- Wishes
- Top Contributors
- moni Wishes
moni Wishes Collection
23 Wishes in Collection
kehte he pyar me zndagi badal jati he,band ankho se bhi yaar ki surat nazar aati he.fir kyu wahi pyar apko samaj nhi pata.khuli ankho me b apke ansuo ko nhi pehchan pata..
ya to khuda ne hume sacha pyar krna sikhaya na hota.agr sikhaya he to hume gam b sehna sikhaya hota.hum to pyar kar bethe unse,kash khuda ne unhe humare pyar ko samajhna sikhaya hota.
tujhse door ho kar ehsas hota he.yeh dil tujhse kitna pyar krta he.ek pal bhi tere bina mujhe sukun nhi milta,tere hi khyalo me yeh dil khoya rehta he..
meri mohabat ka tamasha na banana.mere pyar ko begana na samajhna.tum mujhe na chah ske par mere pyar ki kahtir kuch to wafa nibhana.
janti thi ki tum bewafa ho par fir bhi tum pe apni mohabat lutati rahi.janti thi k mujhe rona padega par fir bhi tere khatir apne hi armano ko jlati rahi.
Apke pyar k khatir humne apne sapno ko bhula diya.ek apki khusi k liye apni khusio ko bhula dia.umar bhar tujhse wafa nibhati rahi or meri wafa ko tune apni bewafai se sila diya..
khud ko aaj tak na samjha paye,kyu hum tume itna chahte he.Tere har gam ko sehte rahe par fir bhi apne dilka haal tujhe suna na paye,,
Afsos hota he.dil bhi yeh rota he.jab tu mere pyar ko andekha kar deta he.mere jazbato ko tu samaj na paya.aur teri judai ka gam mujhe tadpata rehta hai.
kyu meri jaan yeh sila diya mujhe.kya khata thi meri jo itna gam dia mujhe.chaha tujhe apni jaan se bhi jyada fir kyu mera pyar nazar na aaya tujhe..love you jaan
Chand ko dekhu to sirf ek hi chahra nazar aata he.
Ankhe band karu to sirf apka hi khayal aata he.
Is kadar deewana bana diya he mujhe tere ishq ne,ki har dhadkan me sirf apka hi naam mere zuban aata he..
Itna chaho apne pyar ko ki woh apke pyar ko samet hi na paye.
itni khusiya do use ki uska daman chota padh jaye.
Yeh pyar hi he jo apne pan ka ehsaas dilata he.
Itna chaho apne pyar ko ki apke pyar se uski zndagi sawar jaye..
Sabne pehchana par ek woh na pehchan paye.
Mere dil me base pyar ko samaj na paye.
Kyu is dil ne unse is kadar beinteha mohabat ki,
Is sawal ka jawab aj tak hum dhund na paye.
Yeh ankhe thami he tere didar me.
Yeh dhadkan bhi thami he tere didar me.
Ab aa bhi jao yu na tarsao.
Mera dil bhi pyasa he tere pyar ko paane ki aas me...
Har waqt pyar me takleef kyu milti he.
Milne ke baad fir judai kyu naseeb hoti he.
kyu koi kisi ke pyar ko nahi samajhta.
Har waqt pyar me ruswai kyu hoti he...
Yeh pyar insaan ko andha bana deta he.
Saare jahan se begana bana deta he.
IS pyar me ankhe khuli rahe to hi acha he.warna bandh ankho me un sapno ka ashiyana hota he jin sapno ko ankhe khulne par toot jana hota he..
Tumne khokar wapas paaya he.
MAine kuch na pakar sab kuch khoya he.
meri badnaseebi ka mujh par esa saaya he ke bekasur ho kar bhi maine har kasurwar khud ko hi thehraya he.
Tere pyar ki khatir maine har sitam haste-haste saha he.
saari hado ko bhula kar maine tumse beinteha pyar kiya.
tumne mujhe bewafai ka yeh kesa sila diya.
Apne pyar ko galti ka naam dekar,hum dono ki zindagi ko khusiyo se anjaana kar diya..
Dil jo ek baar tuta to judta nahi he.
Pyar jo ek baar rutha to dil se wapas milta nahi he.
Sacha pyar to naseeb walo ki hi milta he.
Warna aaj kal to time-pass har koi karta he.
Yaad aati he jab unki,bhigo leti hu palko ko apni.
Sochti hu kese samjhau unhe,kese kahu kitni mohabbat he hume..
Ansuo ki lehar un ankho me uth ti he jis dil me pyar ka beshumarr gam bhara hota he.
Koi chahe kitna bhi muskurale, pyar agar sacha hota he to bichadne ka gam aankho se ansu behne par majbur kar hi deta he..
kuch nahi chah sirf tujhe chaha.
Apni duao me sirf tume manga.
Apne pyar ka kabhi sauda nhi kiya.
Apne pyar ka haq sirf tume hi diya.
Din raat tumhari judai k gam me jali hu par din raat pyar sirf tumhi se kiya..
mana ki pyar ki daulat roz lutai nahi jati.
Jo dil me basa he uski yaade bhulayi nahi jati.
Us bewafa se ab kesi dildari,jiske gam me yeh zndagi bitayi nahi jati..
unke ishq me is kadar deewane hue hum,
ki ab hamara aks bhi hume pehchanta nahi he.
Socha chand lamhat k liye unse rubaru hole,
par dil to hume pehchanta hi nahi he..