Mahek unki aaj bhi meri sason me hai, har ek adaa unki meri in aankhon me hai. woh bhale mita de dil se mera wajud, Magar unki jagah aaj bhi meri in yaadon me hai.
Boond boond se hai sagar ki geheraai, Iss ki har ek boond mujh mein hai samaai. Koi maange to ek boond bhi na de sakenge, Kyunki har ek boond mein aapki MOHABBAT hai samaai.....
Jiss ko kehte hai mohabbat hai khuda ki nehmat, Sab ki kismat me ye daulat ho zaruri to nahi, Chand chunn-ne ki tamanna to hum ko bhi hai, Magar door kaa chand haqiqat ho zaruri to nahi
Yu to yaade purani nahi hoti, Har kisi ko pana sab ki kismat nahi hoti. Hum dil rakh aaye the unke kadmo me, Ye jaante hue b k unki nazar zamin pe nahi hoti.
Log kehte hai mohabbat me hum mar jaayeinge, Raah kaisi bhi ho hum guzar jaayeinge, Tum sitam karke mohabbat ko naa mite paaoge, Hum sitam seh kar bhi tere dil me utar jaayeinge.
Jab b aapki yaad aati hai, mere honthon pe ye fariyad aati hai, khuda khush rakhe aapko hr haal me, kyunke hmari khushi to aaj b aap ki khushi ke baad aati hai.
Raat bhar jagh kar hamne tera rasta dekha hamse mat poch in ankhon ne kia kya dekha ham bhi shayad kisi ankhon mai panah le letey is bhare shahar mai ek chehra na tum sa dekh
Unki tasveer yuh aakho me bas gayi hai, Ki dekhte hai jo bhi nazara,..... wohi dikhai dete hai, Pehle na kabhi mehsus kiya tha dil ki dhadkan ko, Ab to har bar dhadakta hai.. .... wohi sunai dete hai....
Pehle kabhi tanha na tha yeh dil kisi ki yaad me, Phir aaj kyu yeh tera naam pukare ja raha hai. Humne to sirf basaya tha tujhe is dil me, Phir aaj kyu yeh tujhe apna banaye ja raha hai.
Kyon koi chah kar mohobbat nibha nhi pata, Kyon koi chah kar rishta bana nhi pata, Kyon leti hai zindagi aisi karwat, Ki koi chah kar bi pyar jata nahi pata..
Sapne ki tarah tujhe saja ke rakhu, Chandini raat ki nazroon se chupa ke rakhu, Meri taqdir mere saath nahi, Warna zindagi bhar tujhe apna bana ke rakhu.
Khyal tha ki hum tujhe razdan bana lete Magar ye log nayi dastan bana lete Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum Zamin khud ko tujhe aasman bana lete
Paane se khone ka mazaa kuch aur hai, Band aankhon me rone ka mazaa kuch aur hai, Aansoo bane lafz aur lafz gazal, Aur uss gazal me aap ke hone ka mazaa kuch aur hai
Tere pyaar me wo kar ke dikhau, Marne ko keh do to marr ke dikhau, Phir se janam le ke iss duniya me aayu, Tamanna phir bhi yahi hogi tujh ko hi paaun.
Khushi se mare to aap ko paa kar marenge, Gum se mare to aap ko kho kar marenge, Gum naa hoga iss duniya se jaane ka, Jaise bhi mare aap ke ho kar marenge.