- Wishes
- Top Contributors
- anmol arora Wishes
anmol arora Wishes Collection
188 Wishes in Collection
Mein Pyar ki khushboo ko mahkta chod aaya hun
Is Dil ki nanhi si chidya ko chahkta chod aaya hun
Mujhe apni chati se tu laga lena e bharat maa
Mein apni maa ko tarsta chod aaya hun
Happy Republic Day!!
Fool hi fool hum ne to mange the jindgi se,
Hame Daag hi daag jindagi se mile,
Jis tarah aap hum se milte hai roz,
Koi kabhi kisi se yun na mile.
Hum to yun hi apni jindagi se mile,
Koi Ajnabi jaise kisi ajnabi se mile ,
Har ik vafa bs jurm ho gayi ,
Hame Dost kuch aise berukhi se mile.
Kyon yaad aate ho itna hame ki jiya hi nahi jata ,
Itna pyar hum se kiya hi kyo ki ab raha hi nahi jata ,
Socha nahi tha bevafa ho jao gi ik din tum ,
Itna to bata do tum ne aysa kiya hi kyo ?
Tum ne to pyar ke mayne hi badal diye ,
Ja-ja-ja , tu hai kya kabhi samjogi hame ,
Jis ne her dua ko bad dua me badal diya .
Jindgi ka hr andaz mujh se rutha raha,
Mera saya bhi mujh se hr dum rutha raha,
Mera yeh dil khuda ne bnaya patthar ka dosto,
Magar yeh bhi kambakhat umar bhr tuta raha .
....
In Bhatakti hui ruhon ko kabhi bhi sahara nahi milta ,
Inhe sanse to milti hain magar jeewan nahi milta
Ek dil lagane ko mil jate hai karodon magar,
Muflis ki lashon ko is duniya mein kafan nahi milta .
........
Mohabbat ke lamhe ye sirf hamare khawabo mein rahe,
Ashk ban kar arman hamari aankhom mein rahe,
Na jane who kaun sa pal judai lekar aaye,
Sukhe patte ki manid sada shakhaon mein rahe,
Doob ker dariya mein her pal sukhe hi rahe,
Ret ke tile sada pyase barsato mein rahe,
Mile jab andhere hum ko fir bhi khush rahe hum,
Jugnu bankar roz roshan hamesha raton mein rahe!!!
Wo jab kabhi bhi dhundhte the bahana hasne ka,
Ab har pal un ke muskurane ki wajah kuch aur hi hai,
Uske pyaar mai hamara jeene ka maza kuch aur hi hai,
Hame kabhi na tha khyal apne haal ka,
Kabhi
aaj hamari is aayine mai niharne ki wajah kuch aur hi hai
Tumhare is pyaar me jeene ka maza kuch aur hi hai
,
Hamara yeh dil na dhadka tha kabhi kisi ko bhi dekh ko,
Tumhe dekh kar is dil ki raza kuch aur hi hai
,
Tere pyaar me jeene ka hamara maza kuch aur hi hai
,
Hum to chipte firte the ghane badlo se,
Kabhi
hamara aaj is barish mai bhigne ka maza kuch aur hi hai
Tumhare is pyaar me jeene ka hamara maza kuch aur hi hai
,
Kahin to hogi koi imarat ishq ki is jahan mein ae dost,
Hamari jaha mili thi nazar unse wo jagah kuch aur hi hai,
Tumhare pyaar me jeene ka hamara maza kuch aur hi hai
....
Dil ki najdikiyo se har kisi se mohabbat hua nahi karti,
Dilon mein ho fasle to fir chahat hua nhi karti
Kisi se
khafa ho agar nazar to shikayat karo hamse-e-dost
Khamosh rahne se in dilon ki duriya mita nahi karti.
Phool murjha gaye par bahaar wahi hai,
Door rehti ho magar pyaar wahi hai.
Mana ki hum mil nahi pa rahe hain,
Par in aankhon mein pyar wahi hai
....
Hum har khawab teri palkon par saja ke rahenge,
Hum tere is dil ko bedhrak dhadka ke rahenge,
Is dil mein basa kar teri pyari se surat,
Ye nind teri aankho se hum udha ker rahenge.
....
Is tanhai ko le ker hum yaha se dur chale jay ge,
Apne is gam-e-dil ke sahare nayi duniya basa le ge.
Humein tum hi mil jao bas ye hi kafi hai,
Ab hamari har saans ne yahi dua mangi hai,
Na jane kyun hamara dil khincha jata hai tumari taraf,
Kya tum ne bhi kabhi hamein pane ki dua mangi hai...
Jis gum ne zindgi ko muskil bana diya,
hum ne usi ko mout ka sahil bana diya
Har gum ko mar ker sone ki koshish ki, har pal unhone neend ka katil bana diya .
Dard-e-jigar ne bhi hamein kabhi kabil na samjha, hum ne hi khud ko dard ke kabil bana liya
Behtar hai bin kheveya naiya ka dub jana,
Yahi soch kar majhdar ko manzil bana liya.
Har din hamein tumhari hansi ka pata chal jata hai
Tumhari hansi mere dil ko har khusi se bhar deti hai
Tumhari hansi ko khuda salamat rakhe
Kyunki tumhari har khushi muje jindagi deti hai
. .....
Jamane bhar mein milte hain aashiq kayi
Magar vatan se khubsurat koi sanam nahi hota ,
Noto mein lipat kar, sone mein simat kar mare hain kayi ,
Mager tirange se khubsurat koi khafan nahi hota.
Bhai ki kalai jab saje behan ke pyar se ,
Vo pal hota hai anmol dono ke dular se ,
Is riste par to khud naaz karta hai khuda ,
Kyunki ye pawan rishta hai duniya mein sab se juda.
Kasam khuda ki hamein tum se pyar aaj bhi hai ,
Wo pyar ki taraf bekarar aaj bhi hai ,
Meri wafa ka aitbar tumhe ho ya na ho ,
Teri vafa ka aitbar hamein aaj bhi hai
Labo se chu kar ik jaam dete jana ,
Hathon se apne ik paigam dete jana ,
Meri mohabbat ko thukraya jo tune ,
To ise dosti ka nam dete jana .
Guard well your spare moments, they are
Like uncut diamonds. Discard them and their
Value will never be known , improve them
And they will become the brightest gems in a useful life .
Kudrat k niymo se inayat na karna
in hasin nazaro se kaymat na karna
wo khud dega her chiz tumko bas
waqt se pahle pane ki khawhish na karna
hai Tumari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara
mughko apna banane Ka wada karo
You want and you get ,that’s luck .
You want and you wait ,that’s time .
You want but you compromise,that’s life
You want ,you wait and you do not compromise ,that’s success.
Pyase ko 4 bund pani hi kafi hai,
Ishk me 4 din ki zindagani hi kafi hai.
Marna ho to samandar m kyu jana,
Unki palko se tapakta hua ek ansu hi kafi h.
tum na aao to bechain rehta hai dil mera
dekh ker tumko chain khota hai dil mera
kese aayega mere dil ko karar pata nahi
ki teri yad me pal pal dil rota hai mera
vo juda ho ke bhi meetha dard de rahe hai
dur reh reh ker fir se pass aane lage hai
fir se kyo voh kyon yad aa rahe hai
jin ko bhulane me hame jamane lage hai
Main bhi dariya hu mager sumander mayri manjil nahi
Main bhi sumander ho gaya to mera kya reh jay ga
Kel subah biker jau ga m bhi SHABNAM ki tarah
kirne chun legi mujhe aur jahan dekhta reh jayega
Izhaar mohabbt ka kuch aise hua
kya kahe pyar kaise hua
Unki ek jhalak pe nisar hue hm
Sadgi me mar-mite aur Ankho se ikarar hua..
Muskrana chaha muskra na sake ,
Geet bhi khusiyo ke hum ga na sake ,
Paray to kabhi apne bante nahi ,
Hum to apno ko bhi apna bana na sake .