- Wishes
- Top Contributors
- sanju_27 Wishes
sanju_27 Wishes Collection
16 Wishes in Collection
Ik Zamaana hua keh rim-jhim barsaat hui
Khushion ki gham ke baadalon se mulaqaat hui
Jaane kabse sulag rahi thi gham ki aag dilon mein,
Pyaar ki kuch boonde padiin tou mehakti raat hui
har ilzaam ka haqdaar wo humein bana jate hain,
har khata ki sazaa wo humein suna jate hain,
hum har baar khamosh reh jate hain,
kyunki wo apna hone ka haq jata jate hain....
Tumhari mast nazar agar idhar nahin hoti,
nashe mein chur fiza is kadar nahin hoti,
unhein ko dekhne ki dil mein aarzuyein hain,
unhein ke aage hi aur unchi nazar nahin hoti
tumhare aane talak humko hosh rehta hai
phir uske baad hame kush hamari khabar nahin hoti....
JO BHARTA NAHIN WOH ZAKHM DIYA HAI
MUJHKO NAHIN PYAR KO, BADNAAM TUNE KIYA HAI
JISE MAINE POOJA MASEEHA BANA KE
NA THA YEH PATA PATTHARO KA BANA HAi…
MILE DOST JISKO YAHAN TERE JAISA
USE DUSHMANON KI ZAROORAT HI KYA HAI
MASOOM CHEHRA …
Ye jo ladkiyon ke gaal hote hai,
ladko ko phasane vale jaal hoote hai,
choose leti hai khoon jigar ka,
tabi to hont unke laal hote hai.
Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane...
Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane...
Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai...
Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane..."
Vo saaz nahi jisme sargam nahi,
vo jawani nahi jisme humdum nahi,
O sapno mein khushi ko dhoonde wale,
vo zindagi nahi jisme gam nahi
Uski Ankhon Ki Deewani Hoon,
Uski Muskaan Ki Mein Shamma Hoon,
Har Pal Mujhko Itna Satata Hai,
Phir Bhi Dil Aur Jaan Se Mein Uski Ashqi Hoon
Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai
Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon
Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai
Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon
Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey
Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe,
Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye.
Daav par hote hain dil o jaan yahaan,
Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye.
Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si..
Rukte kadam phir aage baR gaye.
Apni Dhadkano ki aawaz suni hai maine....
Apni aankhon se koi baat kahi hai maine....
Bas ek didaar ke liye khud ko sambhale baithe hai....
Naa jaane ishq me kaun si raah chuni hai maine.
Wo dhundte rahe hume Dagar-Dagar. ...
Shayad unhe humari talash thi....
Par afsoos jis kabar par the unke kadam....
Ussi me humari laash thi
Kissi ke waade par zindagi tabah kar baithe....
Diwangi me ye kaisa gunah kar baithe....
Ek CHAND ki aarzoo ke liye....
Hum apni hasin raaton ko `FANAAH` kar baithe....
Many relation will come in to life just as rain on ocean.. But only some will take the best place like the drop which fortunately becomes pearl...!!
Time is like a River.. u can not touch the same water twice.. B'coz the moment that passed wile never pass again.. Enjoy every flow of life..