- Wishes
- Top Contributors
- manku 9896886868 Wishes
manku 9896886868 Wishes Collection - Page 6
260 Wishes in Collection
Yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,
bhool kar bhi in par na marham lagana tum.
jab kabhi tum tanha ho aur meri yaad satati ho,
bewafa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum.
Mohabbaton se jaane kyun yaqeen ab to uth sa chala hai
Wafa bhi khaye kasam jiski, mujhe us wafa ki talash hai !!!!
Chaha to bahot tha lekin woh mila naahin
Lakh koshisho ke bawjood humare beech ka fasla meeta naahin
Is kadar majboor kar diya zamane ne hume
Ki woh meri kisi sada pe tehra hi naahin
Wo Kisi ki Dil Lagi ko Saza Samjne Laga
Do pal Roth k Guzare to Jafa Samjne Laga
Wo kia jane k hum ktna roye unke Baghair
Wo Baghair soche smje muje bewfa Samjne Laga.
Bhigi raat hai geela chand baadlon me soya hai,
Main bheega hoon , kya baadal koi tum pe bhi aaj roya hai?
Saawan ka hai mausam, baadal hi tum barasne do,
Meri aankhein na yu barsao, ab aa jao.
Zindagi mein hum ne kabhi kuch chaha hi nahi,
Jise chaha usse kabhi paaya hi nahi,
Jise paaya usse yuh kho diya,
Jaise Zindagi mein kabhi koi aaya hi nahi.
Har sapne mere toot gaye,
Khawab ko bhula diye,
Aisa gire ki fir utth na sake,
Ho gaye the apahizz, fir chal na sake,
Jab sapne mere toote, har khawab bhul gaye…………..!
Firte rahe hum abbr main,
Dhundte rahe hum sath apno k,
Koi nahi hai sath mera,
Kisse kaheta tamanna apne dil ka,
Subha hote he ye chand,taare chhod chale jaate,
Tho raat main suraj kirne dena bhul jaate.
Aakhirkaar jab hosh aaya hume,
Tho khawab ko bhula, sapne dekhne lage,
Bin par k aasmaan main udne lage,
Itna dur hogaye,
Ki jab sapne toote,
Tho dharti par na pauch sake.
Ladti hai nigahe par koi takrar nahi hai
karti to hai mujhse pyaar wo bhi
par us saawan ke mausam ka ikrar nahi hai
chhod diya ghar chhod di duniya chhod diye dost
aur aaj chhod raha hun zindagi bhi
kaun kehta hai mujhe usse pyaar nahi hai…
Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai
isliye shayad woh der laga rahe hai
waqt kat-ta nahin unke bina hamara
yeh jante huve bhi hame sata rahe hai
na jane kya milta hai unhe hame yun sata kar
jo der se akar bhi woh muskara rahe hai …
Do pal ki khusi milti thi kabhi
ab to wah bhi chhin li kisi ne.
hum to humesa waise hi rahe.
aur ilzam badlne ka hum pe laga diya kisine ..!!
Jab bhi kuch sochta hu teri yd aa jati hai.
Bethe bethe ankhe meri namm ho jati.
Dil rota hai par tu na aati hai.
Bs teri yd hi to hai jo mujhe har baar rula jati hai…
Mushkil is dunia me kuch bhi nahi,
phir bhi log apne irade tod dete hai,
agar sacche dil se mango kuch,
to sitare bhi kisi ke liye apni jagah chhod dete hai.
kya jaroori hota hai labazo se karna izhaar ,
kya tumhe nazar nahin aata meri aankhon main pyaar,
kabhie to lutega tumhara bhi karar,
us din ka karoonga main sada intzaar,
In aansuon ki kuch to kadar karr meri jaan
Isme chupa hai mohabbat tere liye
Youn to mera zanazaa uthega teri jane ke baad
Jisme ek tajmahal banayenge tere liye.
Dil yeh nadaan na samjhe duniya ki rashmo ko,
Chali hai ishq ka izaar karne..
Lakh manaya padh phir bhi na mana kamwaqt ne
Zaher pi karr bhi rok na paya
Aankhon ki aasuyon ko.
Agar samajh jate wo samjhane se,
Man jate wo manane se,
To kiyu dil tanha hota kiyu kadam behak jate,
Laut aate agar wo Harsh ke bulane se..
HAR ASSU ME KOI BAAT HOGI
HAR DARD KE PIche KISI KI YAD HOGI
HAME YAD KARO YA BHUL JAO
LEIN AAP KI HAR KHUSI KE LIYE HAMARY FARIYAD HOGI
Khud dhundegi manjil mujhe isliye khamosh hu ,
warna har gam par nayi ek manjil bana sakta hu ,
kisi bhi shikast par hare nahi hain kadam mere ,
jaha-jaha se gujra hu wo raste tak yaad karte hain ....
SItamgar kasme hota to, tuje apne gum ki asuo me dobaye rhata, me kisi aur ki majhab par na pahuch kar teri hi yad me koya rhata.
sayari nahi aati mujhe bus haale dil suna rahi hu,
bewafayi ka iljaam hai mujh per phir bhi gunguna rahi hu,
katal kerne wale ne kaatil bhi hume hi bana diya,
khafa nahi usese phir bhi mai bus mai toh uska daman bacha rahi hu.
Waqt aur khushi tere gulam honge,
Har pal aur pehlu tere hi naam honge,
Zara mud kar dekhna mere dost,
Tere har kadam ke neeche mere hathon ke nishan honge....
Ye maanta hoon k waqt ka zhankaar nahi hoon
Kya ye bhi galat hai tera yaar nahi hoon?
Parchhai kaat rahi ho meri,
Zara socho deewar hoon saye deewar nahi.
Khwaab dekhte ab dil thak chukaa hai
Mera har khwaab patthar sa hua hai
Sheesha hota to totne ka ghum nahi hota
Yeh to patthar hokar fir bi toot gayaa hai
Ae khuda, kyun tune mujeh meri jaan se kiya juda
Kiya tha ek haseena se pyar, woh bhi tune cheen lia
Loot gaya, main barbaad ho gaya, kahin ka na raha
Sach bata, kya jholi ujaadne ko tujhe aur koi nai mila?
Tujhe Chahkar aisa lag raha hai ki
Apni zindagi ka majak bana baitha hu
Aisaa lag raha hai mujhe toa jaise
Na sach hone wala sapna sajaa baitha hoon
Itna na tadpa ki iss kadar sakht ho jau main,
Itna na tadpa ki iss kadar sakht ho jau main,
Phir tere pyar ke asson bhi na pighla paye mujko.
Hum karte tujse kitna pyar bas tujse bata nahi pate.
Tere liye hi hota he ye dil bekarar bas dikha nahi pate.
Tere hi yaad me ashq bahati he aankhe,
Bas apne aankho ka dard tuze dikha nahi paate..
Aaj muddat k baad kuch likhne ki chahat hui he,
Kalam uthaya to lafjon k aane ki aahat hui he…..
Aaj lag raha he shayad nikal pade dil k sare raj,
Ab to aakhon me bhi aansuo ki muskurahat hui he……