- Wishes
- Top Contributors
- jignesh Wishes
jignesh Wishes Collection
172 Wishes in Collection
Aye Mere Humnashin Chal Kahi Aur Chal,
Ab Hamara Gujara Iss Chaman Mein Nahi,
Pahle To Baat Katon Tak Hoti Thi To Shah Lete The,
Ab To Hamara Haq In Phoolon Tak Nahi.
Jaane Se Pahle Mera Kasoor To Bataya Hota,
Itna Hi Pyar Tha To Mujh Par Haq Jataya Hota,
Hum Phir Palat Kar Lout Aate,
Agar Kabhi Dil Se Wapas Bulaya Hota.
Kinare To Kareeb Hi Thhe,
Hume Hi Sahil Ki Chahat Kahan Thi,
Doobker Khudkushi Kar Li Meri Kashti Ne,
Toofa Mein Itni Taqat Kahan Thi.
Wo Sajish Thi Mere Dusmanon Ki,
Duniya Ki Nazer Men Ik Muqabla Tha.
Harne Ke Siva Kar Bhi Kya Sakta Tha,
Mere Raqeeb Per Meri Kismat Ka Faisla Tha.
Azm-E-Bafa Mere Watan Ke Saath,
Meri Khushiyan Mere Watan Ke Saath,
Mera Khoon Paseena Watan Ke Naam,
Ye Zazbaa Mere Khaabon Ke Saath.
Aaya Na Kabhi Lautkar Karar-E-Dil,
Dil Se Gaya Bhi To Khoob Gaya.
Main To Doobna Chahata Tha Pyar Mein,
Mager Dooba To Fir Doob Gaya.
Titliyon Ke Peechhe Bhagne Mein Jo
Mazaah Hai, Wo Pakadne Mein Nahin.
Sab Ko Apnaane Mein Jo Mazaah Hai,
Wo Aik Ka Ban Jane Mein Nahin.
Dariya Bana Diya Kabhi Pyasa Bana Diya,
Mujko Banane Walo Ne Kya Kya Bana Diya.
Dekha Na Tha Kabhi Tumhe Is Khyal Se,
Ilzaam Jo Sar Pe Tumne Laga Diya…
Main Dar Raha Hoon Izhar Ke Anzam Se,
Chahaton Ka Kaise Najara Wo Karen.
Main Sochta Hoon Unki Nigahen Kuchh Kahen,
Shayad Wo Sochte Hon Pahle Ishara Wo Karen.
Kisi Ko Pyar Kisi Ka Ehatram Karta Hoon,
Jo Munasib Lage Wo Kam Karta Hoon.
Koi Nazaer Churake Guzer Jaye To Kya Karoon,
Main To Her Kisi Ko Salam Karta Hoon
Sitam Karne Wale Ik Aur Sitam Kar De,
Meri Yadon Ke Sar Bhi Kalam Kar De.
Nafrat Rahe Mohabbat Se Her Hayat Mein.
Yai Bewafa Is Had Tak Tu Zulam Kar De.
Padhne Nahin Deti Apne Haathon,
Ki Lakeeron Ko Woh Hamein,
Yakeenan Woh Jaanti Hai Ki Uski,
Haathon Ki Lakeeron Mein Hamara,
Akss Maujood Nahin Hai.
Khoobsoorat Ho Tum Sheeshe Ke Mahal Ki Tarah,
Kashish Bhi Hai Adawon Mein Galib Ki Ghazal Ki Tarah.
Nikla Karo Bach Ke Hawawon Se,
Kyunki Nazuk Bahut Ho Tum Kanwal Ki Tarah.
Na Jane Kyu Tu Kyu Yaad Aata Hai,
Tera Chahra Na Jane Kyu Pal Pal Najar Aata Hai,
Mar Hi Jayege Jo Tum Na Mile,
Tere Bina To Meri Saanson Ka Chalna Hi Bekar Najar Aata Hai
Wo Meri Kismat,
Meri Taqdeer Ho Gaye,
Jo Ankhon Mein Rahe Har Pal Wo Tasveer Ban Gaye.
Unhonne Itane Khat Likhe Pyar Mein Humko,
Ki Raddi Benchkar Hi Hum Ameer Ho Gaye.
Zindagi Jeene Ko Di To Jee Humne,
Kismat Mein Likha Tha To Mai Bhi Pee Humne,
Jo Naa Peete To Uss Khuda Ka Likhaa Galat Ho Jaata,
Uske Ke Likhe Ko Nibhaya To Kya Khata Ki Humne.
Jab Bhi Koi Doli Uthti Hai,
Ye Galiyan Sooni Ho Jaati Hain.
Kisi Ka Ghar Aabaad Hota Hai,
Kisi Ki Duniya Lut Jaati Hai.
Jab Mera Naam Uske Hoton Par Aaya Hoga,
Khudko Usne Rusvaai Se Bachaya Hoga,
Suni Hogi Jab Mere Mohabbat Ki Dastaaan,
Kya Usko Khudka Sitam Yaad Na Aaya Hoga…
Ho Sakay To Paida Karo Khud Mein Kashish,
Har Shakhs Ko Hasrat Se Deikha Nahi Kerte,
Har Shakhs Nahi Hota Her Shakhs Ke Kabil,
Har Shakhs Ko Apne Liye Perkha Nahi Kerte.
Mana Ke Tere Sehar Mein Mujhse Gareeb Kam Honge,
Agar Biki Teri Mohabbat To Pehle Khariddar Hum Honge,
Tujhe Khabar Na Hogi Apni Chahat Ki Keemat Ki,
Tujhe Paakar Sabse Ameer Honge.
Her Sahkhs Aaj Ashiq Hota,
Her Shakhs Aaj Shayer Hota.
Sharabi Na Kahata Shaher Humko,
Ager Her Mohalle Mein Unka Ghar Hota.
Dard Shahne Se Nahi Darte Hum,
Par Us Dard Ke Khatam Hone Ki Koi Aas To Ho,
Chahe Dard Kita Bhi Dard Nayak Kyo Na Ho,
Lekin Dard Dene Wale Ko Kabhi Uska Ashas To Ho.
Rabb Wicho Mainu Sirf “Ohi” Dikhdi Si Kai Rup Wata Ke…
Par “Ohde” Vicho Mainu Har Var Nva Rabb Dikheya,
Jab V Main Dekheya Parda Hata Ke…
Laila Jab Bhi Aayi Hai,
Majnuon Ki Jaan Pe Ban Aayi Hai.
Es Baar To Bachchon Aur Boodhon,
Ko Bhi Nani Yaad Aayi Hai.
Surkh Honton Pe Rahate Hain,
Aansuon Se Guzara Karte Hain.
Dhadkanon Ke Saath Jeete Hain,
Log Hamen Shayar Kahate Hain.
Mar Ke Bhi Bhatakta Raha Uski Galiyon Mein,
Kabr Mein Na Mil Payi Meri Laash…
Ta-Umar Raha Mera Patjhad Se Yaraana,
Aakhir Tak Na Kar Paayi Baharein Meri Talaash.
Kisi Ne Ashiq, Kisi Ne Shayar Bana Diya,
Sharabi Kisi Ne Maykadon Mein Lakar Bana Diya.
Yun To Mere Dil Ko Log Khander Kaha Karte The,
Lekin Kisi Ne Aaker Is Khander Ko Bhi Ghar Bana Diya.
Mana Ke Wo Kaatil Na Thhe.
Meri Barbadi Mein Shamil Na Thhe.
Hum Unse Gila Kyon Kare….
Shayad Hum Hi Unke Kaabil Na Thhe.
Hum Hain Ki Chiragon Ko Jalane Mein Lage Hain,
Wo Hain Ki Chiragon Ko Bujhane Mein Lage Hain.
Humne Sitam Unke Seene Mein Rakhkhe Hain Saja Ke,
Wo Hain Ki Meri Yaadon Ko Mitane Mein Lage Hain.