Bachpan ke din kitne ache hote the, Tab "DIL"nhi sirf "KHILONE" tota krte the... Ab to ek ansu tak b saha nhi jata, or Bachpan me jee bharkar roya krte the
Kadmo ki duri se dilo ke fasle nhi badte,
Door hone se ehsas nhi marte,
Kuch kadmo ka fasla hi sahi hamare beech,
Lekin aisa koi pal nhi jab hum apko yad nhi krte..
Har kadam aapke hothon pe hansi ho, haar pal aapke dil me khushi ho, sitare bhi zameen par aakar aapko gherle, aisi chand ke tarah chamakti aapki zindagi ho…
Kbi Kisi Ko Inta Yaad Mat Karo, K Phir Bhoola Na Sako...... Kbi Kisi Ko Inta Pyar Na Karo, K Phir Nafraat Na Kar Sako..... Kbi Kisi Ko Apne Itne Karib Na Hone Do, K Phir Apne Se Duur Na Kar Sako...
Kuch Ulje Huye Sawaalo Se Darta Hai Dil, Na Jaane Kyon Tanhaai Me Behta Hai Dil, Aapko Paane Ka Khyaal Koi Badi Baat Nahi, Bas Kho Dene Ke Khyaal Se Darta Hai Dil
Hum rait pe naam kabhi likhtay nahi;
Rait pe likhay naam kabhi tikhtay nahi;
Loog hamay pathar samajhtay hain;
Par patthar pe likhay naam kabhi mittay nahi!!!!!
Duniya ka har shauk pala nahi jata, Kaanch ke khilono ko uchala nahi jata, Mehnat karne se mushqile ho jati hai aasan, Kyunki har kaam taqdeero per tala nahi jata…
Dua Karte Hain Rabse Hum Yuhi Sath Rahe,
Pyar Ke Is Rishte Ko Puri Imandari Se Nibhaye,
Mana Zindgi Ki Raho me Kuchh Kante Bhi Milenge,
Par Aap Agar Sath Honge To
Kanto Per Bhi Phool Samajkar Chalte Rahenge…
"Parindo ko nahi di jati taaleem udaano ki Woh khud hi tay karte h manzil asmano ki Rakhta h jo housla asman ko chune ka Usko nhi hoti parwah gir jane ki.
Lab Khulte Hai Band Ho Jate Hai,
Sacche Dost Milte Hai Bichad Jate Hai,
Per Jab Saath Bitaye Din Yaad Aate Hai Toh
Hasti Aankhon Se Bhi Aansoo Nikal Aate Hai…
Lab Khulte Hai Band Ho Jate Hai,
Sacche Dost Milte Hai Bichad Jate Hai,
Per Jab Saath Bitaye Din Yaad Aate Hai Toh
Hasti Aankhon Se Bhi Aansoo Nikal Aate Hai…
Kuch Is Tarah Se Dekha Ke…
Usne Mujhe Kuch Is Tarah Se Dekha Ke Me Use
Mohobbat Karne Pe Majboor Ho Gaya,
Uske Ek Ishare Pe Duniya Tabha Karne Pe Majboor Ho Gaya,
Uske Is Nazariye Ko Me Pyaar Samajh Betha,
Isiliye Aaj Use Bewafa Kehne Pe Majboor Ho Gaya….
Kaise sukoon paau tujhe dekhne ke baad..
Kya gazal sunaau tujhe dekhne k baad..
Aawaz de rahi hai meri zindgi mujhe..
Jaau na jaau main tujhe dekhne ke baad…
Shayad yeh waqt humse koi chaal chal gaya,
rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya,
ashqon ki chandni se thi behtar woh dhoop hi,
uss mod se shuru kare phir se zindagi…
Hakikat Ban kr mile aur khwab bankr reh gye, Kuch log mile sawalon ki tarah, or jwab bn kr reh gye, Kuch khwab diye kuch Gum dekr vo jane chale gye kahan ? Mere tanha lamhe in baton ka bs hisab Karte reh gaye..
Tera sath hai to mujhe kya kmi hai, Teri her muskaan se mili mujhe kushi hai, Muskuraate rahna isi trh humesha, Kyo ki teri is muskaan me meri jaan bsi hai.