Dil mera ho aur saanse aap lo,
Aansu hum piyenge agar gum aapko ho,
Kuch nehi chahiye bas khuda se ye dua karte hai,
Zindegi ki haar khusi aapko mile
Chahe hume mauth hi kyun na mukammal ho.
Bicherty waqt osne kaha tha
Na sawal kerna na jawab milega
Mujhy bhul jana qarar milega..
Hum os maqam per thy
Na sawal kiya na jawab mila
Na bhul sakey na qarar mila...
Gardishen laut jati hain meri balain le ker
Ghar se jab nikalta hun mein MAA ki duain le ker
Labon pe os k kabhi bad-dua nahin hoti
Ek MAA hi hai jo mujh se khafa nahin hoti...
mere aane ki aahat pe shama jalai tho hogi.. kabhi judai ke gham se aankh bhar aai tho hogi.. fikr na kar, mayus na ho ae-Dost.. us rab ne MILAN ki KOI shaam tho banai hogi..
Manzil na pa sake to kya hosla to hai Saath nahi karwaan to kya rasta to hai Uthenge kadam phir se manzil ke taraf Koi nahi saath to kya, khud pe bharosa to hai
Meri Dharkan Se Dil Ka Dharkna Mangoge Ek Din Tum Mujhse Mera Pyaar Udhar Mangoge Main Voh Phool Hoon Jo Tere Chaman Se Na Niklega Apni Veeran Zindagi Ke Liye Bahar Mangoge
Dil me kuch bacha nahi dard ke siwa, aankho me aata nahi koi aansu ke siva, Dost tu matsaath chodna mera, zindagi me kuch bacha nahi teri Dosti ke siwa
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte; Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain. Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai Sakhta patthar ke peeche ka dard kise pata hota hai?
Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaani mein woh naam nahin hota jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho
zindagi mein kyon apni tanhayi si hai apna koi nahin aur bheedh badi hai puchhe jab koi kyon ankhe hai gamzada hanste hue kahte hai ki kirkiri padi hai