- Wishes
- Top Contributors
- bharat 9867148938 Wishes
bharat 9867148938 Wishes Collection - Page 3
118 Wishes in Collection
Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain
Aur bhi cheezain bohot si lutt chukin hain dil kay saath
Yeh batayaa doston ne ishq furmane kay baad
Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main
Ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad
Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain
WOH MERA THA YEH BATANA AJEEB LAGTA HAI
AB US SEY AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI
JO ZINDAGI MAI KABHI BHI MERA HO NA PAYA
AB US KA KHWAAB MAIN AANA AJEEB LAGTA HAI
BAREY KHULOOS SE DAWAT TO US NE BHAJE HAI
PAR US KI MEHFIL MAIN JANA AJEEB LAGTA HAI
THA JIS KA HAATH HAMESHA HAMARE HAATHOO MAIN
AB US SE HAATH MILANA AJEEB LAGTA HAI
Gair phir gair hain praye hain
Hum ne apne bhi aazmye hain
Un chiragon ka hosla dakho
Jo hawaoon ke zad main aaye hain
Aao ab ye hasab bhi ker lein
Kis ne kitne situm uthaye hain
Sub ki pehchan ho gai yaroo
Jab se hum roshni main aye hain
MUSHKILON SE AAP KI MULAAQAT NA HO,
UDAAS BETHO KABHI AISI KOI BAAT NA HO,
DUA HAI K MEHFILON SE SAJE ZINDAGI AAP KI,
BAS HUMEN PUKAAR LENA AGAR KOI SAATH NA HO.
JO WAJOOD NAHIN WO HASTI KIS KAAM KI,
JO MAZA NA DE WO MASTI KIS KAAM KI,
JAHAN DIL NA LAGE WO BASTI KIS KAAM KI,
AUR HUM AAP KO YAAD NA KAREN,
TO “ DOSTI “ KIS KAAM KI.
APNE LABON KI HANSI TERE NAAM KAR DENGE,
HAR KHUSHI TUM PE QURBAAN KAR DENGE,
JIS DIN HOGI KAMI HUMAARI DOSTI ME,
ZINDAGI KO MAUT K NAAM KAR DEN GE.
MERI AANKHEN RAKH LO MUJHE KUCH KHUAB DE DO,
JIS ME TUMHAARI JHALAK HO AISI SHARAB DE DO,
CHALO CHORO SAARI BAATEN ( 1) EK BAAT MAANO,
MERI SAARI UMAR LE LO BAS ( 1 ) EK PAL KA SAATH DE DO.
“ THE REAL “
DEFINATION OF
“ YAAD “
YAAD WO NAHIN JO AKELE ME AAYE…..
YAAD WO HAI JO MEHFIL ME AAYE…..
OR…..
AKELA KAR JAAYE…..
KISI KO “ PALKON “ ME NA BASAO,
“ PALKON “ ME SIRF “ SAPNE “ BASTE HAIN,
AGAR BASAANA HAI TO “ DIL “ ME BASAO,
KIYON K “ DIL “ ME SIRF “ APNE “ BASTE HAIN.
phoolon ki wadi me ho basera tera
sitaron ke aangan mein ho ghar tera
dua hai aik dost ki ik dosti ka
kay tujh se bhi khubsurat ho naseb tera
SCHOOL Ki LIFE: 10+2.Tak. COLLEGE Ki LIFE: PADO Jab-Tak.
LOVE Ki LIFE: SHADI Hone-Tak.
But HUMARI-DOSTI Ki LIFE: FEB-31'Tak. Kyu.nibhaoge na
Zindagi se bas yehi gila hain,
Khushi ke baadh, kyu gham mila hain,
Humne to unse wafaa hi ki thi..
Par nahi jaante the ki wafa kaa bewafaai hi silaa hai.
Jo rista kayam hai wo hum nibhege.
Nigaho se door rah kar bhi aapko chahege.
Pata nahi aap kiske sath ghar basayege.
Par hum aapka naam lete-lete mar jayenge
Kya gham he kya khushi malum nahi,
wo apna hai ki ajnabi malum nahi,
jiske bina ek pal nahi guzarta,
kaise guzregi zindagi malum nahi.
Khul k dilse milo to saza dete hain log
Sache jazbat b thukra dete hai log
dekh nai sakta do insano ka milna
baithe huwe do parindo ko b uda dete hai log
Kar sake jis rishte par naaz vo dosti hai,
chupale har raaz vo dosti hai,
jeevan ka har saaz dosti hai,
jo hai har dard ka ilaaj vo alfaaz dosti hai.
Pyaar to ek sazaa hai khuda ki,
Isme lene se zyaada dena padta hai,
Kuch paane ka naam hi pyaar nahi
hai paagal, Pyaar ka kaarobar to
kuch khone se shuru hota hai..
Gam ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thame wohi jo tumhe sabse pyara ho…..
Suraj ko diya dikhane se kya fayeda,
laash ko aag lagane se kya fayeda,
Aye shahjahaan, mumtaz to jaa chuki
Ab laash pe taj banane se kya fayeda
Hazaron Khwaishe Aisi, Ki Har Khwaish Pe Dum Nikle,
Bohot Nikle Mere Armaan, Lekin Fir Bhi Kum Nikle,
Nikalna Khuldese Aadam Ka, Sunte Aaye Hai Lekin,
Bohot Beaabroo Hokar, Tere Kuche Se Hum Nikle
Gulshan ka raaz padh sakta hai koi koi,
dard ki dawa ban sakta hai koi koi,
khushi mein aa jate hai aksar aansu,
gam mein muskara sakta hai koi koi.
Pahli mohabbat thi isliye khata ho gayi thi
Kisi bewafa se wafa ho gayi thi
Usne Dhoka diya, phir b use baks dena rab
Vo bhi kabhi Mohbaat m khud dhoka khaye hue thi
Dhokha mila jab pyar mein
zindagi mein udaasi cha gai
socha tha chod denge is raah ko par….
kambhakhat….. aaj mohalle mein dusari aa gai
Zindagi ki asli udan abhi baki hai,
zindagi ke kai imtahan abhi baki hai,
abhi to napi hai mutthi bhar jameen hamne,
aage to sara aasma baki hai
Mujhe dard-e-ishq ka maza malum hai,
dard-e-dil ki inteha malum hai,
zindagi bhar haste rehne ki dua na dena mujhe,
mujhe pal bhar muskurane ki saza malum hai..
Bujhi hui shama jal sakti hai,
toofano se kashti guzar sakti hai,
zindagi se kabhi mayus na hona mere dost,
ye toh taqdeer hai, kabhi bhi badal sakti hai!