Mohabbat k chand ko Apni panahon main rehne do,Labo ko na kholo aankhon ko kuch kehne do,Dil pe haath rakho aur kuch dair ko rehne do ..Mujhe mehsoos karo or apne pass hi rhene do
usko chaha bhi to izhaar karna na aaya,kat gayi umr saari hamein pyar karna na aaya.usne manga bhi agar kuch to judai mangi,aur hamein inkar karna bhi na aaya!
Karte hai tujhe pyaar karte hi rehenge, Bewafa duniya se ham ladate hi rahenge, Ae bhool jaao tujhko ye mere bas me nahi, Chaha hai tujhe ham chaahte hi rahenge
Zindagi mai kuch na mila humko to kya gum hai Aapka pyar mila humko kya ye kam hai Aapki dil mein ek chotisi jagah jo palun to woh jagah kya tajmahal se kam hai
Mehafil main jab dekha achanak unko, Unse gujar kar aati hawa sharaab hone lagi, Unhone aake haal pooch liya mera, Jaane kyon meri haalat kharaab hone lagi.
Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho, Khooshbu bhi us phool ki jo mere paas ho… Manjil na mil saki hame to koi gam nahi… Gam bhi usi shakhs ka hota jise pyaar ka ehasaas ho.
Kitna haasil hai sanam tera ye muskura dena, Najare milakar phir najare jhuka dena, Kaise kahu ki kitana aasaan hai tere liye, Qayamat ki bijaliya gira dena.
Q Tadpakar mujhe tum mera imtihan lete ho, Tum jaan ho meri Q meri jaan lete ho, Tumahre seene me jo dhadakta hai woh hai dil mera, Meri her dhadkan me tum ho Q nahi maan lete ho.
Jab ho aapka pyara sa saath aur Ho haatho me haath, tanhaai ho…rangeen, Ho sama jaha koi aur nahi sirf aap aur ham ho waha, Tab hogi barsaat pyaar ki, mere aur sirf mere pyaar ki.
Agar talaash karoge to koi mil hi jaayega, Magar kaun hamaari tarah tumahe chaahe ga, Tumhe jaroor koi chaahto se dekhega, Magar wo aankhen hamaari kahan se laaye ga.
Aashiq ne pucha khuda se, Tune duniya ko pyaar ka dushman kyu bana diya? Khuda bola aashiqo ne kaunsa mere saath accha kiya, Unhone ne bhi toh yaar ko khuda bana diya…