- Wishes
- Top Contributors
- Shadab Wishes
Shadab Wishes Collection
30 Wishes in Collection
Wade karte hain, kasme khate hain
Phir na jane kyun log saath chorh jaate hain
Hume to taklif hoti hai phool torne me
Na jaane log dil kaise tor jaate hain
Har baat ittefaq nahi hota,
Har larki se pyaar nahi hota,
Jise na chaha wo khafa ho gayi,
Jise humne chaha wo bewafa ho gayi
Koi rulaye to kya kare,
Koi koi dil dukhaye to kya kare,
Jo hamesha humse pyaar ka ijhaar karte hain,
Wo kisi aur se pyaar nibaaye to kya kare
Is dard-e-dil ko zamaana kya jaane,
Ek bewafaa ishq nibhaan kya jaane,
Kabr ke andar hota hai kitna dard,
Ye uper phool charhane wale kya jaane
Tu kya jaane kya hoti hai bewafaai
Toote hue patte se pooch kya hoti hai tanhaai
Bewafaai ka iljam na de, ae dost
Is waqt se pooch kis waqt teri yaad na ayi
Mausam ko mausam ki baharon ne luta,
Sahil ko sahil ke kinaro ne loota,
Are wo ek hi kasam se darr gaye,
Hume to unki Kasam deke hazaro ne loota
Janaza mera uth raha tha,
Phir bhi takleef unko thi aane me,
Bewafa ghar me baithe puch rahe the,
Aur kitna der hai dafnane me
Chehre par na dhoondo pyar ko,
Koi dil me hi chupa kar rakhta hoga,
Raah par muh na moro kisi se,
Koi door se hi pyaar nibhaata hoga,
Hum apne ap pr kabhi gurur nahi karte
Kisi ko dosti krne par majbur nahi karte
Magr jise ek bar dil me basa le
Phir marte dam tak use dil se door nahi karte
Bat chupti nahi ankhen chupane se
Dil rukta nahi,kisi k samjhane se
Ruk jati hai dhadkan, tujhe bhool jaane se
Hum tumhe yaad karte hain jeene ke bahane se
Tere jaane ka gham nahi, tere aane ki aans rahti hai,
Teri tasweer se itni mohabbat ho gayi hai ki wo mere dil ke paas rahti hai
Nazar uthi to dua ban gayi,
Nazar jhuki to haya ban gayi,
Nazar mili to ada ban gayi,
Nazar pher li to saza ban gayi
Har pal dil lagi ka ada hum karenge,
Tere zulmo sitam ko saha hum karenge,
Tu mujhse bicharne ki laakh duaaye karna,
Par tumse milne ki dua hum karenge
Jab yaad tumhari aati hai, dil khoon ke aansu rota hai,
Ye bedard zamaana kya jaane pyaar me kya-kya hota hai
Raat bhar karwat badalte rahte, sote nahi
Koi aansu dekh na le is liye rote nahi
Pyar ki majbooriyan kya, phaasla kya
Tumhari yaad se ek pal juda hote nahi
Unse kya paya tha hamne,jo apna tha usey kho baithe hum,
Jeevan ke is saude me khushiya kho kar paaye gam
Chandini raat me barsaat buri lagti hai,
Maiyyat par baraat buri lagti hai,
Dil me yadi dard ho to har baat buri lagti hai
Imtihaan na lo pyaar ka,
Dam na nikal jaye aajmane me,
Sau khushiya kurbaan ki,
Maine ek gam bhulane me
Mushqilo se aapki mulaqaat na ho,
Chup baitho kabhi koi aisi baat na ho,
Dua hai ki mahfilo se saji ho zindagi aapki,
Bas hame pukaar lena jab koi saath na ho
Chup rahte hain ki koi khata na ho jaaye,
Koi hamara humse ruswa na ho jaaye,
Bari mushqil se koi apna bana hai,
Milne se pahle juda na ho jaye
Yun hi aankho se aansu bahte nahi,
Kisi aur ko hum apna kehte nahi,
Ek tumhi ho jo zindagi me ruk se gaye,
Warna rukne ke liye kisi ko kahte nahi