kagaz ki koi kashi thi, pani ka kinara tha, khelne ki masti thi,dil ye aawara tha, kaha aa gaye is samazdari ke daldal mein,wo nadaan bachpan kitna pyara tha.
Ye saal bhi udas raha roth gaya. tujh se mily baghair December GUZAR GAYA. jO Baat muatbar thi wo sir se guzar gae. jo harf sar sari tha wo dil mein utar gai.
Pher satao k satane mein maza aata hai. Rooth jao k manane mein maza aata hai. Apna keh dena kisi ko bari baat nahin. Apna keh kr nibhane mein maza aata hai.
Tanhaion k Shahar mein ek Ghar Bana Liya. Ruswaiyon ko Apna MUQADAR Bana Liya. Dekha Hai Yahan Patharon Ko Pojte Hain Log. Bas Isliye Apne Dil Ko Pather Bana Liya.
Aa Khuda Mere Rishte Mein Kuch Aisi Baat Ho,,, Main Sochon Usko Or Wo Mere Paas Ho,,, Meri Sari Khushiyan Mil Jayen Usko,,, Ek Lamhe k Liye Bhi Agar Wo Udaas Ho…….
Falsafe Zindgi Ke Hai Pecheeda Itne Ki Chalne Se Pehle Meri Raahe Bikhar Jati Hai Hazaar Zakhmo Ke Baad Ab Ye Aalam Hai Ishq Ke Naam Se Hi Meri Rooh Sihar Jati Hai
Khwaab aankhon mein tha par sabko dikhaya na gaya Lab pe ek naam tha Jubaan pe kabhi layaa na gaya Range the jigar se mere usne apne haath Par heena se meri Hatheli ko sajaaya na gaya
Phir yaad ayae wo bikhre hue nazare,
Palkon pe reh gaye hai kanpte hue sitare,
Dil me machalne wale tufan tham gaye hai,
Arman zindagi ke khamosh ho gaye hai,
Viraniyan chamanki takdir ban gayi hai,
Mehrum zindagi ki tasvir ban gayi hai.
Dard jhelne se nahin darte hain hum. Par us dard ke khatam hone ki koi aas toh ho. Dard chahe jitna bhi dardnaak ho, Par dard dene wale ko uska ehsaas toh ho...
Meri arthi ke bhi char kone honge,Uski doli ke bhi char kone honge,Mere par bhi phool barsenge,us par bhi phool barsenge,uske liya ro rahe honge,Mere Liya bhi ro rahe honge, Bus phrak itana hoga,koi uska INTZAR kar raha hoga,OR mera ANTIM SANSKAR Hoga.