Ghazal Wishes and Status Messages
Ghazal Messages Wishes
Updated 11 years ago
Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye
Tumarey Dil mai thodi si jaga chahye
Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey
Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye
Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain
Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye
Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA
Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe
Zindagi ka yehi tarana hai
Gam uthana hai muskrana hai.
Rop tera bada suhana hai
Tujh pe qurban ye zaman hai.
Kis qadar pyaar mera sachcha hai
Aaj dil bar ko aazmana hai.
Tujh ko paon ya tera hojaon
Zindagi ka yehi fasana hai.
Is tarah se na muskuraya karo
Jaan lewa ye muskurana hai.
Aarzi hai ye dunya aye lugon
Har kisi ko yahan se jana hai.
Arzoo hai yehi meri Danish
Dust dushman ko bhi banana hai.
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?
Abhi kuch dair baqi hai...!!
Khizan ke beet janay main,
Guloun ke Muskuranay main,
Khushi k egeet ganay mein,
Baharon ke zamanay main,
Abhi kuch dair baqi hai..!
Main tum ko bhool jaonga..!
Na tum ko Yaad aaonga..!
Main tum se dour reh k bhi,
Tumhain jee ker dikhaonga..!
Tumhain maloom hay laikin,
Yeh sub main kar na paaonga,
K tum ko bhool janay main,
Abhi kuch dair baqi hay..!
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?
Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,
Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko,
Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,
Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko,
Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,
Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!
Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya,
Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya.
Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi,
Teri Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya.
Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh,
Dekh Kar TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya.
Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal Osne Diya,
Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya.
Jab kabhi tera dil ghabraey ager tujhe meri yad aay tu lou ana,
Ager tera sath koi choray ager koi tera dil turey tu lout ana,
Kuch waqat achca guzra hai sath tumare
who waqat jab yaad aay tu lout ana,
Yahe waqat akser sath nai dete dil walon ka,
pas reh kar b ager koi sath na de tu lout ana,
Na jane teri itni yad q atti hai,
Ager yahe pegaam pohnch jaye tu lout ana,
Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati,
Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin,
Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay,
Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay,
Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay,
Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne,
Chiraghoon ko jalanay main jala ' li ungliyan hum nay...
Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota
Magar hadsha judai ka ghamon se kam nahin hota
Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao
Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota
Mohabbat karne waley tou hamesha sath rehta hain
Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota
Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho
Koi aesi saza dete tumhe tou gham nahin hota
Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj
Ujala baant dene se ujala kam nahin hota
Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do,
Apne mann ko tann ki sab takleefain sehne do,
Apne kaanon ko sab shor sharaba sun’ne do,
Apni zubaan ko saari sachi batain kehne do,
Apni aankh ke chashme mein sab manzar behne do,
Palkon ki is raah ke sarey kaantey chun’ne do,
Apni zaat ke pathreeley aur banjar-pan mein Saad,
Umeedon ka garam aur meetha chashma behne do..
Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai
Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai
Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain,
Jaisay Koi Khwaab Likh Rahay Hain.
Paani Ko Bana Ke Roshnaai SholoN Ka,
Jawaab Likh Rahay Hain.
Hum Apni Khushi Se Apne Tan Par Mausam,
Ka Aazaab Likh Rahay Hain.
Wo Saamnay Rakh Ke Chikna Kaaghaz,
Baarish Ka Hisaab Likh Rahay Hain.
Parhtay Hain Hum Tou Chehray,
Aur Aap Kitaab Likh Rahay Hain.
Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ...
Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi...
Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k...
Meri kisi saada par woh thehra he nahi...
khuda se jholi pehla kay manga tha usay ...
Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi...
Har aik se pucha sabab us kay na milne ka ...
Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi...!!
Kaha tha tum say...mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna
Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna
Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna
Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna
jis ki chahat ko her chaht say mootaber rakha,
Khud tha ghamgeen mager us ko baykhaber rakha,
aaj wahi shakhs mayray g ko jalata hay bohat,
roh ko ghayal ankhoon ko rulata hay bohat,
kon c main nay thee us say khudaii mangi,
jub bhi mangi tu fakt us say mohabt mangi,
mayri chaht ka badla mujh ko istarah say mila,
hansta jo dil tha mayra mujh ko hay ujra sa mila.
Kabhi jo hum nahi honge,
Kaho kisko bataoge,
Woh apni uljhaney sari,
Woh bechaini mein doobay pal,
Woh aankhon mein chupay aansu,
Kise phir tum dikhaoge,
Kabhi jo hum nahi honge,
Bohat bechain hoge tum,
Bohat tanha raho gay tum,
Abhi bhi tum nahi samjhy,
Hamari unkahi batein,
Magar jab yaad aayengi,
Bohat tum ko rulaengi,
Bohat chahoge phir tum bhi,
Humein na dhoond paoge.
Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha
Tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai
ik diya hai jo andheron mein jala rakha hai
jit le jaye koi mujhko nasibon vala
zindagi ne mujhe da o pe laga rakha hai
jane kab aaye koi dil mein jhankane vala
is liye main ne gireban ko khula rakha hai
imtehan aur meri zabt ka tum kya loge
main ne dhadakan ko bhi sine mein chupa rakha hai
Showing 1 - 30 of 32