- Wishes
- Top Contributors
- monti Wishes
monti Wishes Collection - Page 2
130 Wishes in Collection
Kash humne ki na hoti mohabbat uss bewafa se,
To aaj hume wafa ke badle bewafi mili na hoti,
Chahate toh aaj bhi unhe aapni jaan se jyaada,
Magar woh wafa nahi samjhti.
Dil ki baat ko izhaar kehtay hain,
Jhuki nigaahi ko ikraar kehtay hain,
Sirf paanay ka naam mohabbat nahi doston,
Kuch khonay ko bhi pyaar kehtay hain.
Zindgi jab bhi teri bahon mein lati hai hamein,
Yeh zaami chand se behtar nazar aati hai hamein,
Har mulakat ka anjam judai kyon hai,
Aab to har waqt yahi baat satati hai
Judai mein har dil rota hai,
Milne ke har aas mein jalata hai,
Pyaar mein kabhi koi juda nahi hota,
Woh to hoti hai majburiyan ,
Ki unko saccha pyaar nahi hota.
Kyun banati ho tum ret ke mahal,
Jise khud hi tod dalogi tum,
Aaj kehti ho iss dijlale se pyaar hai tumhe,
Kal toh mera naam tak bhul jaogi tum.
Maanga to bahut kuch is zindagi se,
Mili to sirf tanhayee mili,
Us mein se maanga tha pyaar tujhse,
Mili to sirf ruswayee mili!
Marna hai maro apne watan ke liye
Kyu marte ho ek raat ki dulhan ke liye
Yakeen na ho toh dil mein jhanko ek dafa
Kisi aashiq ki laash padi hai ek kafan ke liye
Jab koi apna kisi apno se rooth jayega,
Sheesa ho ya dil ho toot jayega,
Meri maut ki wajah ka jikra karna na kbhi tum,
Waffa ke naam se logon ka bharosha uth jayega.
Kabhi arsh par kabhi farsh par,
kabhi unke dar kabhi darbadar,
ghamay aashiqi tera shukriya mai,
kanha kahan sei guzar gaya.
Har baar itefaak nahi ho gaye,
Bewajaah nahi unpe hum fida ho gaye,
Jinhe na chaha woh ho gaye khafa,
Aur jinhe chaha woh bewaffa ho gaye.
Nigahein mila ke kiya dil ko jakhmi,
Adaaon se tum kya sitam dha rahi ho,
Waffaon ka kya khub badla diya hai,
Tadapta mujhe chor ke jaa rahi ho
Khwaab tha usse khush rakhne ka,
Jab aankh khuli to khwaab tuta,
Shyad mera chehra uska khwaab nahi hai,
Par khush hun kyunki wo khush hai.
Pal pal saanse thamne lagi hai,
Zindagi maut ke pehlu mein sone lagi hai,
Uss bewafa se na pooch meri maut ki wajah,
Woh toh bas zamane ko dikhane ke liye ro rahi hai!
Meine us se mohabbat ki
Zindagi bhar saath nibhane ke liye
Us ne mujh se mahabbat ki
Ek din sath chod jane ke liye
Pehle bhi kabhi suni thi, ye pyaar ki baatein,
Pehle bhi dil ko bahut dukhaya hai.
Aaj phir tumne kuredein hain, wo zakhm,
Aaj phir iss dil ko tumne rulaya hai.
Ussey yaad karun toh aankh bhar aati hai,
Meri mohabbat mujhe hi rulati hai,
Uske bina hoon udass main,
Bheer mein bhi tanha hoon main.
If I had a camera
I’ll snap every your movement
Every smile
Every actions
And keep in my
House to scare all ghosts ha…
Janaaza humara jab unki gali se nikle
Unhe khidki par bitha dena,
Wo dekhe ya na dekhe,
Humare chehre se kafan utha dena.
Bhula ke bhi hum tujhe bhool na sake,
Pyaar kar ke bhi ek achcha naam pa nasake,
Kyu di meri dosti ko aisa naam,
Ke jinda reh ke bhi mar nasake.
Dekh kar phool ki dali hum ne
Teri tasweer bana li hum ne
Ye samjh kar ke meri zindagi tum ho
Zindagi kharab kar dali hum ne
Dard itna tha ki sehan na hua
Margaye unki raha hon mai
Magar unko gum na hua
Khete the hume
Chahte hai jaan se zyada
Yeh wada marte dam tak pura na hua.
Khyalon mein wahi,
Sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi,
Jo humare saath woh rahi.
Door ja kar bhi unse dur ja na sake,
Kitna aansu gire kisi ko bata na sake,
Gam ye nahen ke woh mil na sake ,
Dard serf ye he k hum unko bhula na saka.
Karte rahe hum unse wafa,
Woh humse bewafa hote gaye,
Agar chodna tha saath bich raha par,
Toh zindagi bhar ki kasam kyun khate chale aaye
Yeh kaisi mahobbat, yeh kaise fasane,
Yeh to sab hai pine pilane ke bahane,
Woh daman woh unka ki sunsan saaya,
Ki humko to abb hai bus aasoon bahana.
Sona chahta hun per neend nahi aati hai,
Badal badal ke karwate yunhi raat guzar jati hai,
Kar bhi pyaar ka izhar ya jaane jigar,
Akhir kyon tu mujhe itna tadpati hai
Pi ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gum ko milane lage,
Yeh sharab bhi befawa nikli yaaro,
Nashe mein toh woh aur bhi yaad aane lage.
Teri wafa pe shak nehi,
Teri wafaon ko manta hoon main.
Magar tujhko kiski aur ki aarzoo hai,
Yeh haquikat bhi jaanta hoon main.
Dard se rista hai mera,
Khushi mere nashib mein nahi.
Humse bhi koi pyaar kare,
Itne toh khusnaseeb nahi.