Ghazal Quote: Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do, Apne mann ko tann...
Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do,
Apne mann ko tann ki sab takleefain sehne do,
Apne kaanon ko sab shor sharaba sun’ne do,
Apni zubaan ko saari sachi batain kehne do,
Apni aankh ke chashme mein sab manzar behne do,
Palkon ki is raah ke sarey kaantey chun’ne do,
Apni zaat ke pathreeley aur banjar-pan mein Saad,
Umeedon ka garam aur meetha chashma behne do..

Kanishk
Sat, Oct 26, 2013
79 views