Os ko bohat chaha magar woh mila hi nahi, LAkh koshish ki magar faasla mita hi nahi, Os ko zamaney ne majboor is qadar kr diya K , woh meri kisi sada per thehra hi nahi,
Wo kahin b rahen sar pe uske ilzaam to hai,uske hathon ki lakiron me mera naam to hai,wo mujhe apna banaye ya na banaye zamane me mere naam se woh badnam to hai
Pucho na us kagaz se jis pe hum dil ke bayan likhte hai.Tanhayi me beeti baate tamam likhte hai.Woh Kalam bhi diwani ho gayi jis se hum AAP ka Naam likhte hai
HUM AAP KO KABHI KHONEY NAHIN DENGE JUDA HONA CHAHA TO BHI HONE NAHIN DENGE CHANDNI RATON MEIN AYE GI MERI YAAD MERI YAAD KE WOH PAL AAP KO SONE NAHIN DENGE
Chaho Tum Jise Chahat se Zyada* *Sapne Dekho Tum Jiske Neend se Zyada.* *Mango Tum Jise Mannat se Zyada* *Khuda Kare Wo B Tume Pyar Kare * *Apni Saanso se Zyada.*
Avaz sun lete agar is dil k rone ki, Jarurat na pdti. hame u palke bhigone ki, Vo the hi kaha hmare jo gair hue, Hote hum unke to koshish na karte vo dur hone ki
dekhi jo nabz meri to kuch soch kar kalam uthai aur ishq ka bemar bana diya may kurban kyon na jao is tabib par jis nay nuskhe may sarbate dedar likh diya
Dekho aawaz dekar, paas hamme paoge, aaoge tanha par tanha na jaoge, dur rahkar bhi tumhi par hai nazar meri, hathon se tham lenge jab bhi thokar khaoge
Ehsaas Bohat Hoga Jab Chor Ke Jaingay Roengay Bohat Magar Aansu Nahi Aaengay Jab Saat Na De Koi To Awaz Hamain Dena Aasman Per Bhi Hongay To Lout Ke Aaengay
Lehro se milkar na wo beh sake na hum! Ek duje k dil me na wo reh sake na hum! Jeet lete aasma ek din lekin palko ki khamoshi ko honton se na wo keh sake na hum!
Nasha jaruri hai zindagi k liye,par sirf sharab hi nahi hai bekhudi k liye, kisi ki mast nigahon me doob ja ae dost, bada hasi samundar hai khudkushi ke liye.
*Har pal pyar ka irada hai aapse* *apnapan hi kuch itna zyada hai aapse.* *Na sochenge sirf umar bhar k liye* *Qayamat tak sath nibhayenge ye wada hai aapse*
meri kisi khata pe naraj na hona. apni pyari c muskan kabi na khona. sukoon milta hai sunn kar apki hansi ko, haste rehna zindgi me kbi udaas na hona…….
ham apne aap mein yun gumm hue hein muddat se, hame to jaisay kisi ka bhi intezaar nahi… kisi ko toot kar chaahen ya chaah kar tootain, hamare paas to itna bhi ikhteyaar nahi…
saans tak nahin laita hain hum tum ko soochtay waqt.Is kaam ko bhi hum ne kal per utha rakha hai.Rooth jate ho tu kuch aur haseen lagte ho.hum ne is liye tum ko khafa rakha hai
Hosh mein reh kar bhi madhoshi ka aalam rehta hai, Dil ke dariya mein tu na reh kar bhi samaya rehta hai, Kaun janta hai ki khushiyan kahan milti hai, KHUSHI ko agar dhundo to har mod par maut ke Suadagar milte hai
Main uski shakal ko dil se utar deti hoon…..kabhi kabhi tu main khud ko bhi mar deti hoon…..ye mera haq hai mai use dukh bhi doon….main chaht bhi tu use beshumar deti hoon.
Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai Aise hi mohabbat ki shuruwat hoti hai Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum Pata nahi kab din kab raat hoti hai
Koi kehta hai mohobat zehar hoti hai, koi kehta hai mohobat kehar hoti hai,hum kehte hai jo tadpati rahi sada kinare k liye,mohobat ek aisi lehar hoti hai..