Aankhon se kyon aansu jhalak jaate hai. Tanhaiyo me kyon gum yaad aate hain. Aansu poch kar koi yeh to bata de hame. Rulane wale hi aksar kyon yaad aate h....
Kisi ke dukh ka ehsas h hum, zindgi ka sunehra saaz h hum, dusro ko khushi dene ki koshish karte rehte h or khud pal bhar ki kushi ke mohtaj hai hum...
Kaash Aap Hote, To Beganey Bhi Apney Hote, Har Khushi Or Gam Ke Sapney Bhi Hote, Aansu Mere Unki Muthi Mein Hote, Kaash Aap Hotey, To Jindagi Se Hmein Yun Shikvey Na Hote.
Hum Apna Dard Kisi Ko Kehte Nahi, Log Sochte Hain Ke Hum Tanhai Sahte Nahi, In Aankhon Se Aansun Nikle Bhi To Kaise, Kyu Ki Sukhe Hue Dariya Kabhi Behte Nahi.
In Behte Hue Aansuon Se Aqidat Hai Mujhe Bhi, Unki Tarha Hi Khud Se Shikayat Hai Mujhe Bhi, Wo Agar Nazuk Hain To Main Bhi Pathar Nahi, Tanhai Mein Rone Ki Aadat Hai Mujhe Bhi.
Kuchh aisa dard hai tujhse dil lagane ke baad, Jo ki lafzon me bayan nahin ho pata hai, Main jagta hoon teri yaad me raat bhar, Aur tu maze se soo jata hai.
Kisi Shaam Muje Tut K Bikhrta Dekho, Zeher Meri Rago Me Mahobbat Ka Utarta dekho, Kis-kis Ada Se Manga He Use Rab Se Mene, Kabhi Muje Sajde Me Siskta Dekho...
Dard Ki Harr Ik Hadd Se Ab Guzar Gaya Hoon Main, Phir Kabhi Na Simtunga Yun Bikhar Gaya Hoon Main, Maut Bas Naheen Aati Rooh Ke Nikalne Se, Sans Mujh Main Baqi Hai Phir Bhi Marr Gaya Hoon Main.
Hath faila k manga tha use khuda se, Par khuda ne meri friyad ko suna nhi... Jb b puchi mene iski wjh To usne kaha, Q chaha use jo tere liye bna hi nhi...
Dard ne plako pe sajaya hai mujhe, zindgi kya hai ehsas karaya hai mujhe. Jab bhi mere dil me hasne ki tamna jagi, meri takdir ne ji bhar ke rulaya h mujhe...
Mana ki khwab na ban sake teri ankhon ka. Ashk ban ke teri ankhon me utar jayenge. Mar ke bhi juda na honge tujhse. Khak ban ke teri rahon me bikhar jayenge.
Mera pyar uske liye ek najara hi raha. Wo chand aur main tara hi raha. Maine wafa me pyar ki sari mithas ghol di. Magar uska pyar samandar tha khara ka khara hi raha.
Milna tha itefak bishadna nasib tha, wo itni dur ho gayi jise hona karib tha, hum usko dekhne ko taraste hi reg gaye, jiski hatheli me likha hamara nasib tha.