Bhula ke hume wo khus reh payegi,,
saath me na sahi mere jane k baad muskurayegi,,
dua hai khuda se ki unhe dard kabhi na de,,
hum to seh gaye par wo toot jayegi........
Kyun rooth jane k baad manati hai duniya,
Kyun dur jane k baad bulati hai duniya,
Jeete jee koi kami reh jati hai,
Jo marne k baad bhi jalati hai duniya.
Mujhe rula ke dil uska bhi roya hoga,,
chehra ansu se usne bhi dhoya hoga,,
agar na kiya haasil kuch humne pyar me,,
kuch na kuch to usne bhi khoya hoga........
Use bhi ishq hai aur maut se bhi pyar hai,
Un par bhi yakeen hai aur maut par bhi aitbaar hai,
Dekhte hai pahle kaun aata hai hume to dono ka intejaar hai.
Mohabbat sabko mil jaye jarui to nahi,,
wo bhi hume chahe jaruri to nahi,,
kuch log bahut yaad ate hai is dil ko,,
hum bhi unki yaad ban jaye jaruri to nahi.......
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
Mehfil na sahi tanhai to milti hai...Milan na sahi judai to milti hai...Kaun kehta hai mohabbat mein kuch nahi milta...Wafa na sahi bewafai to milti hai…
Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua
Kuch aise din b meri zindagi mei aaye hai.. Aankhe jab roti hai honth muskaraye hai, sabse jyada jo dur gaye mere daman se,jaane ku sabse adhik yaad wahi aaye hai..
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai Tut ke mera bikharna to abhi baqi hai Pas akar mera dukh dard batanewale Mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya
Roye ho bahut tab zara karar mila hai, Is jahan mein kisey sacha pyar mila hai, Guzaar rahi hai zindagi imtehan ke daur se ek khattam hoa toh doosra taiyaar mila hai .....
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai Is ghum ke mausam mein, mera dil ro raha hai Aur alam kuch is tarah ho raha hai Hum jaag rahe hain, sara jahaan so raha hai
Pukarne se pahle hi, dil ki meri sada sunana akela chalne se pahle, meri kabar ke phool chunana wada-e-wafa bas hamare hokar nibhana jaan dene ki baat, app kabhi hargiz na karna......
La pila de saqiya paimana paimane ke baad Hosh ki baate karunga hosh me aane ke baad Waqt do hi zindagi me guzre hai kathin Ek tere aane se pahle ek tere jane ke baad.
Safar me dhoop to hogi jo chal sako to chalo Sabhi hai bhid me tum bhi nikal sako to chalo Yaha koi kisi ko rasta nahi deta Muje gira ke tum sambhal sako to chalo