- Wishes
- Top Contributors
- monti Wishes
monti Wishes Collection - Page 4
130 Wishes in Collection
Pathar se wafa, butt se sada maang raha hoon,
Kyu aaj main sehra se ghata maang raha hoon,
Mudat se koi dil ko dukhane nahi aaya,
Aa jao koi zakham naya maang raha hoon,
Dil mein kisi ki yaad hai
Uss yaad mein ussi ka naam hai
Jiska deedar karte hai baar baar
Woh hi kyun bewaafa yaar hai!!
Chot khate hai aur muskurate hai,
Iss dil ko sabar karna sikhate hai,
Hum to gham lekar bhi yaad rakhte,
Aur ek wo hai jo gham dekar bhi bhool jate hai
Jis shaks se humne rishta banaya,
Ussi ne apnakar tanha chhod diya,
Ke ab hum keh sakte hai,
Jab bhi humne khushi ki hawa khayi,
Dukh ke din samne aa gaye.
Ek phool kafi hai kabar par chadhane ko,
Hazaron phool kam hai doli sajane ko,
Hazaro kushiyan kam hai ek gam bhulane ko,
Aur ek gam kafi hai zindagi bhar rulane ko.
Tum gairon ki baat karte ho,
Humne toh apne ko bhi aajmaye hai,
Log kaanto se bach ke chalte hai,
Humne toh phoolon se bhi jakhm khay
Kabhi karte hai jindagi ki tamana,
Kabhi mout ka intezar karte hai,
Woh humse kyu door rehte hai,
Jineh hum jindagi se bhi zyada pyaar karte hai!
Na socha tha jinke liye hum mar mite,
Ek din vahi humse door ho jayegea,
Jine ki tamanna toh hum bhi rakhte thay,
Ab Tere bina kaise ji payege
Bada afsoos hota hai jab aapka zikra hota hai
Toh bewafai ka mahool hota hai..
Jaanta hun aap bewafa nahi ho magar
Dard toh iss dil ko hota hai..
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
Dil bhi na khota aaj tanha na rota,
Diwano si apni ye halat na hoti,
Agar jahan mein kambakhat,
Kaash ye mohabbat na hoti.
Zindagi kuchh adhuri si lage tere pyaar ke bina,
Munasib nahi hai jeena mere liye tere saath ke bina,
Chhodkar teri chahat..Parai lage dunia saari,
Is dil ne seekha nahi
Kisi diljale ko koi apna banana kyun chahega,
Bekar mein koi apna dil jalana kon chahega,
Dikhawa hai yeh mahobaat warna,
Pyaar mein mith jana kyun chahega?
Zindagi mein mohabbat ka khumar kya hota hai,
Dil se dilbar ka milaap kya hota hai,
Tum toh bewafa ho tumhe kya pata,
Ke pyaar ka haseen ahsaas kya hota hai
Hamara toh dard se rishta purana hai,
Isiliye aapke har gam ko apna mana hai,
Kya kahe uss rab se ki woh the bewafa,
Humne toh khud ko hi bewafa mana hai.
Aap to manzil ko mushkil samajte hain
hum aap ko manzil samajte hain,
bada fark he apke or hamare nazariye mein
aap hume sapna or hum aap ko apna samajte
Leke hum dusro ki hasi kya kare,
Jo apni nahi woh khushi kya kare,
Tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
Jab saath tum nahi toh zindagi jikar kya kare
Uss se kehna hum mazay mein hai
Bas yaadein bohat satati hai,
Unki doori ka gham nahi mujhe,
Bas zara aankhein bheeg jati hain
Jo aksar kaha karte the hume apni jaan,
Aaj unke dar par sar jhukaye baithe hai !
Kuch to saza de wo hame hamari wafaaon ka,
Jo aaj kisi aur se dil lagaye baithe hai !!
Mohobbat ne hum per yeh ilzaam lagaya hai,
Wafa kar k bhi bewafa ka naam paya hai.
Rahain alag nahi thin hamari phir bhi,
Hum ne alag alag manzil ko paya hai
Baar baar laut kar zindagi mein meri mujhe yun na sataya karo,
Jaanta hoon main ki tum bewafa ho
Kam se kam in bujhti nigaahon mein pani ke chirag na jalaya karo.
Mohabbat woh hai jo satati hai,
Nazuk se dil ko tadpati hai,
Karna na kabhi tum mohabbat kisi se,
Kambkt ye woh hai..
Jo haste logo ko rulati hai
Katl karne ka dava hai unka,
Jara unki najook kalai se toh puchho,
Doopatta toh samahlta nahi, talwar kya shamhalengi
Phir yaad aayi tanhai raato mein tumari,
Saansein rukh sakti hai par yaad nahi ruk pati tumari,
Kiya khata tha mera dharkan aur aankho ka,
Jo app ke bina kuch nahi dektha
Hoga jo gam aapko dard kahi aur hoga,
Haso jo aap khush koi aur hoga,
Socho toh jara uss anjan k bare mein,
Wo anjan hamare siwa aur kaun hoga
Aaj ye kaisi udaasi chaye hai
Tanhai ke badal se bheegi judai hai
Roya hai phir dil mera
Najane aaj kis ki yaad aye hai
Umar Bhar Chaha k Zamen-o-Aasman Hamara Hota
Kash K Khwahishon Ka B Koi Kinara Hota
Ye Soch K Us MUSAFIR Ko Roka Hi Nhi
Door Jata Hi Q Agr Wo Hamara Hota
Ek shakhs mujhko zakhm-e-Judai de gaya.
Jab dai na saka piyar to rusvai de gaya
Jatay huay apni nishani k tor per
Kitney khulos se mujhay tanhai de gaya
Mohabbat ki kashti mein sawaar thay hum,
Socha tha pohoch jayenge chahat ke gaun mein,
Doobne lage toh hosh aya,
Hum toh beithe thay kagaz ke naav mein
Vaar nahi yeh toh unki fitrat hai,
Hansi toh har haseen chehre ki jaroorat hai,
Naazuk sa yeh dil tufaan se takrane ki himmat rakhta hai,
Sisa nahi pathar sa bana do isse