A dost dehk dil ki nagri udaas TERE BIN
Bujhti nai ankhon ki piyaas TERE BIN
Zindagi mein to aansuoo ka SALAAB HAI
Karon kiya khusiyoon ki talaash TERE BIN!
A mere dost kahan kho gaya
kis qadar veeran hai choti si duniya meri
PHOOL KHUSHBU sab hain pas bs
ik teri kami hai jo mujhe har pal teri yad dilati hai
Khoobsoorat Chand ke saath Chandi bhi hain...
Pyarvare Dil ke saath Dildar bhi hain...
Lekin aisa kyon laage hein mujhe...
Mere dil ke chandi ko ajiwan amavas hain...
Tum gaye to zindagi b roth gai,
ek yaad k siva mere pas kuch nai hai,
tujhse bhol kar b bholana lagti hai saza mujhe,
tujhe lot kar aana meri aas.e.zindagi hai!
Meri mohhobat ki itni si kahani hai,
tuti hui kashti aur ruka hua pani hai,
Ek GULAb jo unki kitab me dam tod chuka hai,
aur unko yaad nahi ye kiski nishani hai.
Najaane us pe itna yakeen q hain,
uska khayal itna haseen q hain,
suna hai pyaar ka dard meetha hota hain,
to phir aankho se nikla aansu namkeen q hain.
Vade karte hain,kasmein khate hai,
phir bhi na jane kyu log saath chod jate hai,
Hame to taklif hoti hai phul todne mein bhi,
na jane log dil kaise tod jate hai?
khud hi raste tabahi k nikale humne,
kar diya dil kisi patthar k hawale humne,
ai logo hume mat sikhao kya hoti hai mohabbat ,
khud k hi ghar jalakar dekhe hai ujale humne!
Haqeqat na pouch mereafsany ki
Tere jatay he badel gai naZar Zamany ki
Log pochtay hain main khush kyun nhi
Kya kahon meri to adat thi tere sang muskrany ki.
Ashiq marte nehi..zinda dafnaye jaate hai..,
Kabar khod ke dekho..Aapni mahebooba intezar me paye jaate hai..,
Hindu kahete hai..ki ise jala do,
Muslim kahete hai..ki ise dafna do,
magar is bedard zmane me koi ye nehi kaheta..
ki ise iski mahebooba se mila do...
Dil ko dil lagi se bachaya na ja saka,
kismat se apna ap churaya na ja saka,
hairat hai log kasy khuda ko bhool ge,
hum se to shaks bhulaya na ja saka.
Aap ki dosti se chalti hai sans hamari
Aap ki aawaz na sune to badh ho jati darkan hamari
Aap se dosti ki ye saza mili humen
Zakhm judai de gai kismat hamari.
Bharosa ban ke log zindagi mei aate hain,
Khwab ban ke aankho may sama jate hai,
Pehle yakeen dilate hai ki woh hamare hai,
Phir na jane kyu wo badal jate hai..
Hasne ke baad kyun rulaati hai ye duniya?
Jaane ke baad kyun bulaati hai ye duniya?
Zindagi mein kya kuch kasar baaki thi...
Jo marne ke baad bhi jalaati hai ye duniya.
Mere gusse ne mujhe barbaad kardia, mein janti thi ke mein apno ko khush ni rak paon gee isliya ab meine apni jaan se B pyaari dost se rista bhi tordia. maaf to woh mujhe shaid khabi na kar paye gee, lakin uski khusi mein he ab meri doori hai.
Ye fasle ye raste ye dil ki majbooriyan,
kab najane khtam hongi humari doorian,
jo waqt guzara hum ne wisal ki un raton main,
un yadon mai he basi hai apni kahaniya!
Muje dard-e-Ishaq ka maza maloom hai
Muje dard-e-dill ki intha maloom hai
Muje muskuranay ki duwa na do....!!!
Muje pal bhar muskurany ki saza maloom hai...
Is duniya me gam hi gam milenge,
sach poocho to sachche dost bahot kam milenge,
jis mod par sab chod denge saath dost tumhara,
usi mod par hum khade milenge.
Ab kiya hey jo tere pass aoon,
kis man se tujhko azmaoon,
title ki terhan jo udd chuka hey,
wo lamha kahanse dhoond laoon,
tere hi bhale ko maien chahta hoon,
ka tujhey kabhi maien yaad na aoon.
toote hue paimane mein kabhi jaam nahi aata,
ishq ke mariz ko kabhi aaram nahi ataa,
kabhi to socha hota e dil todnewale,
toota hua dil kisi ke kam nahin aata.