- Wishes
- Top Contributors
- Nadeem Wishes
Nadeem Wishes Collection - Page 4
111 Wishes in Collection
Tamaam raat vo zakhm de ke apne pairon ko
mere vajood ke raaz talaash karte thei
duaae karte thei aujde hue mazaaron pe
bade ajeeb shehar talaash karte thei
mujhe toh bataaya hai baadlon ne….
vo lautne ke raaste talaash karte thei…
Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi
hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
aaj kehte ho hamare paas vaqt nahin
par ek din mere liye vaqt barbaad karoge tum bhi
Agar chand ko paana itna aasaan hota
har koi chandni ka deewana hota
taare toh roz hi tootte hai aasmaan pe
par koi unka sahaara nahin hota
Log to apna banake chodd dete hai..
Kitnee aasanise ghairon se rishta jod lete hai…
Hum ek phool tak na tod sake kabhi…
kuch log to berahmi se dil bhi tod dete hai..
Mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,
bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,
to sir jhuka ke mohabbat bata jana.
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye…
Ishq ne jala diya hai ,ishq karne walon ko,
zamana badnaam karta hai inhe na jaane kaise fasano se,
dunya ki bheed mein kuch rakha nahi ganwane ke liye,
sab kuch luta diya (nadeem)phir bhi wo taane dete hain isharon se……
Har kisi sey jo hum ney wafa ki,
Bus yehi zindagi mein khata ki.
Chahaton key hajom main tanhai,
Mujh ko doston ney hi ata ki.
Soz-e-dil yunhi nahin mila humko,
Bari kemat thi is ki jo ada ki.
Jo hamara na hosaka aksar,
Unky wastey bhi humny dua ki,
Muddaton baad dekha unhe, Hosh kaise thikane lage
Ashq palko par aye meri aur lab thar-tharane lage
Jane kaise hawa ye chali, phool phir muskurane lage
Jinko mushkil se bhule the ham phir wahi yaad aane lage
ik baat puchte rehte hain hum,
bhagwan se fariyaad mein,
aisa kya hai unki har baat mein,
kyun aati hai bar bar woh meri yaad mein,
kya bhagwan yahi woh pyar hai,
jisko milne ke liye kiya,
hamne itna intzaar hai.
Zindgi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin
Agar koi karta zamane se shikayat nahin,
Agar bhul jaata bhulane se koi,
Kyu yaad karta dil kissi ko,
Agar maan jaata manane se koi.
Har pal tum mere saath hote ho,
Khuli hoti hain palake,
Har nazar mein tum hi hote ho,
Tumse alag na sochti hu.na soch sakti hu kahi,
meri har soch ki soch ka aadhar tumhi hote ho.
Unki yaado ko sine se laga dete hai,
is tarah judai ka gum mita dete hai,
kisi tarah unka zikr ho jaye to,
bhigi palko ko juka lete hai…
Kuchh achchhe log nahi milte,
Jise chahte ho wohi kyu nahi milte,
Pasand karne wale bahot milte he,
Kuchh chahanewale kyu nahi milte,
Lamha lamha jod ke banti he jindagi,
Kuchh lamho me jinewale yaar kyu nahi milte,
Kabhi socha na tha ki is kadar tut jayenge,
Ki hume rota dekh kar bhi wo muskurayenge,
Ab to ek tamanna hai ki itni door chale jayenge,
Yakin hai mujhko ki tab-bhi wo muskurayenge.
Mohabbat suna, mohabbat dekha aur mohabbat kar bhi liya.
Ab tadap rahe hai, ro rahe hai aur khud se keh rahe hai EK BEWAFA KO AKHIR DIL KYUN DIYA.
Yaro bhule se bhi pyar na karna,
karna to kabhi unpe aitbar na karna.
Wo to keh denge hum bina gharwalon k kuch nhi kar payenge,
aur aap sari umar unke pyaar me ro k bitayenge.
Socha tha mohhabbat ka jahan banaunga,
Har koshish kar k usse paunga.
Magar zalim waqt ne daga kiya,
Pass lakar mohabbat ko door kar diya.