Aa k meri kabr pe tune jo muskura diya, bijliyan chamak uthi sara badan jala diya. Jeete je na poocha haale dil kabi, ab aye ho poochne jab khaak me mila diya ?
Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta, fiza gai to baharo me ji nahi lagta, na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai, yahi kahungi hazaron me ji nahi lagta.”
Najron ko chhipa ke rakhna, kaatil hai teri nazar; Ek ko to maar diya tumne, karogi kitnon ko ghayal!! Ghayal karaana Ankhon ki adat nahi hoti hai Ghayal hone walon ki Neeyat kharab hoti hai
Khud ko is Dil mai Basane ki Ijazat De Do Mujh ko Tum apna Bananay ki Ijazat De Do Tum Meri Zindagi ka Ek Haseen Lamha ho Phoolon se Khud ko Sajanay ki Ijazat De Do
Ye Judai apni Aarzi hai, Na Dil mai is ka Malal rakhn Hamari Aankhon ne mil k jo Sapne dekhe wo sare Sambhal rakhna Tumari Saansein aur Dharkanein sab Meri Amanat hai Is liye Tum apna Khayal rakhna
Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain agar har baato par uski naam lete hain agar ise pyar kehte hain toh haan maine bhi kissi se pyar kiya tha..
Kaise kehdon zindagi ko teri jaroorat nahi, jhooth kahta hoon jo kahata tujhse mohabbat nahi. ji kahta hai chal kisi maykhane me, aaj kuch thik apni tabiyat nahi.
Hamein bhi mile koi chahne wala, hum toh pyar k liye bekrar baithe hain. Koi vada kare sapno mein aane ka, hum toh umar bhar sone ko taiyar baithe hain
Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai, Meray paon main zanjeer nazar ayai, Gir paray aason aakhon say or, her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai
yeh dil ka zakhm tumney diya hai tou koi baat nahin yeh jigar ka dard agar tumney diya hai tou koi baat nahin majaal kiski thi ki kehta mujhey deewana magar yeh tumney kaha hai tou Koi Baat Nahin……