Bin dekhe aapki tasveer bana sakte hein,
Bina milay aapKa haal bata sakte hein,
Meri doshti mein itna dum hai ke,
AapKi aankhon ke aansu apni aankhon se gira sakte hei
Pyar to kabhi-kabhi aankhon tak rehta hai, magar dosti dil ke karib hoti hai, Pyar to Chand khushiya dekar thak jaata hai , Magar dosti gam mein saath hoti hai
kuch ehsaso ke saye dil ko chu jate hai kuch man gar dil me utar jate hai bejan gulshan me bhi phool khil jate hai jab jindgi me aap jaise log mil jate hai
Zamane se alag aap me sharafat dekhi hai,
Apke dil mai dosti ke liye chahat dekhi hai
Ap insan ho ya koi farishta, ap ki dosti mai rab ki ibadat dekhi hai..
jo na mit sake usi ka naam hai dosti, jo kabhi na bhool sake usi ka naam hai dosti, khushi me tu sab dete hain sath, or jo dukhon me de saath usi ka naam hai dosti
Raste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pine ko majboor kare,
Jb maut ka daman thamna chahe koi to dost aise ho jo jine ko majboor kare
A Dost
Tune apne dil ki baat kabhi ,
apne dost ko bataie hai,
kabhi uske dil ki ulzan,
tuze samaz main aayee hai.
Dost manoge to apna hai,
na manoge to Dosti bhi parayie hai.
dosti ke panno se bhari kitab ho tum,rishton ke foolon me gulab ho tum,kuch log kehte hai ki DOST sachche nahi hote,un logon ke har sawal ka jwab ho tum.....
iss duniyaa ki bheed main boohat say yaar milain gay
hum kia hum say bhi achay hazaar milain gay
inn achoo ki bheed main humay bhula na daina
hum kahaan app ko baar baar milain gay
Aansu aankh se kabhi girne na paye,na dard ho tujhe na kabhi chot aaye,aapke is dost ke hisse me khusiyan jyada to nahi,par rab kare wo bhi tujhe mil jaye.