- Wishes
- Top Contributors
- Still_Waiting Wishes
Still_Waiting Wishes Collection
18 Wishes in Collection
Zakham dene wale to is baat se anjan hai,
Par unse mila hua dard hamare paas hai,
Chubhne par kitni taklif hoti hai,
Kya kaanch ke us tukde ko bhi iska ehsas hai.
Yaadon ke phool tanhai mein bikhar jayenge
Kya pata bikhar kar kidhar jayenge
Lekin gujare jo lamhe sath aapke
Wo lamhe har halat mein yaad aayenge
Badalo ke beech kaisi sazish hui,
Mera ghar tha mitti ka ,
mere hi ghar barish hui,
Jid hai agar unhe bijiliya girane ki,
To kasam hain hume bhi wahi aasiyana banane ki.
Jiski jhalak mein karar bahut hai
Uska milna dushwar bahut hai
Jo mere hatho ki lakiron mein nahi
Mujhe apni joy se pyaar bahut hai
Jisko mere dil ka raasta bhi maloom nahi
Dhadkanon ko phir bhi uska intezaar bahut hai …
Kadam yun hi ladkhada gaye raste se,
Varna sambhalna to ham bhi jante the.
Thokar lagi bhi to us patthar se,
Jise ham apna khuda mante the.
Tanhaiyoon se darte hain jo,
karte hain kya woh,
Mohabat se door hain jo,
karte hain kya woh,
Marte hain jo es jahan main,
roote hain kiyoon loog,
Karte hain jo mohabat,
kiyoon bante hain bewafa woh.
Dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya,
Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya,
Iska rona nahi kyo tumne kiya hai barbad,
Iska gam hai k bahut der se barbad kiya.
Kitni Khushi milti hai tujhko, dil mera todhkar
Lekin ye dil bhi to hai, teri hi amanat
Dekhein kab tak tu khush rahta hai
Apni hi cheez ko todhkar
Jate jate wo achhi nishani de gayi
Umar bhar dohora sakoo aisi kahani de gayi
Mein to us ki mohabbat ka pyasa reh gaya
Par wo meri palko ko pani de gayi
Yaadon ka ek jhoka aaya, Hamse milne barson baad
Pehle itna nahi roye, Jitna aaj roye barson baad
Lamha-lamha ghar ujda hai,
Mushkil se ehsaas hua
Pathar aye the barso pehle, Dil tuta barson baad
Mere pyar ko dunia mein koi na samaj na paya,
Roti thi jab tanha koi mere saath na aaya,
Mita diya khud ko unke liye pyaar mein,
Aur wo kehte hain ki mujhe pyaar karna na aaya
Ek roz bhari duniya se chala jaoonga
guzre huey waqt ki tarha wapas na aaoonga
tujhse jo pyar mila hai, us pyar ki kasam
tujhe zindagi bhar kabhi na bhulaaonga
Kabhi na kabhi to baharon ke phool murjha jayenge,
Bhule bhi kabhie hum tumhe yaad aayenge,
Ehsaas hoga tumhe meri dosti ka jab hum bahot dur chale jayenge
Ishq bhi kuch adaab hote hain
Jaagti ankhon mein bhi hkwaab hote hein
Har koye roye ye zaroori nahi
Kuch ankhon mein bhi sailaab hote hain
Hansi ke peeche hazaaron aansoo chhupate chale
Dil main ghum ka dariya sambhaalte huey
Na koi raasta… Na koi manzil
Hogaya kitna paraya apna hi dil
Aap aaye zindagi mein humare farishta bankar,
Khushiyan bhi hazar di hai aapne…
Achanak kya baat hogayi,
kyun aap aur hum dur hogaye?
Shayad hamare naseeb mein khushion ki jagah nahin
Mili hai bahut saza unse dil lagane ki,
Nazar lag gayi mere pyar ko jamane ki,
Mar kar bhi kabr se nikle rahe dono haath
Kyonki aarzo reh gayi unhe gale lagane ki
Dil jalakar Diye Banaye
Tujhe Dhoondne Ke Liye
Phir Bhi jo Tu Na Mili
To Mne Apni Arthi Bandhwali
Tujhe Bhool Ne Ke Liye