mujhe dard e ishq ka mazaa malom hai
dard e dil ki inteha malom hai
zindagi bhar muskurane ki dua naa dena
mujhe pal bahar muskurane ki sazaa malom hai
Hadse banke log yahaan mila karte hai
zakhm dene ke hi saaman diya karte hai
roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..
Hunar nahi aata hamain dilon se khelne ka...
isiliye ishq ki baazi hum haar gaye...
Shayad unhen tha meri zindegi se bahut pyar...
isiliye mujhe jeete jee hi maar gaye.
Teri Qurbat mili magar tera Sahara na Milaa Qareeb puhanch ker bhi Sahil k Kinara na Mila Dekhta Raha Ghour se mai hatheli apniii Magar Mujhay apni Kismat ka Sittara na Mila
Lut gaye tere ishq main
Dil se jaane waale ko kaho ke aaj is tarah jaaye...
Har Dil ko lage chot aur har aankh bhar aaye...
Lut gaye hum teri mohobbat main
Yeh kasak dil ki dil main chuuubhi reh gaye Zindagi main tumhari kami reh gayeee. . Main ne roka nahin woh chala bhi geyaaa.... bebasi duur tak dekhti reh gayee.
Dil Ko Addat Si Ho Gai Hai Choot Kahanay Ki
Bheegi Palkoon K Sang Muskuranay Ki
Kaash Anjaam Hum Pehlay Say Jaan Jaatay
Tu Koshish Bhi Nahin Kartay Dil Laganay Ki
kuch to duniya ki inayaat ne dil tod diya
kuch teri mohabbat ne dil tod diya
hum to samjhe the ke barsat me barsegi sharaab
aayi barsaat to barsaat ne dil tod diya
kyun banate hai ham aise rishte jo pal do pal me toot jate hai,wada to karte hai sanse rukne tak sath nibhane ka,par chhote se toofan me bikhar jate hai.
koi khwab in ankho me hamne sajaya hi nahi, hamari dil ki gaharai ko koi samajh paya hi nahi, kisi ko mahasus ho kami hamari khuda ne hame aisa banaya hi nahi.
Tumko bhul jaye vo jigar kaha say laye, kisi aur ko dekhe vo nazar kaha say laye, rah nahi sakte ek pal aapke bin, uff bhi na nikle vo zaher kaha say laye
Khusq hotho ko ansu pila diya, Mohabat ka karz tha jo usne chuka diya. Maine kaha tha dil me mohabat ki roshni kar do, Usne isi bahane mera dil jala diya.
Ho nahi sakta mujhe teri yaad na aaye,Bhool k bhi tujhe bhoolu woh ehsaas na aaye, Tu bhule to tujpe koi aanch na aaye, Main Bhoolu to mujhe agli Saans na aaye.