Aap rehte ho dur kuch pal ke liye Dur rehkar bhi kareeb ho har pal ke liye Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye Jab ke dil me ho aap har pal ke liye.
Haste dilo me gham bhi hai, muskurati aankhe kabhi nam bhi hai, dua karte hai aapki hansi kabhi na ruke, kyunki apki muskurahat ke deewane hum bhi hai.
Bite pal phir la nahi sakte, sukhe phul phir khila nahi sakte, kabhi kabhi lagta hai aap hume yaad nahi karte, par dil kehta hai aap hame bhula bhi nahi sakte..
Hamare rishtey ko dil se juda na krna, zindagi main na kbi ye gunaah krna, kuch pal beet jaye tmse bat kiye bina, zindagi na beet jaye ye dua krna..........
Dil se dil milane ki koshish ki hai, tumhare dil me samane ki koshish ki hai, tum chahe hume yaad na karo, humne to baar baar yaad dilane ki koshish ki hai.
Raat ka andhera kuch kehna chahta hai?. yeh chand chandni ka sath rehna chahta hai? hum to tanha hi khush the? mager pta nhi kyu yeh dil ab kisi ke sath rehna chahta hai?.
Gulab ki mehak bhi fiki lagti hai, Kaun si khushbu mujme basa gayi ho tum, Zindgi hai kya teri chahat ke siva, Yeh kaisa khwab aankho ko dikha gayi ho tum.
Thora Likhti Ho Kya Khoob Likhti Ho Choti Si Soch Kamal Zahn Rakhti Ho Khushi Deni Ya Gham,Kya Stock Rakhti Ho Manti Nahin Modern Hoon Q Naqab Main Rahti Ho
Waqt Apni Raftar Se Chalta Jayega, Zindgi Ko Ek Alag Mukam Pe Lejayega, Yu To Kami Nahi H Aapno Ki Par, Apki Jagah Na Koi Tha, Na Koi Hai,na Koi Le Payega!
Kyo yaad aati ho dil dukhane ke baad kyo dur jati ho pas aane ke baad humne to bahut chaha hai dil se tumko fir kyu aansu de jati ho yaad aane ke baad.
Ye dil bda kamjor h ise koi samjhata nhi ye tumse pyar bahut karta h par kah pata nhi darta h kahi tumne ise thukra na diya kyonki ek tum hi ho jiske bina ye rah pata nhi.
yaad ap ko kuchh is trah krte hain, ki ap ki yado me hi khoye rahte hain, kb gujar jati hain din aur rate, fir bhi ap ki khyalo me jagte hue hi soye rahte hain.
Mere kuch lafz aise hain, Jo apni band aankhon se, Tere dil ki her ek tehreer parhty hain, Woh hain to lafz he lekin, Woh ek taqdeer rakhty hain, Kabhi jo rooth jao tum, Na mujhse maan pao tum, To tumko woh mananay ki, Her ek tadbeer rakhty hain, Mere kuch lafz aise hain.
Chupke Se Jo Mangi Hai, Un Duao Me Tum Ko Pana Hai, Tum Rooth Ke Mujse Na Jao, Muje Sath Tumhara Pana Hai, Tum Laut Ke Wapis Aa jao, Muje “Hamsafar” Tumhe Bnana Hai