- Wishes
- Top Contributors
- jignesh Wishes
jignesh Wishes Collection - Page 2
172 Wishes in Collection
Khamosh Mahfil Ke Sab Saz Ho Gaye,
Kuchh Poonchh Liya Humne Wo Naraz Ho Gaye.
Ilzam Den Kise Kisko Khatawar Kahen,
Jab Mere Dushman Hi Mere Alfaz Ho Gaye.
Har Huner Se Nawaze Khuda Apko,
Noor Kehkar Sitaron Se Sanware Khuda Apko.
Dekhkar Jalwe Apke Jal Jaye Zannat Ki Hoor Bhi,
Zindgi Mein Wo Hasi De Nazare Khuda Apko.
Zindgi Se Kiska Nata Hai,
Maut Se Kaun Bach Pata Hai,
Koi Kahta Hai Main Ja Raha Hoon,
Koi Kahta Hai Tu Chal Main Aata Hoon.
Poochkar Naam Mera Wo Pata Poochhta Hai.
Har Baat Ahista-Ahista Poochhta Hai.
Dekho To Aaj Mere Dil Ka Lutera,
Mujhse Hi Mere Dil Ka Rasta Poochhta Hai.
Aitbaar Karna Seekh Lo,
Intezaar Karna Seekh Lo,
Jo Marte Hai Tum Pe Dil-O-Jaan Se,
Unpe Jaan Nisaar Karna Seekh Lo……
Mil Jaye Her Kisi Ko,
Dost Aapsa Aisa Kahan Hoga.
Bada Khushkismat Wo Patther Bhi,
Jo Apki Raahon Mein Raha Hoga.
Chahaton Ka Sailab Abhi Baki Hai,
Tere Honthon Ki Sharab Abhi Baki Hai,
Yun To Mohabbat Karke Ik Kusoor Kar Liya Hai Humne,
Mager Wo Sab-E-Vasl Ka Paap Abhi Baki Hai.
Ay Dost Kabhi Ziker-E-Judai Na Karna,
Mere Bharose Ko Ruswa Na Karna,
Dil Mai Tere Koi Aur Bas Jaye Tu Bata Dena,
Mere Dil Mai Reh Kar Bewafai Na Karna.
Naseeb Par Zindagi Kheli Jaati Hai,
Haathon Ki Lakeeron Par Taqdeer Paye Jaati Hai,
Khush Qismaat Hote Hain Woh,
Jin Ke Diloon Main Doston Ki Tasveer Paye Jaati Hai.
Sar Ko Jhukana Padta Hai Rahon Mein Aksar,
Yun Hi Bulandi Par Koi Khada Nahin Ho Zata.
Bada Banna Hai To Kuchh Bada Kar Bande,
Sirf Dikhane Se Koi Bada Nahin Ho Zata.
Aankhein Aankhon Ko Pahachaan-Ne,
Mein Dhokha Kha Jaati Hain,
Jise Samajhti Rahi Apanaa,
Usi Se Chot Khaa Jaati Hain.
Tanahi Duur Karne Ka Koi Bahanna Banna Lo,
Iss Akele Pann Ko Appna Saathi Banna Lo,
Hum Bhi Akele Aur Tum Bhi Akele,
Iss Mann Ko Jaisse Chaho Waisse Manna Lo.
Sirf Do Kadam Dur Kinara Hoga,
Socho Tab Kya Khubsurat Nazara Hoga,
Bas Dil Jo Kahe Use Karna Dimag Se,
Fir Tum Jise Chaho Wo Tumhara Hoga.
Ik Aahat Si Dil Mein Uthati Hai,
Ik Dard Jigar Mein Hota Hai,
Mein Raat Mein Uthkar Rota Hun,
Jab Sara Alam Sota Hai.
Iss Bhige Mausam Mein Hume Apki Khushbu Aati Hai,
Har Phool Mein Hume Apki Masumiyat Najar Aati Hai,
Dekh Lete Hai Hum Phoolon Ko Jab Hume Aapki Pyari Si Yaad Aati Hai..
Barson Likh-Likh Ke Mitaya Hai Jise,
Shayad Wo Nam Tumhara Tha.
Baitha Hai Usi Dar Pe Aaj Bhi ‘Sahil’,
Jaha Se Tumne Ik Roz Pukara Tha.
Kitne Pass Hain Kitne Door Hain Hum,
Khuda Hi Jaanta Hai Kitne Majboor Hain Hum,
Saja Ye Hai Ki Mil Nahi Sakte,
Gunaah Ye Hai Ki Bekasoor Hain Hum.
Teri Reh Guzar Ko Saja Di Maine,
Jalake Ke Khudko Andhera Mita Diya Maine,
Teri Khata Hai Na Koi Shikwa Mujhe Zamane Se,
Ye Dil To Apne Hi Haatho Luta Diya Maine…
Lutera Mila Vo Bhi Tere Jaisa,
Jiske Khilaph Koe Dafa Na Saja.
Dil Kahataa Hai Lut Ta Hi Jaoon,
Tujhse Lutne Men Hai Alag Mazaa.
Pyar Hai Kisson Mein Sirf Sunane Ke Liye,
Har Cheez Hai Duniya Men Sirf Dikhane Ke Liye,
Jiski Chahat Mein Neend Ura Baitha Hoon ‘Sahil’,
Shayad Vo Bhi Hai Zamane Ke Liye.
Kuchh Der Thaher Jate To Kya Tha,
Shaher Apna Kaun Sa Bura Tha,
Mana Ki Patther Ki Haveli Na Thi Meri Mager,
Mahaul Mere Gher Ka Bhi Apke Gher Sa Tha.
Thoda Sa Mile Apnapan,
Thodi Si Wafa Ki Chhaon Mile.
Kabse Vo Jagah Main Dhhundhh Raha Hoon,
Is Dil Ko Jaha Aram Mile.
Tujhe Dekha Nahi Phir Bhi Tujhe Chahne Laga Hoon,
Tumhe Dheere-2 Apna Banane Laga Hoon,
Ye Dil Kyun Apke Bare Mein Hi Sochta Hai,
Kyun Tujhse Dil Lagane Laga Hoon…..
Abhi To Aaye Ho, Jaane Ki Baat Na Karo,
Dekar Mithi Yadeeien Unhein, Bhoolane Ki Baat Na Karo,
Aayi Hai Labon Pe Hansi Saalon Baad,
Dekar Muskurahat Phir Se, Rulaane Ki Baat Na Karo.
Aapki Is Ada Ka Kya Jawab Du,
Apne Dost Ko Main Kya Uphar Du,
Koi Accha Sa Phool Hota To Mali Se Mangvata,
Jo Khud Gulab Hai Unhe Kya Gulab Du.
Ret Ke Jare Fijaon Mein Bhikher Gaye Hote,
Tabahi Ki Hadon Se Gujer Gaye Hote,
Gunhgar Is Kadar The Ke Ooph Toba,
Khuda Kreem Na Hota To Mer Gaye Hote.
Rota Hua Paida Hua Thha,
Hansna Sikhaya Wo Maan Thhi.
Geele Se Sookhe Men Sulaya,
Ratoon Ko Jaagi Wo Maan Thhi.
Woh Khudaa Bhi To Shayad Peee Ke Taqdeeren Likh Raha Hai,
Dekho Dekho Kaafi Surroor Mein Hai Woh,
Kiski Kismat Mein Kya Likh Raha Hai Woh.
Dekha Jo Khali Khat To Hum Ro Pade Be-Inteha,
Hamari Mohabbt Mein Likhne Ko Tumhare Pass Kuch Bhi Na Raha.