- Wishes
- Top Contributors
- Pratham Maan Wishes
Pratham Maan Wishes Collection
67 Wishes in Collection
Baadlon ke piche Chaand ko machalte dekha hai,
Palkon ke niche nazron ko sambhalte dekha hai,
Dekha nahi to bas tujhe naqaab me sanam
Aise to humne Aaine ke samne chehro ko badalte dekha hai.
Har lamha ab begana lagta hai,
Koi apna ab anjana lagta hai,
Uska sath jo mila tha naseeb se
Woh bhi ab harzana lagta hai.
Usne kaha ke tum mujhe yaad na karna,
Yaad aa jaun to usse fariyaad na karna,
Hans pare hum unki naadani pe mere doston..
...
Kyunki Dargha me khadi kehti hai ki humse pyaar na karna.
Khuda ke dar par haath uthake jab bhi fariyaad ki hai..
Aye Sanam
Mano ya na mano bas tujhe sirf tujhe yaad ki hai..
Log kehte hai ki mohabbat khuda hai..
Mere Doston
Aisa hai to ruswai hi kyun milti hai har bandgi ke sath..???
Unko humse mohabbat thi yeh yekin hone chala tha mujhko..
Aye Doston
Par kisko pata tha ki bewafai to uski khoon mein thi..
Kuch khamosh lamhon ne hume rula diya,
Kuch haseen khuwabon ne hume vula diya,
Hum to unke anshuon ke bhi kadadran the
Kuch aashiq nawabon ne hume jala diya.
Hume akele chhor jane me uska dil zara bhi na dukha
Aye Doston
Hum hai jo dard se bilak rahe hai uski judaai me
Unka kehna tha ki hume unki pasand hi napasand hai..
Mere Khuda
Wo yeh kyun bhul jati hai uski har pasand me hi meri pasand hai.
Wo ilzam pe ilzam lagate gaye,
Hum khade khade muskhurate gaye,
Bekasoor hone ki Saza- e -Maut jab hume mili...
Hum Khudko kasoorwaar thehrate gaye.
Meri khata thi ki humne unse mohabbat ki thi...
Mere Khuda
Uski khata thi ki usne isko mera gunaah smajh liya..
Wo puch rahi thi ki kiya main unse pyaar karta hun..???
***Aye Doston***
Jawaab kaise deta jab ehsaas bhi lafzo ki mohataaz ho..
Pyaar ke dusmano ne aise mere mohabbat ke paigamo ko jalaya ki...
raakh tak naseen na hui mere mehbooba ko mere jal jane ke baad..
Uske chehre ke siwayen aur koi chehra nazar nahi ata mujhe...
Aye Doston
Lekin Mera naseeb to dekho ki usko har chehre se pyaar hai siwaye mere..
HUM INSAAN KAISE HAIN.......???
Dusro ka dukh to bardaast kar lete hai... Par dusro ki khusi bardaast nahi hoti.. Dusro ke Ansoon to bardaast kar lete hai... Par dusro ki hansi bardaast nahi hoti..
Jab se unke liye humne jaagna suru kar diya raaton ko...
*Aye doston*
Suna hai ki tab se ushe neendon se pyaar ho gaya..
Palkon par tere kajalon ne li hai panah,
Julfen hai teri baadlon sa ghanah,
Labon se guzarish hai ki khamoshi tod de..
Mere sare zazbaat tujh pe ho gaye hai fanah.
Bewafai ne uske mere rooh hila diya.
Mujhe meri chahato ne itna rula diya..
Bikhar na jaye wo DIL ke tukdo me kahin
Isliye DIL apna Pathar sa bana liya.
Aankhon ko neend ab satati nahi.
Teri yaad ab kabhi rulati nahi.
Agar bhul sakta tujhe mere SANAM...
Teri Parchhai ab mujhe bulati nahi.
Doston ke mehfil me har gum bhul jate hai,
Akele hokr bhi tanhaiyon ka humdum bhul jate hai,
Pyaar se mili to bas mili hai ruswaiyan..
Yaaron ki khusi me har gum bhul jate hai.
Dard me bhi khusi ka ehsaas jagaya karte hai.
Hum to rote huye bhi muskhuraya karte hai.
Marham un zakhmo ke liye hai doston..
Jo mehfil me bhi matam manaya karte hai.
Wo janti hai ki hume unse mohabbat hai..
*Aye Doston*
Muskil yeh hai ki wo yeh nahi manti ki unhe bhi hamari chahat hai.
Wo door hai itna ki hum bulane se bhi na sun paye..
*Aye Doston*
Fir na jane kaise har dhadkan ko wo sun leti hai..
Ek Andhe ne mujhe andhere se ujale me jane ka rashta bataya..
*Aye Doston*
Kyunki mohabbat ki har modd se guzar chuka to wo ashiq.
Rooh ke bina jism abaad na raha.
Uske bina kuch yaad na raha.
Hum do jism ek jaan the kabhi..
Aaj ushi ke liye koi fariyaad na raha.
Hasratein hamari kabhi puri na hogi,
Judai ki lamhe adhuri na hogi,
Milenge ki nahi yeh khuda hi jaane
Zindagi ki shanse ab zaruri na hogi.