Mera har din teri us raat se aacha hoga..
Mera har gam tere jazbaat se aacha hoga..
Yakin nahi to doli se jhaak ke dekhna...
Mera Zanja teri baarat se aacha hoga...
Ek Aarzu yahi hai dil - e - beqarar mein,
Mar jaaun main kisi bhi hasina ke pyar mein,
Guzri hui jawani ko nikla hun dhundne,
Shayad yahin khadi ho koi mere intezar mein.
Zakham dene wale to is baat se anjan hai, Par unse mila hua dard hamare paas hai, Chubhne par kitni taklif hoti hai, Kya kaanch ke us tukde ko bhi iska ehsas hai.
pyar na hota hai wafa ya bewafa..........
isse pyar karne wale bana dete hain ek aisa tofa.....
jis main kabhi milti hai asuon ki baris......
aur kabhi milti hai muskan ki formaish.
Kabhi-kabhi To Ro Padti Hai Yuhi Ankhe
Udas Hone Ka Koi Sabab Nahi Hota
Mai Apne DiLKo Ye Bat Kaise Samjhaun
K Kisi Ko Chahne Se Koi Apna Nahi Hota....
Tum Kya Jaano Kya Hoti He Tanhai,
Tutte Huye Patto Se Pucho Kya Hoti He Tanhai,
Yu Bewafai Ka Ilzaam Na De Dost,
Is Vaqt Ko Puch Ki Kis Vaqt Teri Yad Na Aai...
saj rahi thi mehfil chal raha tha daur kiska tha jaam kaun kar raha tha gaur wo jaam meri tanhaiyo ka tha jise peekar sab keh rahe the ek jaam aur.....ek jaam aur
Meri kabr par phool chara raha hai koi Meri kabr pe aansoo baha raha hai koi Aye mere khuda thodi si zindagi aur de de Meri kabr se udas ja raha hai koi
harse ulfat tha jo bhulaya na gaya, unka khat is tarah jalaya na gaya, jinke aane ki umeedon me gujari thi haya pass se jab wo guzre to bulaya na gaya.
Kabhi ro ke muskuraye, kabhi muskura ke roye Teri yad jab bhi aayee,tujhe bhula bhulake roye,
Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha lika Jise khush huye they likkkar...use mitha mitake roye...