Hathon ki lakiron main kismat hoti hai, Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai, Bikharta to har koi hai dard me, Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay! To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
jo saanson me basi hai woh khushboo they tum meri pehli tamannaa aakhari aarjoo they tum diya to bahut dene wale ne magar hum hi apna daaman phaila na sake
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay Kisi onchayi pe tanha sambhal ke chartay huay To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
lamho mein jo kat jae wo kya jindagi aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi
Dard se hath na milate to or kya karte, Gam ke aansoo na bahate to or kya karte. Usne maangi thi humse roshni ki dua, Hum khud ko na jalate to or kya karte.
Jawani jawani nahi, jisme rawani na ho Shadi shadi nahi, jisme prem kahani na ho Takdeer banane wale tune kami na ki Her kisi ko kya mila ye mukkader ki baat hain
Dur tak tanhai bhara safar hai, koi sathi na koi humsafar hai, chale jate hain dil ke sahare teh soch kar, ki bas agle mod par khushiyon ka shehar hai.
Har Baar Unki Salamati Ki Dua Karenge, Unki Aarzo Me Apni Hasti Fanaah Karenge, Woh Chahe Daaman Bacha le Humse Lekin, Hum Marte Dum Tak Unse Wafaa Karenge.
Aasaan nahi dard-e-dil ko manana, Pareshaan yoon hi kisi ko na karna, Tanha na rehati yeh raatein humari, Jab us anjaane ki tasveer bandh NIGGAHON mein hai raheti.
Yaadien rukti nahi rok pane se, Dil rukta nahi kisi ke samjhane se, Ruk jati hai Dhadkan tumhe bhul jane se, Hum tumhe yaad karte hai jeene ke bahane se…
Bandh NIGGAHON ki dehleez par aansoon ki dariya behati hai, Jab haalate dil jubaan par bayaan ho jaati hai, NIGGAHON mein udaasi ki diye jal uththi hai, Nainoon ke sagar me hum khud bhi doob jaate hai,
Diya hi kya hai bechaini o beqarari ki siwa hum, Kaise kahoon is NIGGAHON ki gulshan-e-bahar ke haqdaar ho tum, Kaise kahoon mere haathon ki lakiroon mein bas tera hi naam hai.
Aaj ki Raat toh Jee bhar ke mujhe rone de…. Na jaane kyun hame Aasu bahana nahi Aata… Na jaane kyun Haal-E-Dil batana nahi Aata… Kyun Saathi bichad jaate hai hameshaa … Shayad hame hi saath nibhaana nahi Aata….
zindagi teri rah main shab-e-arzo teri chah may jo ojar gaya wo basa nahi jo bichar gaya wo mila nahi jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh kay bhi door tha wahi aik gulaab umeed ka meri shakh-e- jaan pay khila nahi
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay