- Wishes
- Top Contributors
- jignesh Wishes
jignesh Wishes Collection - Page 5
172 Wishes in Collection
Rona Is Baat Ka Hai k Rona Nahi Aata
Wo Paaye ga Kia Jisey Khona Nahi Aata
Wo Ganda Tha Ganda Hai Aur Ganda Rahe Ga
Jisey POTTY krne K Baad Dhona Nahi Aata.
Main Ye Nahi Kehta Ki Dost Mat Banao,
Par Apni Us Dosti Mein Khud Ko Naa Bhul Jao,Mil Jayega Dhoka Jaane Kis Raah Pe,
Isliye Ae Dost, Dost Apni Ruh Ko Banao.
Na Jaane Woh Humse Kya Chupati Thi,
Kuch Tha Uske Honthon Par Na Jane Kyu Sharmati Thi,
Jab Humne Muh Khulwake Dekha To Pata Chala,
Wo To Manikchand Khaati Thi.
Zardari ka Farman,
Subse pehlay sadar-e-Pakistan,
Mulk ko bana do Qabristan,
Khatam karo musalman,
Dollar hai apna Eman,
Or Bush hai Abba jaan.
Pakistani to American: Tum choron k sath kya Salook karte ho?
American: Hum unke sath bohat acha salook karte hain. Un k khany peeney ki her cheez ka khayal rakhte hain.
Pakistani: Bas! ye to kuch bhi nahi, Tum abhi hum se bohat peechay ho.
Hum to choron ko President bana dete hain.
Bhains rakhne ka takalluf hamse ho sakta nahin
ham ne sokhe doodh ka dabba jo hai rakha hua
ghar main rakhain ghair mehrm ko mulazim kis liye
kam karne ke liye abba jo hai rakha hua.
Ishq main yeh anjaam paaya hai
Haath pair tute, muh se khun aaya hai
Hospital pauhnche to nurson ne farmaya
‘Baharon phool barsao Kisi ka mehboob aaya hai’
Dosti Ki Hai Tum Se,
Toh Phir Se Jeene Ki Tammanna Jaag Uthi Hai,
Seh Rahe The Najane Kitne Ghamo Sitam,
Un Sab Ko Bhulane Ki Baat Aa Chuki Hai,
Jaagi Hai Ye Aankhe Najane Kitne Arse Se,
Ab Aaram Se Soone Ki Raatein Aa Chuki Hai.
Hum Ankhon Ko Phool Aur Hathon Ko Kamaal Kehte Hain,
Jaisi Mehfil Ho Waisi Hum Gazal Kehte Hain,
Hum Mehfil Me Jaya Nahi Karte Par,
Hum Jahan Hon Use Log Mehfil Kaha Karte Hain.
Ek Khubsurat Si Shaam Jaise Hote Hai,
Azmaat Ke Unche Mukaam Jaise Hote Hai,
Banke Kiran Woh Bikherte Hai Roshni,
Kuchh Log Apne Hi Naam Jaise Hote Hai.
Roti Na Thi Gazel Meri,
Muskurati Thi Meri Shayri Bhi.
Jub Talak Teri Chah Na Thi Yai Bewafa,
Hasin Kum Na Thi Kisì Se Meri Zindgi Bhi.
Kasti Ko Sahil Na Mila,
Sahil Ko Bhi Sahil Na Mila.
Kitni Azeeb Dastan Hai,
Is ‘Sahil’ Ko Bhi Sahil Na Mila.
Arz Kia Hai:
Petrol Dalo to Gari Chalti Hai
Wah Wah
Petrol Dalo to Gari Chalti Hai
Bhai Wah Wah
Petrol Dalo to Gari Chalti Hai
Zara si Tawajja Plz
Bhai Petrol Dalo to Gari Chalti Hai
Kya Irshaad Farmaya hai
Petrol Dalo to Gari Chalti Hai
Nahi Dalo to Nahi Chalti Hai.
Na Dil Ko “BEHLANEY” K Liye.Na Ghar Main “SAJANEY” K Liye.Bus Aapki Ek “TASVEER” Chahiye Humain.Apne Ghar Se “CHOOHAY” Bhagane k Liye.
Najanay Ye Jhooti Dunya Kahan Ja Rahi Hai.Wah Wah!Najanay Ye Jhooti Dunya Kahan Ja Rahi Hai.Khud Paad Maar K Kehte Hain, Ye Badbu Kahan Se Aarahi Hai.
Mita Kar Kisi Ka Ashiyan Ghar Apna Main Bana Nahin Sakta,
Deke Dard Apna Kisi Ko Main Rula Nahin Sakta.
Chhod Do Ab Mere Hal Per Mujhjko,
Bojh Ehsanon Ka Aur Main Utha Nahin Sakta.
Duniya Wale Chaman Ki Shaan,
Mein Kitne Kashide Padhte Hain,
Un Se Poochho Phoolon Ki Chubhan,
Jinki Basar Chaman Mein Hoti Hai.
Pyaas Honthon Ki Ho To Bujhai Bhi Jaye,
Pee Ek Roz Ki To Bhulai Bhi Jaye.
Kaun Samjhaye Unhe Jo Peshe Se Bewafa Hain,
Koi Bhool Kar Bahek Jaye To Rah Dikhai Bhi Jaye.
Jinke Liye Jaan Bhi Hum Dete Hain,
Tohafe Mein Sangdil Vo Gam Dete Hain.
Rote Huye Aur Bhi Lagte Ho Khoobsoorat,
Ye Kahker Ke Zalim Vo Zakhm Dete Hain.
Koi Dil Bhi Jalaye To Kya Raushni Ke Kam Aayega,
Dard-E-Dil Bhi Ye ‘Sahil’ Teri Shayri Ke Kam Aayega.
Manker Ye Khwaish Chhod Do Uski,
Jo Tera Na Ho Saka Kisi Ke Kam Aayega.
Tere Dard Ki Mein Parchai Hun,
Tere Aasuon Ki Mein Gehrai Hun,
Kehta Hai Tu Mujhe Begana,
Mein To Teri Rooh Mein Samayi Hun.
Tere Kareeb Aana Chahta Hun,
Teri Julfon Ki Chhaon Main Sona Chahta Hun,
Teri Nazron Se Jam Pina Chahta Hun,
Tere Hontho Pe Apna Naam Lana Chahta Hun,
Tere Hi Umeed Pe Hai Ye Meri Jindgi Tujhe Ye Batana Chahta Hun!
Khushi Ke Ye Pal Aap Yu Hi Sambhale Rakhna,
Ye Kaliyon Se Pyari Muskan Yu Hi Khilaye Rakhna,
Pyar Ki Yeh Mehfil Yu Hi Sajaye Rakhna,
Aur Dosti Ki Ye Khushboo Yu Hi Mehkaye Rakhna.
Duniya Ki Har Khushi,
Daman Mei Tere Aa Jaye,
Naam Ho Tera Jaha Me Roshan,
Aur Tu Sare Jaha Mei Chha Jaye,
Hum To Yuhi Yaad Karte Rahenge Hardam,
Chahe Aapko Hamari Yaad Aaye Na Aaye.
Dost Hai Kuch Aisa Lage Jaan Se Bhi Pyara,
Saathi Hai Kuch Aisa Ki Saath De Har Pal Hamara,
Har Galti Kar Dete Hai Maaf Jasie Maa Ka Dulara,
Aur Pyar Mila Hai Kuch Itna Ki Hai Jeevan Sawara.
Humare Zakhmo Ki Wajha Bhi Woh Hai,Humare Zakhmo Ki Dava Bhi Woh Hai,Woh Namak Zakhmo Pe Lagaye Bhi To Kya Hua,Muhabbat Karne Ki Wajah Bhi To Woh Hai.
Chehra Tera Chan Ton Vi Sohna,
Sohni Hai Teri Chaal Sohniye,
Tikhe Nain Katari Varge,
Lai Gaye Ne Dil Mitraan Da Naal Sohniye.
Socha Na Tha Kabhi Shayari Karoonga,Par Tune Majboor Kar Diya.Bheed Mein Kabhi Akela Mehsoos Na Kiaya,Par Tune Majboor Kar Diya.Socha Na Tha Ki Kabi Mohabbat Karunga,Par Tune Majboor Kar Diya.
Jab Inhi Phoolon Ko Joda Jaye,
To Ek Manmohak Maala Ban Jaati Hai,
Jise Arpit Karo Bhagvaan Ko,
To Ye Araadhana Ban Jaati Hai,Jise Arpit Kar Do Shaheedon Ko,
To Yahi Shraddhaanjali Ban Jaati Hai,
Ye Hai Wo Sundar Phoolon Ki Daastaan,
Jo Har Dil Mein Samaati Hai.
Phoolon Mein Hoti Hai Wo Khushbu,Jo Man Ko Bhaa Jaati Hai,Jo Is Man Ko Chhute Hi,Ek Madhur Geet Ban Jaati Hai,Vibhinnataa Hoti Hai Rango Mein Inke,Jinki Man Mein Tasveer Ban Jaati Hai,In Phoolon Mein Hoti Hai Itni Kashish,Jo Har Dil Ko Lubhaa Jaati Hai,