- Wishes
- Top Contributors
- vivek sarakte Wishes
vivek sarakte Wishes Collection - Page 5
152 Wishes in Collection
Wafaon Ki Batein Ki Hamne Jafaon Ke Samne,
Le Chale Ham Charagh Hawaon Ke Samne,
Uthe Hain Jab Bhi Haath Badli Hain Qismat,
Majbur Hai Khuda Bhi Duaon Ke Samne.
Tasveer Ko Teri Banate Hain Aankhon Mein,
Khushboo Ko Teri Basate Hain Sanson Mein,
Jab Se Mohabbat Hui Hai Tumse Jaane Tamanna,
Har Khwab Ko Teri Yaadon Se Sajate Hain Raaton Mein.
Mohabbat Karo To Itni, Ki Hadd Na Rahe,
Intzaar Karo To Itna, Ki Waqt Na Rahe,
Bharosa Karo To Itna, Ki Shak Na Rahe,
Apna Lo Kisi Ko Itna, Ki Kisi Aur Ka Haq Na Rahe.
Naam-E-Mohabbat Se Khushbu-E-Wafa Aati Hai,
Humare Dil Se Aapke Dhadken Ki Sada Aati Hai,
Jab Bhi Karte Ho Yaad Hume Dil Se,
Yu Lagta Hai Jaise Jannat-E-Hawa Aati Hai.
Jabse Is Dil Par Tumhara Naam Aya Hai,
Ek Surur Sa Har Waqt Chaya Hai,
Na Jane Ye Sharab Ka Nasha Hai,
Ya Tumhare Deedar Ka Nasha Hai,
Har Paimane Par Hame Apka Hi Chehra Najar Aya Hai.
Zindagi Humse Daga Kar Rahi Hai,
Warna Hum Bhi Jite Zindagi Ke Liye,
Zindagi Humara Dil Tod Rahi Hai,
Aur Maut Humse Dil Laga Rahi Hai.
Tere Aane Ka Intzaar Kab Tak Kare,
Dil Se Tujhe Bhulane Ka Intzaar Kab Tak Kare,
Pehle Hi Itna Barbaad Kiya Hai Toone Hamein,
Ab Or Barbaad Hone Ka Intzaar Kab Tak Kare.
Apne Jismon Mein Simat Ke Mar Gaye,
Wo Parinde Jo Hawaon Se Dar Gaye,
Jab Nahi Rahe Maa Baap To Esa Laga,
Hum Duaiyen Dhundhne Dar Dar Gaye.
Aapse Jab Bhi Milenge Ye Kahna Chahenge,
Hum To Har Pal Aapke Sath Rahna Chahenge,
Saye Ka Kya Hai, Suraj Dhale To Chup Jayega,
Hum To Khoon Banke Aapke Ragon Mein Behna Chahenge.
Mehfil Ko Yaaron Jab Bhi Sajaya Gaya,
Usme Mujhe Isharon Se Bulaya Gaya,
Jab Bhi Zarurat Padi Unhe Roshni Ki,
To Mujh Gareeb Ka Hi Dil Jalaya Gaya.
Jalakti Aankhein Teri Dil Se Yun Baatein Karti Hai,
Jaise Sehrah Ka Pani Rait Se Kuch Bayaan Karta Ho.
Tere Hoonto Ki Tabbasum Ki Low Jaise,
Kuch Apni Talab Ki Mausiqi Bayaan Karti Ho.
Arman Mere Sach Hote Hote Reh Gaye,
Khabon Mein Bhi Sath Hote Hote Reh Gaye,
Phir Kabhi Wo Sapne Aaye Hi Nahi,
Aaj Ki Raat Bhi Ham Sote Sote Rah Gaye.
Mujhko Phir Wahi Suhana Nazara Mil Gaya,
Nazron Ko Jo Deedar Tumhara Mil Gaya,
Aur Kisi Cheez Ki Tamanna Kyun Karun,
Jab Mujhe Teri Baahon Mein Sahaara Mil Gaya...
Tanha Hai To Kya Gam Hai Juda Hue To Kya Gam Hai,
Zinda Hai Hum Isi Ummeed Se Wo Ayenge Hamsha Milne,
Ye Taqdeer Hogi Hamari Shayad Unke Dil Mein Bhi Tasveer Hogi Hamari.
Thhi Ye Akhari Koshish Tujhe Pane Ki,
Ishq Ki Dariya Main Dubki Lagane Ki,
Socha Tha Tujhe Paa Lunga Par,
Aisi Kismat Hi Kaha Mujh Jese Deewane Ki.
Tootenge Aur Bikhar Jaayenge Door Tak,
Ye Kaanch Ke Tukre Agar Pathar Pe Girenge.
Sambhal Ke Chala Talwaar Mere Qaatil,
Mere Khoon Ke Chheete Tere Daaman Pe Girenge.
Khushq Honton Ko Aansun Pila Diya Usne,
Pyaar Ka Karz Tha Jo Chuka Diya Usne,
Meine Jab Bhi Kaha Uss Se Ke Dil Mein Pyaar Ki Roshani Kar Doon,
Bas Issi Bahane Ek Garib Ka Dil Jala Diya Usne.
Jab Bhi Hum Zuke Khuda Ke Sajde Mein,
Khuda Se Managa Yahi Duao Mein,
Ki Kami Na Hogi Khushiyon ki Aapki Raahon Mein,
Chahe Dua Kabool Hone Ke Badle Mein,
Dam Tode Hum Khuda Ke Sajhde Mein.
Jaroorat Hai Mujhe Tere Pyaar Ki,
Chahat Hai Mujhe Tere Ikraar Ki,
Jaante Hain Hum Tumko Is Kadar,
Gunjayish Hi Nahi Kisi Takraar Ki.
Dost Hazaar Nahi Sirf Ek Chahiye,
Dukh-Sukh Mein De Sath Vo Yaar Chahiye,
Hum Kisi Ko Bhulate Nahi Lekin,
Jo Yaad Rakhe Hamein Vo Yaar Chahiye.
Chand Ki Mehfil Mein Anjane Mil Gaye,
Humne Dekha Toh Sab Jane Pehchane Mil Gaye,
Main Badhta Gaya Sach Ke Raste Par,
Vahin Par Mujhe Sabh Khazane Mil Gaye.
Yeh Chandni Bhi Ab Sooni Sooni Hai,
Maut Ki Chahat Ab Tak Adhoori Hai,
Yeh Kaisi Tujhse Meri Doori Hai,
Jeena To Bas Ab Ek Majboori Hai.
Dosti Najaron Se Ho To Kudrat Kehte Hai,
Sitaron Se Ho To Jannat Kehte Hai,
Husn Se Ho To Mohbbat Kehte Hai,
Aur Hamse Ho To Use Kismat Kehte Hain.
Tum Jo Haan Kahe Do To Baat Ban Jaye,
Ek Gum Sum Se Chahere Ko Muskan Mil Jaye,
Is Raat Ki Khwaish Hai Jo Kali Hai Aaj,
Jab Ho Subha Agli To Vo Phool Ban Ke Khil Jaye.
Duniya Mein Bewafaon Ki Kami Nahi Hai, Abb Suraj Ko Hi Dekh Lo,
Aata Hai Usha Ke Sath, Rahata Hai Kiran Ke Sath,
Jata Hai Sandya Ke Sath, Or Sota Hai Nisha Ke Sath.
Hum Apna Dard Kisi Ko Kehte Nahi,
Log Sochte Hain Ke Hum Tanhai Sahte Nahi,
In Aankhon Se Aansun Nikle Bhi To Kaise,
Kyu Ki Sukhe Hue Dariya Kabhi Behte Nahi.
Kaash Aap Hote, To Beganey Bhi Apney Hote,
Har Khushi Or Gam Ke Sapney Bhi Hote,
Aansu Mere Unki Muthi Mein Hote,
Kaash Aap Hotey, To Jindagi Se Hmein Yun Shikvey Na Hote.
Main Teri Tanha Ratoo Mein Aaunga,
Main Tere Tutee Vadoo Mein Aaunga,
Ho Agar Aasan To Bhulade Mujh Ko,
Kyunki Main Tere Har Lafz Mein Aaunga
Tadap Tadap Ke Tu Dard Ka Shumar Na Kar,
Gar Mera Nahi Hai To Mujhse Pyaar Na Kar,
Badi Kashish Hai Gunaho Ki Har Ada Mein Teri,
Ab Is Se Zyada Tu Mujhpe Aetbaar Na Kar.
Specialty of girls :
Chennai : Intelligent
Chandigarh : stylish
Punjab : Colorful
Mumbai : Hot
Kashmir : Attractive
UP : kuch ho na ho
par
By god
Attitude ki koi
kami nhi hai……