- Wishes
- Top Contributors
- meha agrawal Wishes
meha agrawal Wishes Collection
39 Wishes in Collection
Waqt Hai ki Gujarta Nahi
Bin tere DIL Lagta nahi
Hum rote hain teri Yaad mein
Tu hai ke kahin milta nahi
tum khush raho duya karti rahungi
tumhare liye jillat sahti rahungi
janti hun nahi miloge mujhse kabhi
fir bhi taman umra intjaar karti rahungi
kisi se mohobbat e pyar na karna
tum pyar ka ijhaar na karna
tut jaya karte hain dil aksr pyar mein he
pyar mein kabhi aitbaar na karna
jab kaha unhone pyar huya hai hume
to ishara humne apni taraf samjha
wo kisi aur ka naam juban par le aye
humne taqdeer ka khel samjha
meri kismat jaise badal si gayi thi
hatho ki lakeer lahar si gayi thi
lagne laga tha wo sirf mere hain
naseeb mein likha shayad main bhool si gayi thi
wo ishara karte rahe hum samajh na sake
wo kinara karte rahe hum majhdar se bach na sake
hume yakin hote huye bhi shak na huya ki wo bewafa hain
wo dard dete rahe hum khush hoke has na sake
kahte rahe wo pyar h tumse
kisi aur se dil laga baithe
kahte rahe wo rahenge tumhare
kisi aur se vivah racha baithe
meri saanso mein khushbu basi h unki
har dhadkan mein yaad basi h unki
wo door hain najron se aaj meri
par dil mein tasveer basi h unki
kaun kiske paas rahta h
kaun kiske sath rahta h
dil mein dafn ho jate hain zazbaat sare
na koyi apna aur na he koyi hamraaz rahta h
jajabat dil ke dil mein he dab jayein to achha hai
aansu mere aankhon mein he chhip jayein to achha hai
nahi jiya jata ek pal bhi bin tere mere yaar
ab saansein yahin ruk jayein to achha
JAAN JAAN kahkar tum dil le gaye
meri in aankhon mein chamak de gaye
par aaj kya huya tumhe
mujhse JAAN kahlwane ka haq wapas le gaye
thokar milti hai
girte hain
sambhalte hain
jab thokar baar baar milein
to ai JAAN
thokar se samjhota karna he thik hai..
har pal har lamha ye ibadat karta raha
wo milein mujhe ye inayat karta raha
ai "jaan" na kar ab intjaar thak jayega
unse mile bina he tera suraj chhip jayega
gunaha bataye bina he saja de gaye
ek saja puri bhi nahi huyi duji de gaye
hum to hasne ki pratiksha mein the
wo umra bhar aansuyon ka gum de gaye
mere pyar ko bahkawa samajh liye unhone
mere ahsas ko pachhtawa samajh liya unhone
m roti rahi unki yaad mein par hasil huya ye ki
mujhe he bewafa samajh liya unhone
jeena seekha tha maine tujhse
hasna seekha tha maine tujhse
ek hawa ka jhoka aya sab kuchh mitane ke waste
par us se bhi ladna seekha tha maine tujhse
humein har wo lamha yad hai
jismein basti teri yad hai
hum aaj bhi wahin hain jahan tune chhoda tha
kyonki us sidi pe bhi ek khubsurat yad hai
dil mein humein apne jagah dena
payr na sahi nafrat bada lena
kabhi milo humse to gusse mein he sahi
par dekhna jarur
humein dekhkar nazrein na chura lena
meri jindgi unki amanat hai
har saans unki amanat hai
wo door hain nazron se
par har dhadkan unki amanat hai
unka chehra to haseen hai
pyar ka tarika bhi haseen hai
aaj wo door hain humse par ahsas kahta hai
unka gum bhi usi tarah hasin hai
har khushi unhe hum de denge
unka har gum haske sah lenge
wo mile na mile hume koyi gum nahi
unke liye hum umra bhar judai sah lenge
kyon bhagwan ne ye dil banay
kyon usne umeed karna sikhaya
dua ki thi na mile ab koyi bhi dukh
kyon us se bhi bada dukh de ke mujhe rona sikhaya
maine usko apne dil mein basaya h
jeen to mujhe usi ne sikhaya h
har khushi har gum mein sath tha uske
par aaj usi ki wajah se
aansu meri aankhon mein aya h
meri aankhon mein tasveer ek he hai
har saans mein basi ek he hai
chaha ke chahun kisi aur ko
par meri rooh mein samayi ek he hai
use bewafa na kaho, mujhe gawara na hoga
uska taqleef rahna, mujhe gawara na hoga
m palkein bichha dunga uske kadmo mein
par uska kanto pe chalna, mujhe gawar na hoga
tanha dil m naam apna chhod gaya koyi
suni aankhon m tasvir chhod gaya koyi
hum to tak nahi jante ki kaun tha wo
fir bhi humari rooh mein ahsas apna chhod gaya koyi
har taraf chehra unka dikhta h
kyon har koyi mujhe unsa dikhta h
hum jikra karte hain is baat ka unse to kahna h unka
paglon ko humse baat karne ka ye koyi bahana dikhta h
hume nafrat h ishque ke naam se
hume nafrat h pyar ke paigam se
koyi samjhe to sahi kyon hai aisa
koyi samjhe to sahi....... kyon lagte hain is hum duniya mein mehmaan se
mere lawon se naam unka hat na saka
dil se tasveer unki m mita na saka
unki yad itni taqleef de gayi
aankhon se bahta aansu ruk na saka
Showing 1 - 30 of 39