- Wishes
- Top Contributors
- Diljale*GR* Wishes
Diljale*GR* Wishes Collection - Page 28
861 Wishes in Collection
Be wajah usne jane kyu duri kardi
Bichhad ke mohabat hi adhuri kardi
Meri Kismat mein gam aaye to kya
Khuda ne uski khwashish to puri kardi
Nasha-e-nazro ki shokhiyan jab chalti
Hai Kya halat hoti hai dil ki,
Kar lo nashaa-e-muhabbat,
kya zaroorat hai sharab-e-jaam peene ki……
Bahut peete the hum
Mahobbat ne kasam dilaake chhudaadi
Bahut peete the hum
Usne kasam dilaake chhudaadi
Yaaron ke sang baitthe the
Mahobbat ki kasam dilaake pilaadi
Devdas” ko “paaro” ne nakam kar diya
Sharabi” ko “sharab” ne badnam kar diya
Mahobbat” ho ya “sharab”, dono ka asar dekh lo
Devdas” aur “sharabi” ka, eksa “anjaam” kar diya…………………
Aashiq se na puchho tum peene ka majaa
Jaam pe jaam chala to aaya jeene ka majaa
hum to aisey hi kah baithey hain yah yaroon
Khud hi jaam lekar dekho peeney ka majaa………..
mat pooch yaar ke kitni pi hai hamne..
teri aankhon ki suroi mein zindgi dubo di hai hamne,
ab kanch ke pyalo se hame kya lena..
tere hontho se pine ki kasam kha li hai hamne.
Jabse gaye hai door woh hamse, tanhai ka hai ye aalam
hum khud hi kabhi kabhi khud ko pukaar lete hain.
Dard-e-judai jab hadh se gujar jaaye,
apne gam ko yun hi pyale mein utaar lete hain.
Zindagi ke sawalon ka jawab dhoondta hoon,
dard ko kam kar sake wo sharab dhoondta hoon,
waqt ke haathon majboor ek shaksh hoon main,
jo jeene ka de bahana wo kitaab dhoondta hoon main.
Lufzoo mein fasaney dhundte hai hum log
lufzoo mein zamaney dhundtey hai hum log
to zair hi de sharab kehkar ay saqi
jeen ke bahaney dhundtey hai hum log
kuch bhi bacha na kahne ko har baat ho gayi,
aao kahi sharab piye raat ho gayi;
naksha utha ke koi naya shahar dhoondhiye
ab to is shahar mai sabse mulakat ho gayi.
Nakhuda maan ke baithe hai jinki kashti mein,
Woh hume maujo mein le aye hai dubone ke liye,
Woh hawaon ki tarah rukh badal lete hai,
Hum naseebon se ladhe the jinhe pane ke liye……
DIL YAAD HUME KABHI KABHI KARTA HOGA
DHADKAN BEKABU ROZ NA HOTA HOGA
HUMARE TO LAHU MAIN GHULI HEY TERI DOSTI
AUR AWAZ WAHA SE AATI HEY TERI WAFAON KI…..
Kyun tu muje apna sa lage,
Juda hoke bhi tu mera saaya sa lage,
Kaise bataun ab bhi mohhabat hai tujse,
Tuje khokar bhi tuje paaya sa lage..
"Tanhai ke mausam mein
Ankhain takti bas tumko
Zamana dekhta raha humko
Sapno ki raahain dekhti bas tumko"
Jisne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake.
Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake.
Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake.
Kashti ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma.
Danishon ki duniya hai sari,
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.
Rukhsat ho jaayenge aapke Gulshan se, daal se gire hue phool bankar,
Aaapki nigaahon se bah jaayenge ham ashqon ki barish bankar.
Dil dard ke samander me doob gaya, magar in ankho se roya na gaya,
Tha itna pyaar ess Dil me, ki uske bagair kabar me bhi soya na gaya.
dil mein patthar rakh ke unse mooh mora humne,
khud ko tod k unka dil toda humne,
na jane kitane sitam saha tere liye is dil ne,
padh kuch gila v na kar paya humne
Gham hai ki woh hume samajh na sake,
hum mil karr bhi mil na sake,
do pal ki khushuyan thi meri zindegi mein,
gam hai ki ushe v hum rok na sake
Sheeshe ke dil me thi tasveer teri bassi,
Sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki..
Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar,
Jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti...
Kabhi Na Aaye Mere Saath Chalke..
Hamesha Gaye Muje Barbaad Karke..
Agar Kabhi Aa Jao Meri Mayaat Pe..
To Keh Dena Abhi Soya Hain Tuje Yaad Karke
Jeene Ko Jiye Ja Rahe Hain, Peene Ko Peeye Ja Rahe Hain, Koi Bataye Jaa Kar Mere Mehboob Ko, Kabhi Jeene Ki Wajah Thay Wo, Aaj Pee Rahan Hoon Main,Wajah Bhi Wo Saza Bhi Wo.
Chehre Se Uttha Zara Naqaab Saqi, Dekhon Tera Chehra E Aaftaab Saqi, Jaam Tootne Ka Bahana Na Karo, Pilado Labon Se Sharaab Saqi,
Mere Saki Ne Mere Yaar Ka Kya Haal Kar Dala, Usko Zindagi Se Azaad Hi Kar Dala, Pehle To Sirf Tadapta Tha Uski Yaad Mein, Ab To Hallal Hi Kar Dala,
Sharabi Naam Na Do Mujhko, Main To Kabhi-Kabhi Peeta Hoon, Pahali Bar Aaya Hoon Mayakade Mein, Roz To Ghar Hi Par Peeta Hoon.