- Wishes
- Top Contributors
- chandra kant tiwari Wishes
chandra kant tiwari Wishes Collection - Page 7
295 Wishes in Collection
Kuch door hamare sath chalo hum dil ki kahani keh denge, Jo baat samajh na paye tum wo baat zubaani keh denge, Hum zikr karenge auro ka aur kahaani apni keh denge.
Dil ko aadat see ho gayi hai chot khaane ki, Bheege palko k sang muskurane ki, Kaash anjaam hum pehle he jaan lete, To koshish b na karte tumse dil lagane ki.
Uski hasrato me gujaare din, Uski chahto me gujaari raatein, Yaad aa rahi hai jo, wo ussi ki hai mulakaatein, Khud kare kuch aisi ho barsaatein, Bheegey hum, Bheegey woh aur dhul jaye sari yaadein.
Jadon hanjuan di nadi par kara main, Tera baith ke kinaare intzaar kara main, Tenu mere naal vadh ke pyar kare koi, Menu ohda naam dus ohnu v pyar kara main.
Gaa saku aapka nagma wo saaz kahan se layun, Suna saku kuch apko wo andaaz kaha se layun, You to chaand taron ki karna asaan hai, kar saku aapki tareef wo alfaaz kahan se layun.
Na hoti bekararaari na hote hum tanha, Jo jahan me kambhakt ye mohabbat na hoti, Na hote ye sapne, ye khwabo ki duniya, Kisi ko chahat ki tamanna na hoti,
Jitna Tum Ko Chaaha Tha Hum Ne...
Utnaa Kisi Ko Chaah Na Sake...
Socha Tha Bhool Jayenge Kabhi Na Kabhi
Lekin Najaane Kyon Bhulaa Na Sake...
Hoton Ne To Chupa Liya Armaan Dil Ki...
Lekin Ankhon Se Chupa Na Sake..
kisi ki khatir mohbbat ki inteha kar do
per itna bhi nahi ki usko khuda kar do
mat chaho kisi ko toot kar itna bhi
k apni hi wafaoon se usko bewafa kar do
Iss sham ki tanhai se,
Iss dard ki gaheai se,
Ye dil kuch baat kar raha hai,
Zara samjho in fizaon ki zubaan ko,
aap ko apna yaad kar raha hai,
Sanso ka pinjra kisi din tut jayega,
Phir musafir kisi rah me chhot jayega,
Abhi jinda hai to yaad kar liya karo,
Kya pata kab duniya ka sath chhut jayega
Hum pyar ki dor ko todna nahi jante,
Zakham kisi ko dena nahi jante,
Mujhe bhulane ki koshish na karna,
Qki hum apke bina jina bhi nahi jante,
Kisi ki umid me wo aise khoye the,
plko se pta chla wo rat bhr roye the,
Dhimi c Aaht se unke krib ana chaha,
jane kyu aise lga wo hame yad krte-2 soye the,
Woh mera nahi hai yeh janti hoon main phir bhi,
Kisi aur ke saath dekh ke usko dil machalta kyun hai,
Yeh dil bhi ajeeb hota hai dosto,
Kabhi kehta hai ja tham le uske haathon ko,
Phir reh reh ke sambalta kyun hai,
Main tere saath hoon her raah mein mujhse kehta tha woh,
To phir aaj yeh rasta mujhe sunsaan lagta kyun hai,
Main dharkan hoon uske dil ki woh kehta tha mujhse,
Phir aaj uska dil mere bina dharkta kyun hai,
Aey dil tu muhabbat karta kyun hai,
Jo karta hai to phir tarapta kyun hai,
Jo beth gaya hai dil main pyar ka dard banke,
Wo aankhon ke raste nikalta kyun hai,
kahta ha har bat kisis se kahi nahi jati
apno ko bhi bat batyi nahi jati
par dost to dil ka aaine hota hai
or aaine se koi bat chupai nahi jati
milna itfaq tha, bichandna nasib tha
wo itna dur ho gaye jitna karib tha
hun unha dekhna ko taraste he raha gya
jis shaks ki hatheli par nasib tha
jab jab yah suhani sham dhal jaati ha
na jana kyu viraniyan nazar aati ha
jab jab yaad karta ha aao jash doston ko
jana kyu aakh hamri bhar aati hai
honto par ulfat ka naam hota ha
aakho mein chalakhta jaam hota hai
7 fero ki zarurat wha nahi padti
jaha bato se pyar hota hai
chup rahta hai koi khafa na ho jaye
meri vajah se koi rusav na ho jaye
badi muskil se koi apna dost bana hai
dar lagta hai kabhi wo juda na ho jaye.
Jante hai ki bewafa hai wo,
Fir bhi dil ko fareb khate hai,
Roz khete hai ki bhool jaaenge usko,
Roz isi baahne ko bhool jaate hai.
aankhon say behtay askq nahi
khoon-e-jigar rawani hai
kuch teri bewafaii ki
kuch wafa ki meri kahani hai
Kon nahin hai bewafa sanam is duniya me,
Toofan kashti se kare bewafayi,dobana hi chahe
Saagar sahil se kare bewafayi,milkar bhi na mile
Chandni raat se kare bewafayi,badalon me chup ke
Zindagi bhi kare humse bewafayi,maut ko sopne.
Teri nazron se peene ka maza hi kuch aur hai
tujhe dekh dekh A jeene ka maza hi kuch aur hai
kar Bewafaayi mere saath tu....hum shikva nahin karenge
Bas....tujhse wafa karne ka maza hi kuch aur hai....
Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare pyar ki rusvaayi na hoti
kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti
Ab toh gham sehne ki aadat si hogayi hai
raat ko chhup chhup rone ki aadat si hogayi hai
tu Bewafa hai....khel mere dil se ji bhar ke
hamein toh ab chot khaane ki aadat si hogayi hai
Raha jo dil mein dhadkan ban ke
bichda mujhse vo bewafa ban ke
na ummid rahi jeene ki ab ae dosto
milli hamein dava bhi ek sazaa ban ke
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
Ek dost humne banaya,
Socha naa tha ki kya humne paya,
Tere sang jo chale do kadam, toh
Jana ki tohfa khuda ne ek hume dilaya
Kantoo par joh saath chale, Woh humdard hota hai. Toofan main joh saath nibhayee, Woh humsaaya hota hai. Par kantoo ko joh phoole mehsus karayee, Woh ek pyara sa dost hota hai…