamara.
Is tarha se apni Rooh mein sama loon tujhko.
Apni baahon mein is tarah se le lon.
K phir na baahon se nikalon tujhko.
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata
Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata
Dosti key liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata
Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata
Koshish se badal jaati hai TaQdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata
Wo mujh ko jurm-e- mohabat ki yu saza dega
k lohe dil se mera naam tak meta dega
mujhe ye zid hai k meri ana rahe baqi
use ye zagham k akhir mujhe jukha dega
me ranjeshon se zamane k har jawaon agar
wo aik shaks mera hosala barha dega
bajaye dost k tum apne doshmano se milo
k ye ammal tu kaiy rangeshey meta dega
mere baghar mukamal nahi hai zat us ki
ye ighteraf-e- mohabat mujhe rula dega.
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log
Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log
Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken
Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray matam ki sada arsh hilati hogee.
Main thak gaya hoon janan
kandhon pe daale kab se
beetey dinon ki yaden
tumhari rah guzar mein
gumsum khari hua hoon
ik aas si hai dil ko
palto ge tum kabhi tou
lekin ay mere janan
tumse meri taraf tak
jitne bhi raaste hain
woh badgumanion ke
kanton se bharr chuke hain
kanton mein meri khatir
koi raasta bana lo
bass ab mujhe “” Mana
lo …!!
Buhat Tamna Thi Kisi Ko Pany Ki,
Buht Tamna Thi Kisi Ka Hojany ki,
Pr Kia Pta Tha Jis K Hum Hona Chahty Hen,
Unhy Adat Hi Nahi Kisi Ko Apnany Ki.
Woh mil jatey hain kahani bankar
Dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon mein
Kyun nikal jatey hain wo pani bankar
Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaahon ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere bagarr tabiyat udaas rehti hai
Vo Chaandani Ka Badan Khushbuon Ka Saya Hai,
Bahut Aziz Hamen Hai Magar Paraya Hai
Utar Bhi Aao Kabhi Aasaman Ke sine Se,
Tumhen Khuda Ne Hamare Liye Banaya Hai.
Cheraagh-O-Aftab gum, bari haseen raat thi
Shabaab tha naqab gum, bari haseen raat thi
Mujhy pila rahay thy wo, ke khud hi shamma bujh gai
Gilaas gum, sharab gum, bari haseen raat thi.
Labo’n se lab jo mil gaye, labo’n se lab hi sil gaye
Sawaal gum, jawaab gum, bari haseen raat thi.
Likha tha jis kitab mein, ke ishq to haraam hy,
Hui wohi kitab gum, bari haseen raat thi.
Samny Munzil Thi Pechy Uski Awaz,,.
Rukta To Safar Jata,Chalta To Bechr Jata, ,.
Uski Ulji Sansen Meri Rukawat Bni,,.
Chlta To Woh Mar Jata,
Therta To Main Mar Jata, ,,
Usk Nam Se Wabista The Meri Yaden,,.
Woh Mjy Yad Krta To Main Pton Ki Tarah Jhar Jata, ,..
Sharab Peny Ki Mjy Adat Nhe The, ,..
Pee B Leta To Usko Bna K Ghazal Gata,..,
Aye Dosto Kuch Dir To Ther Jaty Mayyat Peh Meri, ..,
Shyd Usy Khbr Ho Jati Woh A Jata!
Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo
Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum
Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum
Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…
Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…
Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!
Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……
Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!
Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray matam ki sada arsh hilati ho gee
Kabhi chaho ge to chahat se bulain ge tumhen,
Dard e dil hota he kia ye dikhain ge tumhen,
Muhabat hoti he kia muhabat kar k dakh lena,
Phir mere pass ana kuch or batain ge tumhen,
Kabi na aayen ankh men ansoo to aisa karna,
Ek sham mere pass ana buhat rulain ge tumhe,
Har pal raho ge bechain muhabt men,
Khayal ban kar pal pal satain ge tumhen,
Pochte ho jo zinda rahne ka sabab,
Chalo kisi roz tum se hi milwain ge tumhen.
Kar Na Dunya_e_Ghum k Hawaly Mujh ko,,
Mai Tabassum Høn To Høntøn Pe Sajaaly Mujh kø..
Tu M¡la Hy Tø ye h¡ khøf Laga Rehta Hy,,
Mera M¡lna k¡s¡ Uljhan Ma¡n Na Daaly tujh kø..
Is yaqeen Par H¡ Andherøn Ma¡n Safar jaar¡ Hy,,
M¡l H¡ jaaengy k¡s¡ Røøz Ujaaly Mujhkø..
Ter¡ berukhi Ne Tø Majbøør k¡ya hy jeeny Par,,
Ab Tera Pyaar kaheen Maar he Na Daaly Mujhkø..
Be N¡yaaz¡ ka ye Andaza Nah¡ kuch Bh¡ “MØHSIN”,
Baat Tø Tab Hy k tu muj Se he chura ly Mujh ko