Sitaron Ke Bagher Asmaan Mein Rakha Hai Kia? Bin Teray Jeenay Mein Rakha Hai Kia? Lagta Hai Sub Kuch Adhoora Adhoora Sa Khushi Ke Baghair Hansnay Mein Rakha Hai Kia
Roshni hote hue bhi dil mein andhera hai, In andhero main kisi ka bseraa hai, Aana kabi roshan krna hamari mehfil ko, Dekhna dil ki har diwaar pe naam tera hai
Jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai.... Woh mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai... Bichadh kar us se pereshan mein to hoon.... Per suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai...
Kabhi Kabhi Mohabbat Mein Judaai Bhi Aati Hai, Par Judaai Pyaar Ko Aur Bhi Gehra Bana Deti Hai, Do Pal Ki Judaai Mein Aansoo Na Bahaa Aye Dost, Judaai Ki Tadap Pyaar Ko Aur Pyaara Bana Deti Hai....
Har kadam pe dhoke milte rahege par fiza me phool phir bhi khilte rahege yeh haqeeqat hai lowg aksar badal jate hai par phir bhi anjaano se dil milte rehte hai..
Bhula kar hame wo khush reh payenge sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena, Hum to seh gaye par wo toot jayenge!
taqdeer thi aisi ke kabhi khush na rahsake sab kuchh diya khuda ne magar ham na sah sake chahat hamari phool thi ek vo hi na mila ghar me dher motiyon ka chaha na jo kabhi
Barishon k mausam main tumhain yaad karney ki adat purani hai ab ki baar socha hai adatain badal dalain phir khayal aya k.... adatain badalney se barishain nahin rukti....
Dua Toh Yaad Nahin , Bas Fakat Itna Yaad Hai, Doo Hatheliyan Thi ,Ek Teri Thi Ek Meri Thi, Shisha-E-Dil Todna Pada Hamein, Intihan Mohobaat Ki Kya Batayen Yaaron , Ussi Ke Liye Ussi Ko Chodna Pada Hamein.
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna, Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna, Kaante to phir bhi daman tham lete hain , Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye mein milne aau par tu bahar na aaye anjaan hai hamare pyar se vo ab tak ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye
Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya Maine samhja hai khud ko sada amanat teri, Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya
labo pe geat to aankho mei khwab rakhte the.. kabhi kitabo mei hum bhi gulaab rakhte the .. kabhi kisi ka jo hota tha intezar humei.. bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the...
Sab apki ankhon se jahan dekh rahe hai mai apki nazron me jahan dekh raha hun,tu dhundh rahi hai mujhko wahan mere dost me kab se teri raah yahan dekh raha hun
Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha...
Woh dil kidher se lau teri yaad jo bhula de , Mujhe yaad aane wale koi rasta bata de , Mere dil ne tum ko chaha kya ye meri khata hai , Mana ke ye khata aisi bhi na saja de
Chaar din ka hasna tha zindagi bhar ka rona jholi paa beithe hum kahan zaalim duniya ki baaton mein aa beithe aaj fir tadpe dil uski yaad mein najane kyun aaj fir uski yaad ke moti palko pe saja beithe
Aaj Kah Dunga Shab-E-Gum Ki Shararat Unse Roz Aa Jati Hai Kambaqt Satane Ke Liye Humko Maloom Tha Aap Ayenge Mere Ghar Lekin Khud Chala Aya Hoon Yaad Dilaneke Liye