Samajhte hai wo ki pathar hai hum,
unko thokar maar jayege,
bewafa ek baar kah de nafrat hai humse,
khuda kasam pathar to kya phul bankar bhi rahon me nahi
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,
Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,
Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal
Humare samne humari mehfil main aye baithe hain,
Apne haathon ko sine se lagaye baithen hain,
humne poocha ke haaton main kya hai,
Bahana bana diya, haathon main mehndi lagye baithe hain.
Masti ko muhabbat me fanaaa koun karega ..??
yeh farz mere sewa adaa koun karee ga ...???
Haathoo ki lakiroun ko zaraa dekh najomi......
yeh dekh mere saath wafa koun karee ga?????
ham jante hai bewafa tum mujhe barbad karogi,tod kar dil mera jahan apna abad karogi,tujhe nafrat hai meri mahhabat se phir bhi,dil de rahe hai tum bhi kya yaad karogi.
Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho..
Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte ho..
Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey ho..
Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte ho
uski aankho me mohabbat ki chamak aaj bhi he,use mere pyar pe shak aaj bhi he,NAAV me baith kar dhoye the haath usne,saare TAALAB me MEHNDI ki mahak aaj bhi he
Mulakat maut ki mehman ban gayi hai
Nazar ki duniya veeran ban gayi hai
Meri sans bhi ab meri nahi rahi
Ye zindagi aapki mohabbat par kurban ho gayi hai
Tere intezar me palke bichhaye baithe hai.
wo ayege isiliye ummid jagaye baithe hai.
na todna kabhi milne ka wada
ki hum ab to apni jaan ki bazi lagaye baithe hai
Ab ke yoon Dil ko saza di hum ne
Is ki har baat bhula di hum ne
Ek ek phool bohat yaad aaya
Saakh-e-gul jab woh jala di hum ne
Aaj tak jis pe woh sharmate hein
Woh baat kab se bhula di hum ne.
Kitna haseen phir se nazara bana diya
Jaise Khuda ne tum ko dubara bana diya
Aaya tha imtihaan mein mazmoon husn par
Hum ne paper mein chera tumhara bana diya
Dur ho gaeho par bhulaya nahihai,
Ehsash tere honeka dilse mitaya nahihai,
Jis dinse gaeho mujhe tanha karke...
Teri kasam maine thikse muskuraya nahi hai.
Kabi Tu Millay Wo Pehli Mulaqaat Ki Tarah.
Bigra Hi Kyoun Wo Rehta Halaat Ki Tarah.
Wo Aik Dosat Jo Hai Mujay Jan Sai Bi Payara.
Mujay Waqat Tu Daita Khairat Ki Tarah.
Tumhre sine me bhi dharakta hai ek dil
Ye sonch lena kisi ka dil dukhne se pahle
Umar bhar kon kiske liye rota hai
Log sirf aansu bahte hai dafnane se pahle
Thori hi sahi magar ek yad to hai
Kuch na sahi magar koi bat to hai
Na sonch kar bhi ham kisi ko sonchate hai
Nigahon se dur hi sahi
Koi dil ke pas to hai