Sardar to Pandit: Aapke sir pe Choti kyun Hai?
Pandit: Is se Mere Dimag Me Vichar Aate Hai
Sardar: Sala Idhar to pura TATA-SKY Laga Hai Fir Bhi kuch nhi ata.
Jo hasaye hume wo dost,
Jo rulaye hume wo pyaar,
Jo jhuke wo dost hai,
Jo jhukaye wo pyaar hai,
Jo manaye hume wo dost,
Jo sataye hume wo pyaar,
Phir bhi dosti chod ke log kyu karte hai pyaar.
Aaj mene khuda se ek dua mangi,
aur dua me mene apni maut mangi,
pheer khuda ne mujhse kaha,
dene ko to maut me tumhe abhi dedu lekin usko kya jawaab du jisne teri lambi umar mangi.
Andhere Main Rasta Banana Mushkil Hota Hai
Tufan Main Dipak Jalana Mushkil Hota Hai
Dosti Kisi Se Bhi Karna Mushkil Nahi
Magar Ise Nibhana Bada Mushkil Hota Hai…
Muskan tere hoto pe,
Toh khushi mere dil mein hoti hai.
Agar dard tere dil ko ho to, Aankhein mere roti hai.
Tu mehasus karke dekh
Dosti aisi hi hoti hai.
Zindgi ka pehla pyar kaun bhulta hai
Ye pehli bar hota hai jab koi kisi ko
Khud se badhkar chahta hai,
Uski pasand uski khwahish me khud ko bhul jata hai,
Hota hai itna khubsurt pehla pyar to na jane
Kyu aksar adhura reh jata hai…
Pataa hai sabse pyaara Rishta kiska hota hai?
DO ANKHON kaa,
Jo ek Saath jhapakti hain,
Ghumti hain, Dekhti hain,Roti hain,
lekin fir bhi wo dono ek dusre ko dekh nahi sakti.
Dosti aur pyar nadi kinare ghumne gaye,
Pyar nadi me gir gaya kyon ki
Pyar andha hota hai.
Uske pichhe dosti bhi gir gayi,
Kyon ki dosti kisi ka sath nahi chhodti.
Ek wada kiya tha Ek wada nibhane ke liye
Ek dil diya tha Ek dil pane ke liye
Usne Mohbbat sikhadi aur kaha
Maine to pyaar kiya tha tumhe aazmane ke liye…
Kuch Badli Hui Taqdeer Nazar Aati Hai;
Dur Tak Yadon Ki Zanjeer Nazar Aati Hai;
Mai Padhu Tho Kya Padhu Dost;
Har Panhe Par Teri Tasveer Nazar Aathi Hai.