PEHELI BAAR KUCH EHSAAS JAAGE PYAR KE AANKHO KO KHUSHI DENE WALE DILDAR KE DO JHALAK HOTI NAHI, KISI SE IKRAAR KE KUCH EHSAAS BHI HOTE HAI, IKRAAR-E-PYAR KE
Har Jagah tera chehra nazar ata hai Ankho me teri pyar gahera nazar ata hai Tujhse baat karne ko bada jee chahta hai Par kya karu tere pas bada pehra nazar ata hai.
Bin aag ke dia nahi jalte, bin jhoko ke hawa nahi bahte, sab kahte hain hum bhi pyar karte hain, pyar to machhli bhi karti hai pani se warna, bin pani ke machhli ji nahi pate.
Ek nazar dekh lu unko toh sukoon aa jaye Ek peher unse mil lu toh jaise jannat mil jaye Ek seher saath mile toh din hasin ho jaye Aur isi pal ke intezar mein ye dil fanna ho jaye..
Main khush hu ki mujhe mera pyaar mil gaya, Kareeb ghar ke hi mujhe mera Yaar mil gaya, Karu na naaz kyon main apni kismat par, Chaand se bhi haseen mujhako deedaar mil gaya.
Is dil ne apko aaj achanak yaad kiya khona nahi chahte apko isliya pyar kiya mere dil ko nikal ke dekho apke liye hi dhadakta hai warna apse dil lagane ka jarurat kyun kiya.
Chirag jal uttha mohabaat ka mere dil mein Is asar se kahin bujh na jaye guroor mera Hai jo guroor mujhe apne dil ke na lagne ka Rooth mohabaat mein kahin toot na jaye guroor mera.
Dhoka deke pyaar kar lekin pyaar karke dhoka mat dena Sochke pyaar kar lekin pyaar karke mat sochna Dil dukhake pyaar kar lekin pyaar karke dil mat dukhana.
Malum hai ki tumhare dil ke hum hi raazdaar hain fir bhi Tumhari zara si berukhi bhi khalish banke kasakti kyun hai Koshish karte hain ki masrufiyat se ghire rahe fir bhi Tumhari yaaden mere khayalon mein har waqt mehkti kyun hai.
Pyaar kya tha yeh nahi pata, Pyaar kya hai yeh bhi nahi pata, Bus itna jante hai ki woh humse door hai, Magar phir bhi unka naam humare jine ka shara hai…
Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai, Kabhi kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai, Yahan sab log kehte hai meri aankhon mein aasoon hai, Jo tu samjhe toh moti hai, jo na samjhe toh paani hai.
Agar har dil pyar karta hai to log issey burra kyun samjhatey hein? Agar pyar mein taqat hoti hai to log izhar sey kyun dartey hein? Agar pyar k koi mazhab naheen hota to log mehboob ko sirf apna kyun kehtey hein?
Umar guzri hai magar yeh nahi maloom hua, Uss ko meri hai ke mujh ko zaroorat uski, Itni shiddat se toh main ne bhi nahi chaha tha, Mujh se dekhi nahi jati mohabbat us ki…