- Wishes
- Top Contributors
- Jassi Dhillon Wishes
Jassi Dhillon Wishes Collection - Page 2
102 Wishes in Collection
Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni suna ne se pahle.
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hein ye aankhen muskurane se pahle
Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.
lamho mein jo kat jae wo kya jindagi
aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi
jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai
jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi
Humari baAton se ittefaq karoge kyon nahin
Main jo andheron me khara hun ik roushni liye
Ek ummid hai qayam abtak mujhme JAAN
main aasmaan bichhaunga tumhari zameen ke liye.
Aaj Ek nazm likhi .. jisse bahut jald post karungi..
Uss nazm ko likhte hue ek khayal aaya zehan mein
Ki Aansu hum sab ki zindagi mein kya jagah rakhte hain!!
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi onchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay
zindagi teri rah main shab-e-arzo teri chah may
jo ojar gaya wo basa nahi jo bichar gaya wo mila nahi
jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh kay bhi door tha
wahi aik gulaab umeed ka meri shakh-e- jaan pay khila nahi
Kaise bayaan karoon meri NIGGAHON me tere hi suroor chaya hai,
Kaise kahoon yeh surma-e-singgaar adhura rahega jab tak na milein
hamari nazaroon se nazar,
Kaise kahoon yeh haqeekat to hum ne apni hi NIGGAHON ke andaaz se
banayi hai.
Diya hi kya hai bechaini o beqarari ki siwa hum,
Kaise kahoon is NIGGAHON ki gulshan-e-bahar ke haqdaar ho tum,
Kaise kahoon mere haathon ki lakiroon mein bas tera hi naam hai.
Bandh NIGGAHON ki dehleez par aansoon ki dariya behati hai,
Jab haalate dil jubaan par bayaan ho jaati hai,
NIGGAHON mein udaasi ki diye jal uththi hai,
Nainoon ke sagar me hum khud bhi doob jaate hai,
Aasaan nahi dard-e-dil ko manana,
Pareshaan yoon hi kisi ko na karna,
Tanha na rehati yeh raatein humari,
Jab us anjaane ki tasveer bandh
NIGGAHON mein hai raheti.
Roti aankho ke sang muskurate hain hum,
Pal-Pal dil ko behlaate hain hum,
Aap dur hain humse to kya hua,
Har saans mein apki sadaa pate hain hum.
Kaash koi khushiyon ki dukaan hoti,
Aur mujh uski pehchan hoti,
Kharid leti har khushi aapke liye,
Chahe uski keemath meri jaan bhi hoti…
Kanta na hota, toh phool ki hefazath na hoti,
Andhera na hota,to roshini ki zarurath na hoti,
Agar mil jati har khushi duniya me,
Toh dil ki mulaqath dard se na hoti
Teri yaad me humsafar
Shama ki taraha raat bhar,
Mai jali dil jala.
Aa aa bhi ja
Raaat dhalne lagi,
Chand chupne chala,
Aa aa bhi ja…………
Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya,
Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya,
Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja
BHOOL JA
Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,
Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa
Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa,
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa,
Ussay Bhool Jaa
Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham,
Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya,
Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa
Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein,
Teri Aass Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa
Woh Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien,
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun,
Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa,
Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey,
Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa,
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh,
Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa,
Yaad Na Karogay,To Bhula Bhi Na Sakogay,
Mera Khyal Zehan Se Mita Bhi Na Sakogay
Ek Bar Jo Tum Mera Gam Se Miloge,
To Sari Umar Muskara Na Sako Gay
Thaame Rakhna Haath Hamara Aise Hi
Dete Rehna Saath Zindagi Bhar Aise Hi
Yu To Milenge Zindagi Mein Chahne Wale bahut
Milenge To Bas Hamare Jaise Nahi
Hasdi Rahe Hamesha Meri Jaan
Kar Dewaan Jind Main Ohton Kurbaan
Dekh Ke Lok Khush Ohnu Ho Jande Ne Hairaan
Ki Banke Oh Rahegi Hamesha Sadi Jind Jaan
dost hote nahi bhol jane ke liye
zindagi milti hai dsot banane ke liye
hamse dosti rakhoge to itni khushi denge
ki waqt hi nahi milega ashu bahane ke liye.
Jiske didar pe dil herpal thadap tha hai,
Jiske intezar mein her pal tarastha hai,
Kya kahe is kambhakt dil ko,
Jo apna hoker bhi kisi aur ke liye dhadaktha hai
zindagi ek falsafa he sahi
hansti nahi to roti he sahi
bechaini kaho ya kaho majboori
pyar ki ek ajab paheli he sahi………