- Wishes
- Top Contributors
- Pratham Maan Wishes
Pratham Maan Wishes Collection - Page 2
67 Wishes in Collection
Aise bhi kabhi kabhi hota hai .. Jaagti aankho se bhi koi sota hai... Saari kayenaat jeet kar bhi... Khusi se nahi gum se bhi koi rota hai
Dosto se baat chupaya na karo,
Pyaar bhari nazar jhukaya na karo,
Ek pal ki to baat hai janam..
Nazrana dil ka yun thukraya na karo.
khuda tu aaj Chaand ko baadlo ke piche hi rehne de..
Meri jaan aaj khud Chandni lutane wali hai..
Chand tu naraaz mat hona kyunki..
Woh aaj mujhe tujhse churane wali hai..
Mujhe pata tha ki uski arthi jaa rahi hai doli me band baja ke sath..
*Aye Doston*
Sab ko lag raha tha ki wo sasural jaa rahi hai biyaah ke baad.
Sapno ke duniya me humne jeena chorr diya hai..
*Aye Doston*
Ab to neend ke ruthe palkon se bhi koi shikayat nahi rahi.
Hum unki mohabbat me umar Qaid chahte the..
*Aye Doston*
Par kiya pata tha ki kuch dino me hi jamanat ho jayegi.
Koi to bataye ki unse mohabbat kitni hai..???
Har duyaan me unki ibaadat jitni hai,
Khuda unse kehni hai dil ki baat..
Koi to bataye ki unki izaazat kitni hai..???
Unki ankho se nikalte anshuo ki ek bund bhi na girne di zameen par
*Aye Doston*
Kiya pata uske armano ke jaise uske tapakte bundo ko bhi na kuchal kar chala jaya koi..
Wo rote rahe hamare samne fut fut kar
*Aye Doston*
Hum bebas the itna ki un motiyon ko bhi na samet paye,,
Unke har aada pe marte rahe,
Dil hi dil me pyaar karte rahe,
Ek hum hai ki unke liye jaan ki baazi laga diye..
Ek wo hai ki ek baar muskhurane se bhi darte rahe..
Socha tha ki kabhi uska deedar na karenge,
Uski baaton par aitwaar na karenge,
Ho gaye the hum dil se mazboor..
Aise to khai thi kasam ki kabhi pyaar na karenge.
Aaj socha ki ushe rang de apne rang me..
Aye Doston
Par woh to pahle se hi rangi thi kisi aur ke rang mein..
Humne sitaro se likha tha paigaam,
Jaan tujhse milta hai rooh ka araam,
Usne badle me kaha kuch aisa doston
Hum bhul gaye lena Khuda ka bhi naam.
Kabhi hum bhi chale the do kadam,
Sath me usne bhi bhade the dum,
Fir kyun wo aise chutt gaye humse
Jaise wo thi kisi aur ki humdum.
Dil aaj apna itna royaan hai,
Anshuon se zakham dhoyaan hai,
Koi to hume neend se jaga de ae Khuda
Lahoon se sirf sapna boyaan hai.
Aisa kyun hota hai doston...???
Jisko zindagi mano wohi jaan nikal leti hai...
Hum tarapte hai unki hansi ke liye...
Aur wo hume hi rulati rehti hai...
Mohabbat ka naam na le koi,
Hum jeene se darte hai,
Nasha fir na chaa jaye uska
Isliye sirf sharaab pe marte hai.
Zindagi se sikayat kiya karun,
Jab usne hi tanha chhor diya,
Akele jeene ki ab adat ho gai hai doston
Mehfil ki riyasat kiya karun.
Udaas wo hoti hai to main rota hun,
Anshuon ke sath uske liye main sota hun,
Na jaane kiya hai uski zindagi ka kal
Andhera aye to usme main khota hun.
Aaj fir unki koi baat yaad nahi ayi,
Shaam dhal gai par raat nahi ayi,
Aisa bhi hota hai kabhi kabhi kiya
Zindagi ke baad maut nahi ayi.
Unko shikayat thi ki hum unki parwaah unse bhi zyada karte hai..
Aye Doston
Isliye beparwaah hokr firte rehte hai unke galiyon mein..
Har bazaar me neelam huye hum,
Kharidaro ke gulaam huye hum,
Meri Kismat to dekho mere dosto
Boli usne na lagai jiske liye badnaam huye hum.
Ab na koi umeed bachi na chaha,
Jeene ki na rahi koi dard bhari aaha,
Marr to kab ka gaya hun yeh zindagi
Shaanse chale ya na chale kyun kare parwaah.