- Wishes
- Top Contributors
- monti Wishes
monti Wishes Collection
130 Wishes in Collection
Suna hai tumhari ik nigah se qatal hotay hain log FARAZ
Ek nazar hum ko bhi daikh lo k zindagi achi nahi lagti
Hume Apen Pyar ka Hisab nahi aata..
Unka Palat kar Koi Jawab nahi aata..
Hum to unki yaad me sote tak nahi..
aor unko so kar bhi hamara khwab nahi aata…
Murjhaie phoolon ki bagiya
Chubhte kanto ki kami nahi
Bedard hoti hai ye mohabbat bhi
Loot leti sab kuch der usko lagti nahi
Kali ne pholo ko kuch khash banaya,
Pholo ne mali ko kuch khash dekhaya,
Ye mahobbat hai jara bach ke rehna,
Isne na jane kitno ko devdas banaya.
Tum nahi aye lakin,
Tum hari yaad chali ayi hai,
Kal tum hamare sath thay,
Aj bas hum hain aur ye tanhai hai.
Kyon pyaar se tara jee bhar jata hai,
Kyon ishq ka nasha jald utar jata hai,
Phale iqrar aur ab inkar,
Kyon to moosam ki tarhan badal jata hai
Jin siskyon mein aawaz nahi hoti..
Jin paankhon mein parwaaz nahi hoti..
Samajh lena ki dil ki chot khai hai…
Yuhi koi haseen zindagi barbaad nahi hoti
Meine apna har gam khushi mein dhala hai,
Mera har ek chalan nirala hai,
Log jin hadso mein marte hai,
Mujhko unn hadso ne paala hai.
Kaise karein apne ishq ko bayaan
Koi karta hi nahi aithbaar,
Hai hume jinse mohabbt
Unko hi nahi humse pyaar.
Dil jo tut gaya to fariyad karoge tum,
Hum na rahe to yaad karoge tum,
Aaj to kehte ho waqt nahi,
Par ek din mere liye waqt se fariyad karoge tum.
Dil jo dooba aash ke gam ankh me machal gaye,
Ek chirag kya bujha sau chirag jal gaye,
Meri unki raah bas itni der ek thi,
Do kadam chale hi the ki raste badal gaye.
Har udasi hai mere dil par chhayi hui,
Har khusi hai mujhse ghabrayi hui,
Kuchh nahi bacha hai meri zindgi ke daman me,
Chand kaliyan hain wo bhi murjhayi hui.
Dil phar pathar rakhna seko,
Apna dukh sansee se chhupana seko,
Dard-e-dil hamein bhi hai magar,
Hamare tarah dard mein muskurana seko.
Zindagi itne dard deti hain,
Dil mein fir bhi ummid rehti hain,
Dil kehta hain kuch nahin hoga,
Par kuch to hoga ummid kehti hai.
Kuch ajeeb faslo ka janm ho raha hai
Naseeb mera jaagkar bhi soo raha hai
Kaise keh du tuta dil dhadakta nahi
Jabki aaj dil ka har tukda ro raha hai .
Bikhre aashkon ke moti bana na sake,
Teri yaad mein sari raat so na sake,
Bheeg na jaye aasoo mein tasvir teri,
Bas yehi soch kar hum ro na sake.
Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hee badal gaye nazar zamane ki,
Log puchte hai main khush kyo nahi,
Kaya kahu meri to aadat thi tere sang muskurane ki.
Tumare sath reh nahi sakti,
Tume khokar ji nahi sakti,
Ye kaisa pyaar hain mera,
Kisiko chahakar pa nahi sakti.
Darte hai hum ab khwaabon se
Kahin phirse umeed na laga bhete apno se
Ab toh tanhayi hi apni mehfil hai
Ye soch ke har pal ko jiye jaa rahe hai
Hakikat nai puch mere fasane ki,
Tere jate he badal gahi nazar zamane ki,
Log puchte hai main khush kyo nahi,
Kaya kahu meri to aadat thi tere sang muskurane ki.
Hum dono hi rishte nibhate rahe,
Wo dosti ko dil mein dabate rahe,
Aur hum mohabbat ko dil me chupate rahe.
Maine jo socha wo kabhi paya nahi,
Chahakar bhi main usko bhul paya nahi,
Chahata to tha main usko apnana,
Par maine usko kabhi ye bataya nahi.
Naa jaane kyun log itne payare se lagte hai,
Enko bhulana chaho to dil ke kareeb aane lagete hai,
Hum unko itne pyaar kerte hai,
Aur wo hume bhulane lagete hai.
Aaj shayad main kuch khash na likh paaya,
Ek tasweer thi seene mein per saamne na aaya,
Jalaa rakkhi thi chiraag andhere mann mein,
Per uss mein se bhi roshani na aaya.
Pyaar ek tarfa ho to usse pyaar nahi khete,
Gum ki parchaye main awaz nahi dete,
Mohabbat humne bhi ki thi unse,
Magar parchaye banane se hum na rahe.
Khalis mohabbat mein itna inaam paya hai,
Maine apne har shair mein tera hi naam paya hai,
Barso baad tujhko phir yaad aaya hoon main,
Lagta hai phir koi kaam aaya hai
Tumhari muskan se jeete hai hum,
Tumhari cahaht pe marte hai hum,
Kaash ki unki cahatoon ka matlab samjh lete,
To aaj rootain na hum.
Toot gaya dil par arman wohi hai,
Door rehte hain phir bhi pyaar wohi hai,
Jaante hain ki mil nahi payenge,
Phir bhi en aankho mein intezaar wohi hai.