Short Hindi Poems Wishes and Status Messages
Short Hindi Poems Wishes
Updated 7 years ago
Ae zindagi bata mai tujhse kaise mohabbat karu...
Teri har ek subah meri ummar kam kar deti hai.
Aansuo se bhari aankhe lekar ghurta rha...!
.
.
.
Aaine mein khada wo shaqsh...preshan bahut tha..
Rasm-o-rivazon ka khyal kyun karte ho……
Hai ISHQ to duniya se kyun darte ho
Hai mohabbat aur majboriyan apni apni jagah
Dekhna hai aap faisla kya karte ho
Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai humain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.
Choti si galat fehmi kar degi juda hum ko
Halaat itne badal jayenge, maloom na tha hum ko,
Kya bas yeh rishta itna kamzor tha humara ?
Jise chaha pal bhar mein tod diya is ko
Jo ek lamhe ke liye bhi door na hote thai
Aaj le jana pada unhein judai ke ghum ko
Kabhi apne hi raste per bichaye thai hum ne phool
Aaj kaantey bichaye khud hi jaga dee pathar ko
Ab to ek dard aur takleef rehti hai is dil mein
koi to aaye, marham lagaye is zakhm ko.
Ek chhote se sawaal par Itni khamoshi,
Bas itna hi toh puchha tha- “Kabhi wafaa ki he kisi se ??”
Kuch loog ruth kar bhi
Lagte hain kitne pyare
Chup rah k bhi nazar main
Hain pyar k isharee
Hum un pe berukhi ka
Ilzaam kyun lagayeen
Un ki jafa ka aye dil
Hum kyun bura manayeen
Jo chayeen ab kareen woh
Dil pe sitam hamare
Is dil main kaise kaise
Tufaan machal rahe hain
Apni hi aag main hum
Chup chaap jal rahe hain
Hain kitne khubsurat
Is aag k shararee
Kehna Tum se Hai,Tum Apna Khayal Rakhna,
Pooch Lena Mujhe,Naa Mere Liye
Dil mein Koi Sawaal Rakhna
Main Yeh Nahi Kehta Ke Sab Kuch Yaad Rakhna,
Jab Hum Mile Thay Bas Yaad Wo Din,
Wo Ghadi Aur Wo Saal Rakhna
Naa Sochna Kabhi Ke Badal Jayenge Hum,
Hum Khawab Nahi Jo App Ki
Aankhon Se Nikal Jaayenge
Agar Yakeen Naa Ho To
Mujh Se Meri Zindagi Maang Lo,
Bichha Dena Pyar Ki Baahein,.
Hans Kar Mar Jaayenge Hum.
Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.
Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.
Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke bheja.
Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..Mera hi naam likh ke bhejaa…
Koun si Manzil Hai Kahan Aa ke Ruka hun,
Har ek se Khud Apna Pata Pooch Raha Hun,
Phoonkoun se Mitta hun na Mittane se Mitta hun,
Main Waqt hun Tareeq ke Mathy pe Likha hun ”
Aaye hain Wohi mere Ghar ko Aag lagane,
Main Jinke Chiraagoun mein Lahoo ban ke Jala hun.
Zindagi Zakhmoun se Bhari hai ,
Waqt ko Marham banana Seekh lo,
Harna to hai Mout ke saamne ,
Filhaal Zindagi se Jeetna Seekh lo,
Na jane kis ki Duwaoun ka Faiz hai Mujh Par,
Main Doobta hun aur Dariya Uuchaal deta hai.
Tere Honton pe Saj jaun DUAA hone ko Jee chahe
Mera Dunya bhula kar bas Tera hone ko Jee chahe
Yun sab k samne Athkelyan karti hai ye Tujh se
K Mera Be-Irada hi HAWA hone ko Jee chahe
Tu Mere Roothne per is Tarha Mujh ko Manati Hai
Kabi to Be-Waja Tujh se Khafa hone ko Jee chahe
Kabi Tujh se mile bin Zindagi bekaar lagti hai
Kabi Tujh se Bicharne ko Juda hone ko Jee chahe…
Kaash hum tum ajnabi hote,
Jis tarhan log hua karte hein…
Be taAlluq sey, be taArruff sey.
Kaash hum tum ajnabi hote!
Be qaraari na be kali hoti,
Na mukammal, na Zindagi hoti…
Yun na hoti azyatein Dil mein.
Zindagi bhi na hoti mushkil mein!
Aansu’on se na dosti karte,
Apne Dil se na dushmani karte…
Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte,
Tere Honton pe Saj jaun DUAA hone ko Jee chahe
Mera Dunya bhula kar bas Tera hone ko Jee chahe
Yun sab k samne Athkelyan karti hai ye Tujh se
Ki Mera Be-Irada hi HAWA hone ko Jee chahe
Tu Mere Roothne per is Tarha Mujh ko Manati Hai
Kabi to Be-Waja Tujh se Khafa hone ko Jee chahe
Kabi Tujh se mile bin Zindagi bekaar lagti hai
Kabi Tujh se Bicharne ko Juda hone ko Jee chahe…
Har roz koi khuwaab toot jaata hay
har roz koi apna rooth jaata hay
naa janay meri Qismat main kya hay
jisay main yaad karon wohi mujhe bhool jaata hay...
Abhi kuch bhi nahin badla,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…
Abhi kuch bhi nahin badla,
Acha hai !
Tum Apney Ghar Aabad raho
Sukhi Raho, Dil Shad raho
Wo jo ek Bandhan bandha tha
Piyar ka Tum ne
Us ka kuch mat Khayal karo
Aazad ho Tum
Aazad Raho
Hum to Duaa kartey they so
kartey hi Rahaingey
Jub tak bhi ab Yaad raho
Badnaam Zamane Me Mohabbat Nahi Karte
Dil Wale Toh Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte
Ek Baar Jise Chaha Sadaa Ussi Ke Rahe Phir
Hum Amanat Me Qiyanat Nahi Karte
Tanhiye Me Karte Hain Yaad Aanso Bahakar
Zahir Phir Hum Apni Ibadat Nahi Karte
Waqt Aane Pe Yeh Maloom Hojayega Tumhe
Hum Sirf Dikhawe Ki mohabbat Nahi Karte
Likhte Hain Faqat Tumhare Liye Ghazalein
Har Shaqs Pe Hum Aisi Inayat Nahi Karte
Dil Tod Ke Tukde Kar Diye Ussne
Pal Bhar Bhi Iss Dil Ko Sambhalne Naa Diya Ussne
Aanaa Hai Uss Me Bohut Yeh Batana Usse
Woh Ab Mile Toh Haal-e-Dil Matt Sunana Usse
Akele Kis Se Utha Hai Taluqaat Ka Bojh
Woh Tumko Naa Yaad Rakhe Bhool Jana Usse
Kabhi Mujhko Sath leke Kabhi Mere Sath Chalke
Woh Badal Gaya Achanak Meri Zindagi Badalke
Hue Jispe Tum Meharban Woh Khushnaseeb Hogi
Meri Hasratein Toh Nikli Meri Aansoun Me Dhalke…
Koi zakham nahi, na koi dard hai
bass eik khamoshi see iss dil mein hai
kuch diya bi nahi, tho kuch koya bhi nahi
bass eik adhoorapan iss dil mein hai
na kuch kehnay ko hai na sune ko
sawal bi mann may nahi, karne ko
bhulana ko kya, koi yaad bi nahi
bass eik baychani si iss dil mein hai kahi
chaand say kya kahu, koi andhera bi nahi
na din ki talaash hai, na roshni ki kami
gham, udaasi, koi Aansoo bi nahi
pir iss dil ko kiss cheez ki hai kami?
Kaash hum tum ajnabi hote,
Jis tarhan log hua karte hein…
Be taAlluq sey, be taArruff sey.
Kaash hum tum ajnabi hote!
Be qaraari na bhe khali hoti,
Na mukammal, na Zindagi hoti…
Yun na hoti azyatein Dil mein.
Zindagi bhi na hoti mushkil mein!
Aansu’on se na dosti karte,
Apne Dil se na dushmani karte…
Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte,
Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya,
Lehje Se Uth Raha Tha, Har ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya,
Awaz Mein Thihrao Tha, Aankhoon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya,
Bahut Haseen Hai Teri, Aqeedaton Ke Gulaab,
Haseen ter hai magar har Gul khyal tera,
Hum ek Dard ke rishtey mein Munsaliq donon,
Tujhe azeez mera fun mujhe Jmaal tera.